Friday, August 31, 2012

Tere Nainon Ke Main - Anuraag

Vinod Mehra n Maushami Chatterjee   

ho o
tere nainon ke main deep jalaaungaa
tere nainon ke main deep jalaaungaa
apni aankhon se duniyaa dikhlaaungaa
achchaa
wo kyaa hai
ik mandir hai
us mandir mein
ik moorat hai
ye moorat kaisi hoti hai
teri soorat jaisi hoti hai
wo kyaa hai
ik mandir hai

main kyaa jaanun chhaanv hai kyaa aur dhoop hai kyaa
main kyaa jaanun chhaanv hai kyaa aur dhoop hai kyaa
rang-birangi is duniyaa kaa roop hai kyaa
wo kyaa hai
ik parwat hai
us parwat pe
ik baadal hai
ye baadal kaisaa hotaa hai
tere aanchal jaisaa hotaa hai
wo kyaa hai
ik parwat hai

mast hawaa ne ghoonghat kholaa kaliyon kaa
mast hawaa ne ghoonghat kholaa kaliyon kaa
jhoom ke mausam aayaa hai rang-raliyon kaa
wo kyaa hai
ik bagiyaa hai
us bagiyaa mein
kayi bhanwre hai
bhanwre kyaa jogi hote hain
nahin dil ke rogi hote hain
wo kyaa hai
ik bagiyaa hai

aisi bhi anjaan nahin main ab sajnaa
bin dekhe mujhko dikhtaa hai sab sajnaa
achchhaa
wo kyaa hai
wo saagar hai
us saagar mein
ik naiyaa hai
arre toone kaise naam liyaa
man ki aankhon se kaam liyaa
wo kyaa hai
wo saagar hai

वचन

मैं यह वचन देता हूँ, मैं किसी के समक्ष कभी भी तुम्हारी निंदा, बुराई, चुगली नहीं करूँगा।

Rose Tere Liye... Maa...


Kisi raaste par mujhe aawaz do, hairani ho jaye

Kisi raaste par mujhe aawaz do, hairani ho jaye
Kuch mulaqatein anjani ho jaye.


Jee bharkar dekhane do yeh noor sa chehara
Yeh shakl jaani-pehchani ho jaye.


Kisi roz Chand bankar utar jao mere angane mein
Kuch raatein hamari bhi Chandani ho jaye.

aur

Bahut chittiyon se izhaar-e-mohabbat ho chuka
Ab do-chaar meethi baatein aamne-samne ho jaye. 

Husn-e-Jaana, dhal na jaye yeh zindagi tumhari 
Ab apne bhi teen-chaar sehzade-sehzadi ho jaye...

- Romil Lucknawi

Nainon Mein Darpan Hai - Aarop

Lovely words n beautiful screenplay.

Nainon me darpan hai
darpan me koyi
dekhoon jise subaho shaam
bolo ji bolo ye raaz kholo
ham bhi sunen dil ko thaam
ya to hai dharti ya hai gagan
ya to hai sooraj ya hai pawan
uska to saajan hai naam
Nainon me darpan hai
darpan me koyi
dekhoon jise subaho sham

he e
ho o
masti me gaayen dil ko lubhaaye
kaano me mishri bhi ghole
bolo ji bolo ye raaz kholo
mera manwa bhi dole
ya to koyal ki hai raagini
ya to paayal hai ya to baansuri
naa
uska to sajni hai naam
naino me darpan hai
darpan me koyi
dekhoon jise subah o shaam

hmm hmm
ha aa ha aa
bahki bahki chaal hai uski
jhoome wo awaara
bolo ji bolo ye raaz kholo
kiski taraf hai ishaara
bolo kiski taraf hai ishaara
ya to jogi hai ya paagal
ya to baadal hai yaa anchal
unhun
uska to preetam hai naam
naino me darpan hai
darpan me koyi
dekhoon jise subah o shaam
lalalalala

Thursday, August 30, 2012

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki... roz ghar se breakfast karke jayunga... aur tiffin bhi office lekar jayunga... sacchi baba...

Mujhe is baat ka malal jarur hai

Mujhe is baat ka malal jarur hai Romil
usne har faisala zati liya
mere pass aane ka, 
mujhse door jaane ka,
mera karibi ban jaane ka, 
mujhe tanha chhod jaane ka... 

