Thursday, May 31, 2012

chalo khudse do-char pal churaya jaye

chalo khudse do-char pal churaya jaye
aaj raat bhar maa ki tasveer ke pass baith kar roya jaye

aur 

kuch to de khuda use mera dil todane ki saza
aaj use bhi raat bhar rulaya jaye, jagaya jaye

na meri hai, na meri hona chahti hai, 
khuda uski mohabbat ko kis naam se pukara jaye

maut se khaufzada, ishqzaade nahi hote
duniya ko yeh baat kis tarah samjhaya jaye

yeh zindagi ke kis mod par khade hai hum dono
na khul ke hansaa jaye na khul ke roya jaye

- Romil 

No comments:

Post a Comment