Wednesday, May 30, 2012

aansooyon ke ghut-ghut peene se

aansooyon ke ghut-ghut peene se
ghutan si ho rahi hai mujhe jeene se

lambi hai zindagi dost bhi saath nahi
kitna akelapan lagta hai coffee table par tanha bethkar coffee peene se

badal ghir aaye hai kahin chirag na bhuj jaye
dar lagta hai mujhe savan ke mahine se

yeh kaisi zanjeeren hai jo bandhati bhi nahi
door hoti ja rahi hai uski baahein mere seene se

aur

mujjhe rota dekh aap bahut khush hoti hogi na
yeh baat kis tarah puuchhuun main maa se.

- romil 

No comments:

Post a Comment