Sunday, September 30, 2012

Zamane ke saath unke tevar badal gaye...

Zamane ke saath unke bhi tevar badal gaye
Woh meri soch se bhi jyada badal gaye.

Mohabbat-E-Safar mein saath humko chalna tha
Kya kare majboori mein rastee badal gaye.

Hazar baar dil ko samjhaya uski mehfil mein na ja
Aalam-E-Madhoshi mein na jaane yeh qadam kidhar-kidhar badal gaye.

Aisa toofan aaya Saagar-E-Dil mein
Dekhate-Dekhate dil ke kitne manzar badal gaye.

- Romil Lucknawi.



ज़माने के साथ उनके भी तेवर बदल गए
वोह मेरी सोच से भी ज्यादा बदल गए.

मोहब्बत-ए-सफ़र में साथ हमको चलना था
क्या करे मजबूरी में रास्ते बदल गए.

हज़ार बार दिल को समझाया उसकी महफ़िल में न जा
आलम-ए-मदहोशी में न जाने यह क़दम किधर-किधर बदल गए.

ऐसा तूफ़ान आया सागर-ए-दिल में
देखते-देखते दिल के कितने मंज़र बदल गए.

- रोमिल लखनवी.

Raston mein ulajh ke reh jaoge...

Raston mein ulajh ke reh jaoge
Jo shakh karoge to bichad ke reh jaoge

aur 

uski mohabbat par yakeen kar le, ab bhi waqt hai
Warna Khuda ke ghar adhure hi chale jaoge...

#Romil

रास्तों में उलझ के रह जाओगे
जो श़क करोगे तो बिछड़ के रह जाओगे

और
 
उसकी मोहब्बत पर यकीन कर ले, अब भी वक़्त है
वरना खुदा के घर अधूरे ही चले जाओगे...

#रोमिल

Saturday, September 29, 2012

Badnaam bada ho gaya

Badnaam bada ho gaya
Jabse teri nazar mein aaya mera naam bada ho gaya.

Jawab toh sab tune hi diye
Main to sirf duniya ke liye sawal ho gaya.

Ilzaam kya hai yeh bhi na jaana taman umar
Mujrim main sare aam ho gaya.

Meri nazar mein jo ban na saka insaan
Suna hai woh duniya ke liye misaal ho gaya.

Meri khawaishon ko barbaad karke manata hai jashn
Woh insaan mehfilon ki shaan ho gaya.

Badnaam bada ho gaya
Jabse teri nazar mein aaya mera naam bada ho gaya.

#Romil

बदनाम बड़ा हो गया 
जबसे तेरी नजर में आया मेरा नाम बड़ा हो गया 

जवाब तो सब तूने ही दिए 
मैं तो सिर्फ दुनिया के लिए सवाल हो गया...

इल्जाम क्या है यह भी ना जाना तमाम उम्र 
मुजरिम मैं सरेआम हो गया है...

मेरी नजर में जो बन न सका इंसान 
सुना है वह दुनिया के लिए मिसाल हो गया...

मेरी ख्वाहिशों को बर्बाद करके मनाता है जश्न 
वह इंसान महफिलों की शान हो गया...

बदनाम बड़ा हो गया 
जबसे तेरी नजर में आया मेरा नाम बड़ा हो गया...

#रोमिल

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है
खवाब जिसका मेरे सोते हुए चहरे पर ख़ुशी की झलक बिखेर जाता है
आँख खोलू तो सफ़ेद बादलों में धूंधला-धूंधला सा चेहरा किसी का नज़र आता है
नाम पूछूं तो परी बताकर वोह गायब हो जाता है...

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है...

नाज़ है बाबा... नाज़...

- रोमिल लखनवी

Red Rose... Maa Tere Liye...


Apne anbheje khaton ka jawab kisse loon

Apne anbheje khaton ka jawab kisse loon
Jo poore na ho sake woh khawab kisse loon.

Teri talaash mein guzar gaya yeh bhi saal
Apni talaash-e-safar ka hisaab kisse loon

Jise chaha use pa na sake
Apni khawaishon ka inteqaam kisse loon.

