Sunday, September 29, 2013

na meetha ban ki chhat kar jaye tujhe

na meetha ban ki chhat kar jaye tujhe
na kadwa ban ki jo chakhe so thuke.

mard moustache wala

mard moustache wala
bail puuch wala
gaadi bharpur (peeche adhik saman rahe ya reh sake)
aur patni kam bolne wali hone chahiye

Isse badhkar dost koi dusara nahi hota

Isse badhkar dost koi dusara nahi hota
sab juda ho jayein, magar gum juda nahi hota.

hai mumkin dushmani par sabr kar lena

hai mumkin dushmani par sabr kar lena
magar yeh doston ki berukhi dekhi nahi jaati.

है मुमकिन दुश्मनी पर सब्र कर लेना 
मगर यह दोस्तों की बेरुखी देखी नहीं जाती.

Janam janam ho tu hi mere paas Maa Video and Lyrics - Phata Poster Nikla Hero (2013)

Janam janam ho tu hi mere paas Maa

Janam janam ho tu hi zameen aasman

Janam janam ho tu hi mere paas Maa
Janam janam ho tu hi zameen aasman

Yeh hai khabar dil mein kahin
Rab reh rehta hai magar
Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa
Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa

Pagli hai duniya Rab ko manaane
Mandir mazaaron tak jaati hai
Ghar mein hi mere hota hai teerath
Mujhko nazar jab Maa aati hai
Mujhko nazar jab Maa aati hai

Janam janam tu meri ardaas Maa
Janam janam tu mera ehsaas Maa
Sach ka pata dil mein hi hai
Par mujhko yeh pata
Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa
Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa

Bachpan se ab tak Maa se kya seekha
Main yeh jahaan ko batlaaoonga
Jab naaz hoga tumko bhi mujh pe
Woh din yakeenan main laaoonga
Woh din yakeenan main laaoonga

Janam janam hoon tera vishwas Maa..
Janam janam rahoon main tere paas Maa
In khwaahishon in koshishon se pehle to magar
Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa

Mere dil mein rehti bholi bhali meri Maa

Sad Version

Maa...
Maa...

Mana bada hoon..
Tanha khada hoon..
Kaise jiyunga yoon jo chhoda..
Chup na raho tum..
Kuchh to kaho tum..
Achcha chalo phir daant lo thoda..
Achcha chalo phir daant lo thoda..

Maa...
Maa...
Janam janam... Ho tu hi mere paas maa...
Janam janam.. Ho tu hi zameen aasmaan..
Sah lunga main sab sahke bhi..
Kah doonga yeh magar..
Mere dil mein rahti bholi bhali meri maa...
Mere dil mein rahti bholi bhali meri maa...

Daadu duniya bawari, paathar pujan jaye

Daadu duniya bawari, paathar pujan jaye
Ghar ki chakki na puje, jaaka peesa khaye.

mere dard ke muqabale to yeh kuch bhi nahi

mere dard ke muqabale to yeh kuch bhi nahi
mere gum aapko mile hote
aapne hosh kho diye hote
mera dum hai ki main muskurata hoon
aap hote to ro diye hote. 

daane-daane par likha hai khane wale ka naam

daane-daane par likha hai khane wale ka naam
lene wale crore, dene wala ek raam
koi kitna ameer, koi kitna garib
khaye utna hi jitna jiska naseeb.

Jannat ki aarzoo mein jeena na chhod de

Jannat ki aarzoo mein jeena na chhod de
Mehkhane ki wajah se zinda hai, peena na chhod de
Tabhai ka farmaan Khuda ka hi tha, ya fir galatfehmi hai meri
Khuda, itna na jurm dha ki log tera sajda hi chhod de.

#Romil

जन्नत की आरज़ू में जीना ना छोड़ दे
महखाने की वजह से जिंदा है, पीना ना छोड़ दे,
तबाही का फ़रमान ख़ुदा का ही था, या फिर गलतफहमी है मेरी
खुदा, इतना ना जुर्म ढाह की लोग तेरा सजदा ही छोड़ दे...