- Romil Lucknawi

aankhon ki haqiqat

kya sunau tumko apni aankhon ki haqiqat Romil
usko dekha nahi fir bhi uski tasveer ismein rehti hai.

- Romil Lucknawi

Aaj ki raat fir uski yaadon ke naam karde

Aaj ki raat fir uski yaadon ke naam karde Romil
Fanaa-e-rooh ka silsila hai, daur-e-qayamat tak jaye !

- Romil Lucknawi 

Flower Tere Liye... Bhavo...


Helicoptor tukde-tukde hua fir bhi bach gaya

Helicopter tukde-tukde hua fir bhi bach gaya
Kaash mare hue bacche bhi baddua de paate.

Jinki juban bari hui ho apshabdon aur galiyon se
Aise log bhi satsang hai sunate.

Khud to bhare jaate hai rupiyon ki potliyan
Aur dusaron ko mooh-maya se dur rehna hai sekhate.

Woh kya jaane Krishna kya hota hai
Jo roop lekar Krishna ka, khud ko bhagwan hai kehlate.

aur

Uska ashram hai ya bacchon ki mrityunshala
Aisi kai kaali-kartoot uski satyata pramadit hai karte.

- Romil

Vachan...

Main vachan deta hoon... ki main morning mein tumko roz college chhod kar aayunga aur evening/ afternoon mein roz college se lekar aayunga aur tumhare lecture preparation mein 100% help karunga.

Janam-Janam Ka Saath Hai - Bheeghi Palkein

Janam Janam Ka Saath Hain Tumhara Humara
Agar Na Milate Is Jeevan Mein, Lete Janam Dubara

Jab Se Ghoomei Dharate, Sooraj Chand, Sitare
Tab Se Mere Nigahe, Samajhe Tere Ishare
Roop Badal Kar Sajan Maine, Fir Se Tumhe Pukara

Pyar Ke Pankh Laga Ke, Door Kahi Udd Jaye
Jaha Hawayen Gam Ke, Hum Tak Pahuch Na Paye
Khushiyon Ke Khushabo Se, Mehake Ghar Sansar Humara

Wednesday, August 29, 2012

jawab-e-aarzoo

Waise to mujhe tujhse koi jawab-e-aarzoo nahi
Magar mujhse meri rooh puchati hai ki bata teri mohabbat mein kami kya thi.

- Romil Lucknawi 

Flowers Tere Liye Maa...


lafzon ki jadugari

Waise to hum mizaz-e-rangeen hua karte the
Unke lafzon ki jadugari ne dil lagana seekha diya.

- Romil Lucknawi 

Na Jaane Tose Kaun Janam Ka Nata...

Na jane tose kaun yugo ka nata, 
he manmohan tujh bin raha naa jata

Ek roop ek man ek jeevan, 
ek sang ho hridayo ka sangam
Dono ek duje ke darpan 
Swayam sahaj sampoorna samarpan
Bhool gaye dhadkan ki ginti, 
Swans-Swans mein tu hi jaye samata
Na jane tose kaun yungo ka nata

Dristi jahan ki jahan ki wahi jami hai
Hanth jahan the wahi dhare hai 
Charan jahan the wahi ruke hai 
Jag mein hai aur jag se pare hai
Behti jaye samay ki dhara 
Prem jahan tha wahi khada muskata 
Krishna re tose janan - janam ka nata

Tuesday, August 28, 2012

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि हर रोज़ सुबह 5:00 बजे उठकर तुम्हारे साथ योगा करूँगा। सच्ची बाबा। हा हा हा ।

Unse milenge na jaane..

Unse milenge na jaane kitni raaton ke baad
Yeh aansoo rukenge, na jaane kitni barsaton ke baad.

- Romil Lucknawi.

Beautiful Flower... Bhavo Tere Liye...


Mizaz-e-bandagi

Khud use naam do, khud us par yakeen kar lo
Yeh mizaz-e-bandagi hai aur kuch nahi.