Aakhir tum hoti kaun thi mera dil todane wali
Is sawaal ka jawab mein kisse loon

- Romil



अपने अनभेजे खतों का जवाब किससे लूं
जो पूरे न हो सके वोह खवाब किससे लूं.

तेरी तलाश में गुज़र गया यह भी साल
अपनी तलाश-ए-सफ़र का हिसाब किससे लूं.

जिसे चाहा उसे पा न सके
अपनी खवाइशों का इन्तेकाम किससे लूं.

आखिर तुम होती कौन थी मेरा दिल तोड़ने वाली
इस सवाल का जवाब मैं किससे लूं.

- रोमिल

Friday, September 28, 2012

खुश्क पत्ते की तरह यादें उड़ा दो

खुश्क पत्ते की तरह यादें उड़ा दो
यह मौसम है हवाओं का मेरे यारों...
*
कभी अपने तो कभी पराये थे
यह इंसान नहीं कटपुतलिया है मेरे यारों...
*
हवां के तूफानों में भी भुझे नहीं 
यह मुहब्बत के दीये है मेरे यारों...
*
बड़ी मुद्दतों के बाद उनका सलाम आया
यह उनकी मुहब्बत नहीं, दिल की बेबसी है मेरे यारों...

#रोमिल

Pink Roses... Maa Tere Liye...


Aadhora chand nikal aaya hai.

Jab bhi kuche-e-gali se main nikala uske bina
logon ko yeh kehte suna 
aadhora chand nikal aaya hai.

#Romil

जब भी कुचे-ए-गली से मैं निकला उसके बिना
लोगों को यह कहते सुना
अधूरा चाँद निकल आया हैं।

#रोमिल

Thursday, September 27, 2012

बसाये अपनी दुनिया हम दोनों जहाँ से दूर

बसाये अपनी दुनिया हम दोनों जहाँ से दूर
इस मुहब्बत-ए-ज़ालिम दुनिया से दूर
उस तकदीर-ए-मालिक खुदा से दूर

चारों तरफ फैला हो खुशियों का बगीचा
हम-तुम रहे सदियों तक खिज़ा से दूर

मेरी झुकाती नज़रों ने वोह काम कर दिया
जिससे रहे मेरे लब-ओ-जुबान मीलों दूर

बहुत देख लिए है हमने-तुमने जुदाई के बसंत
अब मिलन हो जाये
न रहो तुम हमसे दूर, न रहे हम तुमसे दूर.

#रोमिल

Red Rose... Maa Tere Liye...


Zindagi Naam-E-Hussain se

Zindagi Naam-E-Hussain se mansuub rahe
Aur kisi se ristha rahe na rahe.

#Romil

(Mansuub = Related)

ज़िन्दगी नाम-ए-हुसैन से मंसूब रहे
और किसी से रिश्ता रहे न रहे।

#रोमिल


Uski chuppi, uski khamoshi par na ja

Uski chuppi, uski khamoshi par na ja
Abhi baki usmein aawaz bhi hai.

Na samaj use pinjare ka panchi
Abhi baki uske pankhon mein udaan bhi hai.

Itna bhi na samjho mujhe akela
Mere kai dost, humraaz bhi hai.

Aur tum to bas itne mein hi thak  haar gaye
Mohabbat-E-zindagi mein aane abhi kai toofan bhi hai.

#Romil

उसकी चुप्पी, उसकी ख़ामोशी पर न जा
अभी बाकी उसमें आवाज़ भी है...

न समझ उसे पिंजरे का पंछी
अभी बाकी उसके पंखों में उड़ान भी है 

इतना भी न समझो मुझे अकेला
मेरे कई दोस्त, हमराज़ भी है

और तुम तो बस इतने में ही थक-हार गए
मोहब्बत-ए-ज़िन्दगी में आने अभी कई तूफ़ान भी है।

#रोमिल

Raat ke 2 baje...

TIMEPASS !

Raat ke 2 baje Sultanpur mein baith kar Chai ki chuski lete hue khayal aaya
Ki zindagi itni akeli, kabhi na thi
Ki roz ek soj, ek paheli kabhi na thi
Kabhi nahi kisi ka khayal reh-reh kar aata tha
Kabhi nahi koi iskadar yaad aata tha
Kabhi nahi mobile ko hum baar-baar niharate the
Kabhi nahi kisi ko itna mann hi mann gussa hum karte the
Kabhi nahi kisi ki tasveer se ladate the.

Kabhi kabhi sochata hoon ki zindagi itni akeli na thi...

- Romil Lucknawi.

Wednesday, September 26, 2012

Hazaron aibon se

Hazaron aibon se chutkara pa liya maine, bas yahi aib mujh mein baaki hai
Tasveer uski seene se na lagao to kambakht mujhe neend nahi aati hai.

#Romil

हजारों ऐबों से छुटकारा पा लिया मैंने, 
बस यही ऐब मुझमें बाकी है
तस्वीर उसकी सीने से न लगाओ तो कमबख़्त मुझे नींद नहीं आती है।

#रोमिल

Tuesday, September 25, 2012

Uski is ada par qurban hum jaye

Uski is ada pe qurbaan hum jaye
Kehte hai ishq bhi humse karo par khayal rahe juban pe hamara naam bhi na aaye.

- Romil Lucknawi.

उसकी इस अदा पे कुर्बान हम जाये
कहते है इश्क भी हमसे करो पर ख्याल रहे जुबान पे हमारा नाम भी न आये।

- रोमिल लखनवी

Chahe jitni chala lo aandhiyaan

Chahe jitni bhi chala lo aandhiyaan
Iski lau na bhuja paoge
Yeh woh chirag hai jo Allah ki panah mein rehta hai...

- Romil Lucknawi.

चाहे जितनी भी चला लो आंधियाँ
इसकी लौ न भुझा पाओगे
यह वोह चिराग है जो अल्लाह की पनाह में रहता है।

- रोमिल लखनवी 

Lab mere mithas se bhare rehte hai

लब मेरे मिठास से भरे रहते है
नाम-ए-हुसैन मैंने पिया है बहुत।

- रोमिल


Lab mere mithas se bhare rehte hai
Naam-E-Hussain maine piya hai bahut.

- Romil Lucknawi.

Dheemi-Dheemi Jalti Bhattiyon Ki Aanch

Dheemi-Dheemi jalti bhattiyon ki aanch par angadai lena
Koi ghost se to seekhe Lakhnavi Seek Kabab hona.

- Romil Lucknawi.

धीमी-धीमी जलती भट्टियों की आँच पर अंगड़ाई लेना
कोई घोस्ट से तो सीखे लखनवी सीक-कबाब होना। 

- रोमिल लखनवी

Monday, September 24, 2012

Ta-Umar Rooh Ko Zakhami Karte Rahenge

Ta-Umar rooh ko zakhami karte rahenge yeh do din zindagi ke
Pehla Ruksat-E-Maa ka, dusara Maatam-E-Hussain ka.

- Romil Lucknawi.


ता-उम्र रूह को ज़ख़्मी करते रहेंगे यह दो दिन ज़िन्दगी के 
पहला रुक्सत-ए-माँ का, दूसरा मातम-ए-हुसैन का।

- रोमिल लखनवी

Beautiful Pink Rose... Bhavo Tere Liye


Nashe-E-Ishq mein do gunah kiye hai maine

Nashe-E-Ishq mein do gunah kiye hai maine
Ek Allah ki bandagi se door raha hun
Dusara Maa ka dil dukhaya hai maine.

#Romil

नशे-ए-इश्क में दो गुनाह किये है मैंने
एक अल्लाह की बंदगी से दूर रहा हूँ
दूसरा माँ का दिल दुखाया है मैंने।

#रोमिल

Sunday, September 23, 2012

Deepak... Maa Tere Liye...


Khayal uska liye

Khayal uska liye Allah ki bandagi mein hoon
Mujhe gunehgar na samjho main Ishq ke aakhiri daur mein hoon.

- Romil Lucknawi

ख्याल उसका लिए अल्लाह की बंदगी में हूँ 
मुझे गुनेह्गर न समझो में इश्क़ के आखिरी दौर में हूँ।

- रोमिल लखनवी 

Saturday, September 22, 2012

Red Rose... Maa Tere Liye...