- Romil Lucknawi

Tumhein se roshan hai raat meri Tumhein se - Loorie

Simple n  heart touching lyrics.

tumhi se roshan hai raat meri-2 
tumhi se harr din huwa sunehra 

 uthhe jahan bhi nazar tumhaari-2 
ho zindagi ka wahin savera 

 sajje thay kabse tumhaare sapne 
meri nigahon ke darpanon mein 

 sulagti rehti thi dheemi dheemi 
yeh aag madhma ke savanon mein 

 sakoon hai jabse geysuon ki 
haseen chaaon mein hai besera 

 uthhe jahan bhi nazar tumhaari 
ho zindagi ka wahin savera 

 yeh kaise jaadoo jaga diye hain 
mere khayalon k aanganon mein 

 sunoo sadaaye tumhaare dil ki 
main apne seene ki dhadhkanon mein 

 jidhar bhi jaoon hai saath jaise 
tumhari baahon ka narm gheyra 

 tumhi se roshan hai raat meri 
tumhi se harr din huwa sunehra 

 naya nahin hai yeh dil ka mausam 
bayi nahin hain chaahtein humaari 

 milay nahin thay magar hamesha 
nigah mein thi chhavi tumhaari 

thi mere dil mein tumhaari dhadhkan 
tumhaare honton pe naam mera 

 tumhi se roshan hai raat meri 
tumhi se harr din huwa sunehra 

 uthhe jahan bhi nazar tumhaari 
ho zindagi ka wahin savera-3

Monday, August 27, 2012

Vachan...

Majn yeh vachan deta hoon... ki jab bhi hum kisi function ya bazar jayenge to main hamesha dress tumhari dress ki matching ke hisab se hi pehnuga... taki hum  romantic couple lagane chahiye... hehehe... jaise tum red saree mein to main black suit mein... jaise tum white sitaron wali saree mein to main black suit mein... jaise tum lower mein to main capri mein. hehehehehe...

intezaar-e-yaar

khuda mere dard mein thodi si barkat kar de
aaj raat nazaron ko fir intezaar-e-yaar kar de.

- romil lucknawi

Rose... Tere Liye Maa...


tasveer ke bagair

Jis tarah ibadat ki hai khuda ki dekhe bagair 
Ta umar tujhe bhi talasha hai teri tasveer ke bagair

- Romil Lucknawi

Mujhko Bhi Radha Bana Le Nandlal - Ankahi

Meaningful Lyrics

mujhko bhi radha bana le nandlal - (4) 
yashoda ke angana mai dungi buhari 
teri muraliya ko dungi naa gari 
matki luta dungi makhan kee sari - (2) 
bansi bajaiya... bansi bajaiya o re kanhaiya mujh ko bhi kar de nihal - (2) 
mujhko bhi radha... 

charano me tere lipatke rahungi 
tera diya har sukh dukh sahungi 
chhaliye tujhe kabhi kuch naa kahungi - (2) 
jamuna kinare... jamuna kinare rakhungi sajake kaaya kaa kesariya thal - (2) 
mujhko bhi radha...

Vachan...

Main vachan deta hoon... main kabhi bhi tumse bathroom se aawaz lagakar towel, shampoo, under garments, soap, nail cutter, shaving kit ki farmaish nahi karunga... sachiiii... 

Sunday, August 26, 2012

aks-e-dariya

aankhon ko yeh aks-e-dariya haasil nahi hota
har roz naya gum, naya dard nahi hota.
waise to husn-e-haseen lakon hai is shehar mein
par tere jaisa har koi lafz-e-jadugar nahi hota.   

- romil lucknawi

tu mujhse door hai...

tu mujhse door hai is baat par aankhein narm na kar
mujhe ghazalon se chhune ka hunar aata hai...

- romil lucknawi

Vachan

Main vachan deta hoon ki jab main tumhare saath shopping mein jaunga to saare bags main hi uthaunga. Main har week tumko shopping mein le jaunga, fir chahe gulab ka phool hi kyon na lekar doon.

Saturday, August 25, 2012

Beautiful Rose... Bhavo Tere Liye...


Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya
Safar-e-manzil mein the awara bana diya.

Aye Khuda tujhe yeh kya suji
Na mandir, na masjid
Is dil ko tune mehboob-e-ghar bana diya.

Sab raunaqe nadarad hai 
Phool, Khushboo, Jheel, Mausam, Dhoop, Burf, Titli aur Hava
Tune Kashmir-e-Jannat ko yeh kaisa udasi-e-chehara pehna diya.