Allah janta hai

Har rastee ki khabar Allah janta hai
Tu chal, bas chal, na kar fikr Allah janta hai

Hai tere kai raaz, Allah janta hai
Teri neki-badi ka hisaab Allah janta hai

Kab khulegi teri qismat Allah janta hai
Kyon laga hai is par taala Allah janta hai

Kab aayegi tujhe maut Allah janta hai
Maut ke baad kahan hoga tera jahan Allah janta hai

Kyun chal rahi hai qainat Allah janta hai
Ab aayegi qayamat Allah janta hai

Tere qadam-dar-qadam Allah janta hai
Tere har rastee ki khabar Allah janta hai

- Romil Lucknawi

Friday, September 21, 2012

Roses... Maa Tere Liye...


Saare sawalon ke jawab

Saare sawalon ke jawab taiyaar hai uske pass
Lagta hai pehle se hi bewafai ka irada tha...


- Romil Lucknawi.

सारे सवालों के जवाब तैयार है उसके पास
लगता है पहले से ही बेवफाई का इरादा था।

- रोमिल लखनवी

chalo teri baaton par

"chalo teri baaton par aitbaar kar lete hai zaalim
tum bhi insaan ho koi jhoote kisse-kahaniyon ki likhi kitab nahi"


- Romil Lucknawi

चलो तेरी बातों पर ऐतबार कर लेते है ज़ालिम
तुम भी इंसान हो कोई झूठे किस्से-कहानियों की लिखी किताब नहीं।

- रोमिल लखनवी 

Yeh garib ka chula hai...

Siyasat-e-sehansha yeh garib ka chula hai isse kahan GDP samaj aati hai
Kahan yeh Rajkoshiye Ghata samaj pata hai
Vikas Dar se bhi iska koi sarokar nahi

Yeh garib ka chula hai...

Isse to bas badti hui mehangai nazar aati
Handi mein pani ke beech pakti hui chawal ki kankari nazar aati hai
Bhookhe sote hue bacche, majboor maa-baap ki bheeghi aankhein nazar aati hai.

Yeh garib ka chula hai...

Express Way bhi kahan isko dikhata hai
Mall se bhi kahan iska koi rishta hai
Free mobile ki dhun bhi kahan sukhi lakdi ka kaam kar payegi
Bharat Bandh ki goonj se kahan yeh jalta hai

Yeh garib ka chula hai...

Mahine mein 15 din yeh jal nahi pata hai
Mann mein kitne vyanjano ko pakane ki abhilasha lekar roz marr yeh jata hai
Ab iska shinghar, pooja pehle jaisi hoti nahi
Ab maa isko mitti se leep kar sukhoti nahi

Yeh garib ka chula hai isse GDP samaj aati nahi...

- Romil Lucknawi

Yeh kiske liye...

Yeh kiske liye haanthon mein heena sajaye baithe ho
Raja Ji to hai pardesh mein Rani kiske liye shinghar sajaye baithe ho
Kyun khanak rahi hai baar-baar payal tumhari
Kiske intezaar mein kiwad par nazare tikaye baithe ho!

BOLO?

- Romil Arora

यह किसके लिए हाथों में हिना सजाये बैठे हो
राजा जी तो है परदेश में रानी किसके लिए श्रंगार सजाये बैठे हो
क्यों खनक रही है बार-बार पायल तुम्हारी
किसके इंतज़ार में किवाड़ पर नज़ारे टिकाये बैठे हो।

बोलो?

- रोमिल अरोरा    


Thursday, September 20, 2012

Gagan ko chumati iski khokali deewarein

Gagan ko chumati Iski khokali deewarein hamara itihaas bayan karti hai
Is khandar mein, main akela nahi rehta bujurgon ki duaien saath rehti hai.
Tum laga nahi sakte hamare shaan-o-shauqat ka hisaab
Aaj bhi hamare ghar ki betiyaan tehzeeb-ijjat-pardedari-prakarm ke saath rehti hai.

#Romil

गगन को चूमती इसकी खोखली दीवारें हमारा इतिहास ब्यान करती है
इस खंडर में, मैं अकेला नहीं रहता बुजुर्गों की दुआएँ साथ रहती है 
तुम लगा नहीं सकते हमारे शान-ओ-शौक़त का हिसाब
आज भी हमारे घर की बेटियाँ तहज़ीब-इज्ज़त-परदेदारी-पराक्रम के साथ रहती है।

#रोमिल

Wednesday, September 19, 2012

Ab mumkin nahi hai

Ab mumkin nahi hai mere qalam se tera zikr hona
Khud mere haanthon se apna bura hona.

- Romil Lucknawi.

अब मुमकिन नहीं है मेरे कलम से तेरा ज़िक्र होना
खुद मेरे हाथों से अपना बुरा होना।

- रोमिल लखनवी  

Uski nigahoon ke isharon se rukh gaye qadam

Uski nigaah ke isharon se ruk gaye qadam
Thak kar bole lagta hai manzil pe pahuch gaye hai hum
Aur woh jisse teri mehfil mein hote the hungame
Na jaane kahan hai woh gungharoo,
woh haanthon mein bandhe phool,
woh jaam ka pyala, kahan baithe hue hai hum...

- Romil Lucknawi.

उसकी निगाह की इशारों से रुक गए क़दम
थक कर बोले लगता है मंजिल पे पहुँच गए है हम
और वोह जिससे तेरी महफ़िल में होते थे हंगामे
न जाने कहाँ है वोह घुँघरू
वो हाथों में बंधे फूल
वोह जाम का प्याला
कहाँ बैठे हुए है हम।

- रोमिल लखनवी       

Tuesday, September 18, 2012

Basaye apni dunia hum dono jahan se door

Basaye apni dunia hum dono jahan se door
Is mohabbat-e-zalim dunia se door
Us taqdeer-e-malik khuda se door.

Charon taraf fhela ho khushiyon ka  bagicha
Hum-Tum rahe sadiyon tak khiza se door

Meri jhukati nazaron ne woh kaam kar diya
Jisse rahe mere lab-o-juban milon door

Bahut dekh liye hai humne-tumne  judai ke basant
Ab milan ho jaye
Na raho tum humse door, na rahe hum tumse door.

- Romil Lucknawi..

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko
Gunehgaron mein shaamil hoon, bina kiye gunah ko.

- Romil Lucknawi.

फ़िक्र-ए-रोज़ी में भूला बैठे खुदा को
गुनेह्गारों में शामिल हूँ, बिना किये गुनाह हो।

- रोमिल लखनवी

Monday, September 17, 2012

Na samajhana mujhe anadi...

TIMEPASS

Na samajhana mujhe anadi
Main hoon ek khiladi
Na seedhi saadhi bohli
Main hoon tez dhari
Na mujhe gunda chahiye, na chahiye mawali
Main hoon DON ki beti
DON ki hi banungi gharwali...
Yeh baat samaj aai
Ya fir doon ek gali...
Teri bhehan ki..

Na samajhana mujhe anadi
Main hoon ek khiladi

hehehe

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le
Ki tu mera paigaam na le
Dil ko yeh hausala hi rehne de, ki tu door sahi hai
Khamosh rehkar tu mera imtiham na le.

- Romil Lucknawi.

मुझसे मोहब्बत का ऐसा इंतेक़ाम न ले
कि  तू मेरा पैगाम न ले 
दिल को यह हौसला ही रहने दे, की तू दूर सही है
खामोश रहकर तू मेरा इम्तिहाम न ले।

- रोमिल लखनवी  

Sunday, September 16, 2012

Main Kya Karoon... Iss Dil Ka Main Ab Kya Karoon - Barfi (2012)

Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi aisa hota tha nahi
Hmm..
Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi, aisa hota tha nahi
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff ab main kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil ka kya karoon, main kya karoon...

Karta awaargi 
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Karta awaargi 
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Na jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Ulti yeh baat hai
Aise halaat hai
Ghalti kare yeh main bharu

Uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil ka kya karoon, main kya karoon...

Dil pe mera kaabu nahin
Fitrat kabhi iski aisi thi nahin
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Uff ab main kya karoon...