Dushman jo zakhm khakar bhi dua de
Khuda, ishq ne usko yeh kaisa deewana bana diya.

- Romil Lucknawi.

Friday, August 24, 2012

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि सास-बहु सीरियल के समय मैं तुमसे टीवी रिमोट नहीं छिनूँगा। बस उठकर चुपके से केबिल कट या फिर टीवी बंद कर दूंगा। हा हा हा...     

Rose... Tere Liye Bhavo...


Ab tumhare SMS ka jawab daine ki talab nahi hoti

Ab uske SMS ka jawab daine ki talab nahi hoti
Haal-e-dil mehboob ko likhu aisi hasrat nahi hoti.

Maa ke waqt tum saath na de saki
Ab tumhare saath ki jarurat nahi hoti.

Ranj-O-Gum sunata to kisko sunata
Tanha insaan ko mehfilon ki aadat nahi hoti.

Tum hamare na hue kisi bhi keemat par
Warna aashiqon ki kaun si dua poori nahi hoti.

Kyon sune aur yakeen kare, uske bahano par
Chah laine se kaun si doori tay nahi hoti.

- Romil Lucknawi

Thursday, August 23, 2012

वचन

मैं वचन देता हूँ कि मैं रात का भोजन तुम्हारे साथ, तुम्हारी ही थाली में करूँगा। यदि कभी बाहर भोजन करूँगा तो बाबा तुमको फ़ोन करके बता दूंगा। हा हा हा  

Orange Rose... Maa Tere Liye


Bas thoda intezaar kar guzar jayegi raat

Bas thoda intezaar kar guzar jayegi raat
Dhalte-Dhalte khud apni maut mar jayegi raat.

Bas ek kiran ke saath subah hone ki hai dair
Khud kisi andhere mein jakar dubak jayegi raat.

Bas do ghadi, bas do ghadi ka saath dedo Sanam
Aankh jhapakate hi dhal jayegi raat.

aur

Yeh sannata, yeh sunapan, yeh tanhai aur tumhari yaad
Kahi saali jaan na lele yeh raat.

#Romil

बस थोड़ा इंतेज़ार कर गुज़र जायेगी रात
ढलते-ढलते ख़ुद अपनी मौत मर जायेगी रात.

बस एक किरन के साथ सुबह होने की है देर
ख़ुद किसी अंधेरे में जाकर दुबक जायेगी रात.

बस दो घड़ी, बस दो घड़ी का साथ देदो सनम
आँख झपकते ही ढल जायेगी रात.

और

यह सन्नाटा, यह सूनापन, यह तन्हाई और तुम्हारी याद
कहीं साली जान ना लेले यह रात.

#रोमिल

Na Bole Tum...Na Maine Kuch Kahan Wallpapers

Megha and Mohan will be seen romancing and honeymooning to Nepal alongwith their children.







Wednesday, August 22, 2012

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki main kabhi bhi ice cream akele nahi kahunga... yadi tum mere saath nahi hui to main tumhare hisse ki bhi ice cream kha jayunga.

hehehe

ROSES... MAA TERE LIYE...


Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega
Yunhi zindagi-e-karwa chalta hai, chalta chala jayega.

Na rahega yaad koi gila-shikwa, na koi hadsa
Sab dhuaan hai, dhuaan ho jayega.

Kise yaad rahegi mohabbat-e-dastaan-e-safar
Sab kitabi kisse-kahani hai, kahani ho jayega.

Yunh bhi hoga, woh hogi kisi gair ki baahon mein
Dil-e-lahoo girta hai, girta reh jayega.

aur

Mausam haazar honge, dil-e-marammat ke
Magar jo toota hai, woh toota reh jayega.

- Romil Lucknawi.

Tuesday, August 21, 2012

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि मैं तुमसे कभी असत्य नहीं बोलूँगा और न ही कभी अपशब्द का प्रयोग करूँगा।   

White Rose... Maa Tere Liye...


Har kisi ko manzil-e-ishq naseeb nahi hoti

Har kisi ko manzil-e-ishq naseeb nahi hoti
Jab tak na mile mohabbat-e-dushman tab tak diwangi-e-had nahi hoti.