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है
मेरे दिल-ओ-दिमाग़ पर एक कोहराम मचा रखा है
रात भर चहकती है उसकी बोलियाँ कानों में
उस ज़ालिम ने सोना हराम कर रखा है। 

बैठे हुए देखूं तो एक आफत सी लगती है
चलते हुए क़यामत नाम रखा है
होगा किसी कोठी के साये में उसका आशियाना
अभी तो उसने हमारे घर डेरा डाल रखा है।

और

उसकी मीठी बोलियों पर मत जा रोमिल
इसने न जाने कितनो को अपना आशिक बना रखा हैं।

- रोमिल लखनवी 

White Rose... Maa Tere Liye...


Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski
Isme kisi aur ka khayaal aaye to duniya khak ho jaye.

- Romil Lucknawi.

मेरे दिल की दुनिया पे चलती है हुकुमत उसकी
इसमें किसी और का ख्याल आये तो दुनिया खाक हो जाये।

- रोमिल लखनवी 

Saturday, September 15, 2012

White Rose... Bhavo Aapke Liye...


Kadr nahi hai unko tere alfazon ki

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki
Behtar hoga kuch pal le liye lab khamosh ho jaye.

- Romil Lucknawi.

कद्र नहीं है उनको तेरे अल्फाजों की
बेहतर होगा कुछ पल के लिए लब खामोश हो जाये।

- रोमिल लखनवी  


Bistar par raat angadai mein guzar di

Bisrat par raat angadai mein guzar di
Lete rahe sholon par, ishqk ne hawa di.
Kambakkht mehak uski raat bhar aati rahi hamare jism se
Yeh kaun si itra usne baahon mein bhar kar dal di.

- Romil Lucknawi.

बिस्तर पर रात अंगड़ाई में गुज़र दी
लेटे रहे शोलों पर, इश्क ने हवा दी
कम्बक्ख्त महक उसकी रात भर आती रही हमारे जिस्म से
यह कौन सी इत्र उसने बाहों में भर कर डाल  दी।

- रोमिल लखनवी 
   
    

Vachan

Main vachan deta hoon ki main hamari beti ko khud school chhod kar aayunga... aur shaam ko unko padaunga bhi baba... sacchi baba...

Thursday, September 13, 2012

मुहब्बत-ए-बाज़ार

मुहब्बत-ए-बाज़ार में इस तरह हमारी बोली लगाई गई   
कभी हमारी कीमतें आसमान में चढ़ाई गई 
कभी  कीमतें  हमारी ज़मीन पर लाई गई।   

- रोमिल लखनवी

Red Roses... Bhavo Tere Liye...


वचन

मैं वचन देता हूँ कि हमारी बेटी को सुबह स्कूल जाते वक़्त में ही तैयार करूँगा। सच्ची बाबा।

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya
Pathar khuda banne se reh raha
Sab jante the ki woh heera hai heera
Bas chamakane se reh gaya.

- Romil Lucknawi.

यह दिल किसी का घर बनने से रह गया
पत्थर खुदा बनने से रह गया 
सब जानते थे कि वोह हीरा है हीरा 
बस चमकने से रह गया।

- रोमिल लखनवी 


Wednesday, September 12, 2012

This is for u... Maa... from me...


Karke yaad Maa ko aansoo baha lena

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena
Kabhi dard-e-dil yunh bhi bhadha lena.

Hazar haseen-o-khoobsurat woh ho lekin
Tum uske dil ko jarur farakh lena.

Kisi ko chhot lage aur dil tumhara dukhe
Umar chhoti hai, yunh bhi zindagi-e-safar guzar dena.

aur

Chahe  marr jao kisi masjid ke samne
Tum bhoolkar bhi na haath kisi nakhuda ke samne faila dena.

#Romil

करके याद माँ को आँसू बहा लेना
कभी दर्द-ए-दिल यूँ भी बढ़ा लेना...

हजार हसीन-ओ-खूबसूरत वो हो लेकिन
तुम उसके दिल को जरूर परख लेना...

किसी को चोट लगे और दिल तुम्हारा दुःखे
उम्र छोटी है, यूँ भी ज़िन्दगी-ए-सफर गुज़ार लेना...

और

चाहे मर जाओ किसी मस्जिद के सामने
तुम भूलकर भी ना हाथ किसी नाख़ुदा के सामने फैला देना...

#रोमिल

Vachan

Main vachan deta hoon ki main hamari beti ke subah aur raat ke diapers khud chance karunga...sacchi baba...

TIME PASS REAL - KAKSHA SADE SAATH PASS

TIME PASS REAL

Judge - Karwai shuru kare.

Vakil Babu - Kitna padhe ho?

Male Client  - Sade Saath Kaksha tak.

ROMIL - Hahaha... Bhehan ke l..d yahi harami hai...Seedha jawab nahi de sakta hai... Vakil sahab iska divorce karao...  yeh saala ulta bolta hoga tabhi ladki divorce chah rahi hai..

Vakil Babu - Seedha jawab de.

Male Client - Kaksha aath ki chhamai pariksha pass kiye hue hai.

Romil -  hahaha...

Tuesday, September 11, 2012

FRIENDSHIP BAND... MAA TERE LIYE...


Haawan ke jhokhon mein bebasi se tadap chuke hai

Haawan ke jhokhon mein bebasi se tadap chuke hai
Yeh mohabbat ke woh phool hai jo ab bikhar chuke hai
Kabhi idhar se guzarana to ek nazar dekh lena
Har phool par tere naam likhe hue hai.

- Romil Arora

वचन

मैं वचन देता हूँ कि जब भी टूर पर रहूँगा तुमको तीन टाइम फ़ोन करूँगा
सुबह, दोपहर और रात। 
क्यूंकि तीन बार आपसे डांट की डोस जरुरी है।   

Monday, September 10, 2012

Meri khawaish hai ki...

Meri khawaish hai ki hotel ke is viran-o-banjar kamre mein utare koi suraj
Ek raat mujhe apni baahon mein mom ki tarah fhiglaye koi...

Kahi se aa jaye us sangdil ka sms
Door se hi raat bhar prem agan jalaye koi...

#Romil

मेरी ख्वाइश है कि होटल के इस वीरान-ओ-बंजर कमरे में उतरे कोई सूरज
एक रात मुझे अपनी बाहों में मोम की तरह पिघलाएं कोई...

कही से आ जाये उस संगदिल का एसएमएस
दूर से ही रातभर प्रेमअगन जलाए कोई...

#रोमिल

वचन

 मैं यह वचन देता हूँ कि कभी भी अपने अन्डर गारमेन्ट्स तुमको धोने के लिए नही दूंगा।   
हा हा हा

Sunday, September 9, 2012

Ae Mere Udas Mann Chal Dono Kahin Door Chalein - Maan Abhiman

Aye mere udas mann chal dono kahin door chalein
Mere humdam teri manzil ye nahin ye nahin koi aur hai
Is bagiya ka har phool deta hai chubhan kaaton ki
Sapne ho jate hain dhool kya baat kare sapnon ki
Mere saathi teri duniyan ye nahin ye nahin koi aur hai.

Jaane mujhse hui kya bhool jise bhool saka na koi
Pachtave ke aansoon meri aankh bhale hi roi
O re pagle tera apna ye nahin ye nahin koi aur hai
Patthar bhi kabhi ek din dekha hai pighal jate hain
Ban jate hain sheetal neer jharne mein badal jate hain
Teri peeda se jo pighale ye nahin ye nahin koi aur hai.

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai   
Kaash koi sagar mil jaye jo samaye mujhko.
Mohabbat karne wale to bahut mil jayenge 
Kaash koi aaisa ho jo mohabbat seekhaye mujhko.

- Romil Lucknawi.

बूंदों से कहाँ अपनी प्यास भुझने वाली है
काश कोई सागर मिल जाये जो समाये मुझको।
मुहब्बत करने वाले तो बहुत मिल जायेंगे 
काश कोई ऐसा हो जो मुहब्बत सीखाये मुझको। 

- रोमिल लखनवी

Red Rose... Maa Tere Liye...