Bahut majboor hokar karta hai uski tasveer se gile shikwe
Magar yeh jo dil-e-takleef hai kam nahi hoti.

Shikhar-e-manzil par pahuch kar jo baar-baar milti hai mujhe shikhast
Fir bhi meri himmat kam nahi hoti

aur

Maa ki rukshati aur meri majboori ka din aaj bhi mei aankhon se samne hai
Kya kahu duniya se meri nafrat kam nahi hoti.

- Romil Lucknawi

Monday, August 20, 2012

वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि हर परिस्थिति में, मैं तुमको सुख और शांति के साथ रखने का हर संभव प्रयास करूँगा। 

Yellow Rose Maa Tere Liye...


Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai

Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai
Majhabi aatank fehlane mein dair kitni lagti hai.

Log to bane hote hai mom ke
Zaraa si dhoop aa jaye... to fir pighalane mein dair kitni lagti hai.

Uska guroor, uska swabhimaan usko jhukane ki izajat nahi deta
Warna samjhauta karne mein dair kitni lagti hai.

Bas ek sms aur fir shehar bhar mein bhagdar si mach gai
Afwaah fehlane mein dair kitni lagti hai.

Yeh to waqt ka sukrguzar hoon ki zakhm bhar deta hai
Warna yaad kar aansoo bahane mein dair kitni lagti hai.

Aur

Woh khud hi nahi aana chahati thi teri maa ke janaze pe
Warna dooriyaan tey karne mein dair kitni lagti hai.

- Romil Lucknawi

Sunday, August 19, 2012

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki subah uthane par sabse pehla main tumhare chehare ka deedar karunga... fir chahe woh tumhari tasveer hi kyon na ho...

Eid manane ko jee chahta hai

Eid manane ko jee chahta hai
Tere pass aane ko jee chahta hai.
Bahut dino se jee bhar kar khaya nahi khana
Aaj tere haaton ki bani sewaiya khane ko jee chahata hai.

Woh mauj-e-bachpan, woh khel-e-ladappan
Aaj fir jee bhar ke gaane ko jee chahta hai
Nai poshake, naye tohfe
Aaj fir tarannum-e-lab sajane ko jee chahta hai.

Takalluf na kar nazre milane se
Aaj gale milne ko jee chahata hai
Kismat se lad-jhagad kar
Aaj tere pass aane ko jee chahta hai.

#Romil Arora

Tanhai raat mein dasne lagti hai...

Tanhai raat mein dasne lagti hai
Yaadon ki lau jalne lagti hai
Bebas hokar hum karte hai tasveer se baatein
Aankhon se neer tapakne lagti hai.

Jaane tab kyon karti hai woh milan ki baat
Jab jism ki aag mein jalne lagti hai

Aur

Tum kya jaano shiddat-e-mohabbat kya hoti hai
Jab yeh pagadi rab-e-bandagi mein jhukane lagti hai
Aankhon se aankhein beparda hone lagti hai
Rooh-Rooh se bolne lagti hai.

- Romil Lucknawi

Saturday, August 18, 2012

Beautiful Flower... Tere Liye Maa...


Vachan


Main yeh vachan deta hoon ki, yadi kisi karanvash meri wajah se tumhara hirday dukhi hoga, tumhare aankhon se neer niklega... to main apni har us galti ke liye prayachit karne ko taiyaar rahunga.

Khuda yeh manzar fir na dikhana

khuda yeh manzar fir na dikhana
mere shehar mein aisa toofan fir na laana

maana ki yeh mazhab-e-junoon hai
par yeh tareeka fir na apnana

logon ko kya mila mere shehar-e-sukun-o-chain loot kar
yeh ulfat, yeh nadaniyaan fir apne bandon se mat karwana 

aur

qalam likhati hi nahi bolti bhi jyada hai
apne bandon par koi mazhabi ilzaam na likhwana.


- Romil Lucknawi

Friday, August 17, 2012

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki, tumhare har ek sawal ka jawab main poori nistha, imandari, wafadari, vivekpurta ke saath dunga... aur apne har ek jawab se tumko prasanchit karne ka har sambhav prayas karunga.

Nikal pade...

Nikal pade... hum dekhane Yamuna Express Highway... aakhir dekhe to kaisa hai... subah 5:00 hum utha gaye the... log khamkha humko "Raat ka Ullu" kehte hai... hehehe...

Akele hai to kya gum hai... chahe to hamare bas mein kya nahi...

Waise kudi acchi the... play school mein padati hai... punjabi hai... saree mein kinni sohne lag rahi thi... chalo bye n bye...

Mujhko yeh aarzoo hai izhaar kare woh khud

Mujhko yeh aarzoo hai ki izhaar kare woh khud
Kisi nukkad, kisi chaurahe par mera intezaar kare khud.

Nazaron mein band kiye deedar-e-tamanna
Haq-e-mohabbat se sawal kare khud

Duniya-e-jahan ki nazaron mein nazare mila
Khuda-e-zameen-e-aasmaan ko shakshi maan, mujhe pyar kare khud

Dekar dastak dil-e-darwaze pe
Is viran-e-khandar ko ghar-e-aashiyana kare khud.

- Romil Lucknawi

Thursday, August 16, 2012

Rose Flower... Maa Tere Liye...


Kareeb aakar log badal jaate hai

Kareeb aakar log badal jaate hai
Baadal bina baras ke chale jaate hai
Is baat ka ehsaas use kab hoga Romil
Zindagi takleef deti hai, maut ke sang log guzar jate hai.

Unhe sitamgar kyon na kahu Romil
Jo aankhon se neendein cheen kar, khawab de jaate hai.

Aur

Jis naam ko raat bhar likh-likh ka choomati rahi aankhein tumhari
Subah hone tak woh naam haatheliyon se bigad jaate hai.

- Romil Lucknawi

Vachan

Main yeh vachan deta hoon, tumko safal, kamyab banane mein, main har sambhav tumhara sahyog karunga... Tumhari safalta se khud ko kabhi behbheet nai samjhunga apitu tumhari safalta, kamyabi ko khud ki safalta,kamyabi samjhunga.

Bade Saliqe se apni baat keh jata hai

Bade saliqe se apni baat keh jata hai
Mera naam bhi nahi leta, badnaam kar jata hai.

Uske husn ki tareef usse karu to kaise karu
Mujhe jaise hi dekhata hai sharma jata hai.

Aur

Mehfil mein jiski juban se mera naam aate-aate reh gaya
Woh hatheli par heena se likh mera naam raat bhar apne seene se lagata hai.

Uske izhaar-e-mohabbat ka kaisa intezaar Romil
Jo teri tasveer ke saath raat bhar lipata hai subah palat jata hai.

- Romil Lucknawi

Wednesday, August 15, 2012

Orange Rose... Bhavo Tere Liye...


Vachan...

Main yeh vachan deta hoon, koi bhi parivarik aur vyaktigat nirnay laine se purv main tumko avgat karwana aavashak samjhunga aur us nirnay mein tumhari raaye ka samman karunga...

Raah-e-zindagi mein aisa bhi daur raha

Raah-e-zindagi mein ek aisa bhi daur raha
Ki khuda tere siva koi bhi mera na raha.

Aisa nahi dil waaqif-e-gum se nahi
Magar ab woh mehboob-e-sitamgar na raha.

Junoon-e-sajda liye jaate to hum jaate kahan
Tere dar ke siva koi aashiyana na raha

Aur

Hijaab-e-ishq ka daur bhi kya daur hota tha Romil
Ab woh nazar-e-sharmana, woh qatal-e-aam na raha.

Aur

Aaj fir khat mein gire uske khoon ke dhabbe dekh
Khuda-e-kamaal-e-mohabbat par yakeen na raha.

- Romil Lucknawi

Vachan...

Main tumko vachan deta hoon, chahe sui ke barabar ya fir pahad ke samaan koi bhi vastu kharidunga... hamesha sahi  vastu chunne mein mera saath dene ke liye, main tumko dhanevad dunga...

Tuesday, August 14, 2012

Yeh roz-marra ke vayakat-e-gum hai

Yeh roz-marra ke jo vakayat-e-gum hai
Yahi zindagani suhani banate hai...
Zara si honton par tabassum aaye to aansoo aa hi jate hai.

Yeh kaisi saaza mili hai aashiqon ko... unki khidki ka band ho jana
Koi jakar samjhaye unke ghar ke bujurgo ko
Phool jawan ho to bhaware aa hi jaate hai.

Aur

Unka mujhse baat na karna
Yeh koi nai baat nahi hai...
Husn jab shabab par ho to nakhare aa hi jaate hai.

Sote hue mera muskurate rehna
Yeh unka kasoor nahi hai...
Din jawani ke ho to aise khawab aa hi jaate hai.

- Romil Lucknawi.

Vachan...

Main tumko vachan deta hoon, apne har sukh mein main tumko ismaran rakhunga, apne har dukh mein main sabse pehle tumko yaad karunga.

Monday, August 13, 2012

Red Rose... Maa Tere Liye...


Ramleela maidan se hunkaar bharte hai ki Sarkar ukhad phenkege hum

Ramleela maidan se hunkaar bharte hai ki Sarkar ukhad phenkege hum
Lagta hai bhool gaye hai aurat ke libaas mein bhage the hum.

Gaye hai farzi passport ke chakkar mein jail
Shaheedon ke saath tasveer chipka kar khud ko mahanpurush kehte hai hum.

Jo khareedate hai jakar videshon mein upmahadeep aur sampattiyan
Woh hi kehte hai kala dhan bharat layenge hum.

Sabko bhojan
Sabko pani
Sabko shiksha
Sabko swastha
Sabko rojgar
Chalo aise muddon par andolan kare hum.

Aabadi mein No. 1,
Olympic mein No. 55,
40% Aabadi garibi rekha se niche
Chalo in aakadon ko badalne ka sankalp le hum.

Ek ghar
Ek gaadi
Ek bank account
Chalo apni seemao mein bandh kar saada jeevan, uccha vichar apnaye hum.

- Romil Lucknawi

Blue Roses Tere Liye Maa...


Sunday, August 12, 2012

Dar-Dar bhatke zindagi-e-rasta na mila

Dar-dar bhatke zindagi-e-rasta na mila
Kotiyaan to bhut mili magar ghar na mila.

Sahukar, Thekedar, Baniya, Zameendaar
Sab hai is mohalle mein
Magar koi insaan na mila.

Mera haal puchane wale bahut hai is jahan mein
Jo mere sirhane baithe aisa humsafar na mila.

TU, TU, TU, Sirf TU
zindagi mein mujhe tujhse bada koi gum na mila.

Aur

Neend aaye to kaise aaye zaalim
Abhi tak na woh tasveer
Na woh khat
Na woh gulab
Sham-e-gum ko jo behlaye na woh intezaar mila.

- Romil Lucknawi

Two White Roses.... Maa Tere Liye....


Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai
Tera chehara mujhe khuda sa lagta hai

Ek muddat se na koi tera khat, na paigam aaya
Ab tera irada bewafa sa lagta hai

Musalsal zindagi mein aate rahe hai gum
Ab to gamo se dostana sa lagta hai

Aye Khuda, Suna hai tune sanwari hai lakhon ki taqdeer
Yeh koi jhoota kissa-afsana sa lagta hai

Aur

Bhookhmari, Bebasi, Majboori, Lachari, 
Khuda teri in chitthiyon par keval Garib ka pata likha hua hai, aisa lagta hai

Romil Lucknawi.

Saturday, August 11, 2012

Aaj mujhe fever hai...

Aaj mujhe fever hai
Aaj mujhe fever hai
Nose band hai,
Cough bhi jama hua hai
Aaj mujhe fever hai
Aaj mujhe fever hai...

Abhi bahar jayunga
Raj Laxmi ke baramde mein tehal kar kulfi khayunga
Fir kisi acchi si bengali mithai ka anand lunga
Fir awaragardi karte hue ghar wapas aa jayunga.

Aaj mujhe fever hai
Aaj mujhe fever hai...

TIMEPASS - BERTH KYA HAI?

TIMEPASS - BERTH KYA HAI?

Railway TT - Berth  kya hai?
Romil - Ji...

Railway TT - Tumhari Berth kya hai?
Romil - Ji 03 August 1982.

Railway TT - Aare 30 saal ke ghadhe Date of Birth nahi... Seat yani Berth Kya hai?
Romil - 30.

Hehehe.