#रोमिल

Saturday, September 28, 2013

darshan matra se nari chit hare

darshan matra se nari chit hare
sparsh matra se bal hare
sambhog kriya se vihrya hare.

dukh sada rehta nahi, par sukh ka bhi hai ant

dukh sada rehta nahi, par sukh ka bhi hai ant
yeh sochkar hota nahi vichalit kabhi bhi sant

Juta pahine size ka, bada bharosa biyaahi ka

"Juta pahine size ka, bada bharosa biyaahi ka"

farmaish dekar banwaya gaya juta aur vivahit istri ka vishwas karna theek hai.
ghatiya daam ke jute aur rakkhe ki aurat ka koi bharosa nahi, na jaane kab yeh dhokha de jaye.

Dost bhoole sagai ke baad

Dost bhoole sagai ke baad
Maa-baap bhoole shaadi ke baad
aur 
Duniya bhoole bacchon ke baad !

Friday, September 27, 2013

Shehnai ki goonj mein siskiyon ki aawaz chhup gai

Shehnai ki goonj mein siskiyon ki aawaz chhup gai
Bahut zakhm the uske hoonthon pe, aah chhup gai

aur

Jhurriyan padh gai chehare pe jawani mein use
daulat ki hawas mein zindagi jakar pardesh mein chhup gai

Bada gehra tallukh hai ishq se barbadi ka
Lakh use khud se nikalna chahu par na jaane kahan uski rooh jakar mujhmein chhup gai

aur

Khushiyon ke daavedar sab yahan hai
bas na jaane kahan jakar yeh khushiyaa chhup gai.

#Romil

शहनाई की गूंज में सिसकियों की आवाज छुप गई 
बहुत जख्म थे उसके होठों पे, आह छुप गई 

और

झुर्रियां पड़ गई चेहरे पर जवानी में उसे 
दौलत की हवस में जिंदगी जाकर परदेस में छुप गई 

बड़ा गहरा ताल्लुक है इश्क से बर्बादी का 
लाख उसे खुद से निकलना चाहूँ पर न जाने कहां उसकी रूह जाकर मुझमें छुप गई 

और 

खुशियों के दावेदार सब यहां हैं बस न जाने कहाँ जाकर खुशियां छुप गई...

#रोमिल

is aawaz ko aane se pehle naiki kar lo

"Romil, duniya mein nahi raha." is aawaz ko aane se pehle naiki kar lo.

"jeete-jee karo teen kaam,
pehla mandir banao
duja karo vidyalay nirmaan
teejo karo rogi ka kalyaan"

pehla sukh nirmal kaaya

pehla sukh nirmal kaaya, duja sukh ghar mein maya,
teeja sukh sushil naari, chautha sukh putra agyakaari.

pehlo sukh nirogi kaaya, dujo sukh ho ghar mein maya,
tejo sukh putra adhikari, chautho sukh prativrata nari,
paachvon sukh raj mein paasa, chaato sukh suisthane baasa,
saatvon sukh vidya fhaldaata, aye saaton sukh rachiya vidhata.

preet na jaane jaat, neend na jaane tooti khat

preet na jaane jaat, neend na jaane tooti khat,
bhookh na jaane baasi bhaat, pyas na jaane dhobhi-ghaat.

deep ko din mein jalane se kuch nahi hoga

deep ko din mein jalane se kuch nahi hoga
rakh mein aag lagane se kuch nahi hoga
ab milegi tujhe mumtaj kahan ohhh sehansha
laash par taj uthane se kuch nahi hoga...

Thursday, September 26, 2013

Yunh hi maine tujhe paane ki tamanna ki thi

Yunh hi maine tujhe paane ki tamanna ki thi
jaise gunehgaar hokar, jannat ki aarzoo ki thi

Kaash, us din bahut tez chali hoti haawan
Jin din kisi dusare ne tera aanchal pakadne ki justju ki thi.

#Romil

यूं ही मैंने तुझे पाने की तमन्ना की थी 
जैसे गुनहगार होकर, जन्नत की आरजू की थी... 

काश, उस दिन बहुत तेज चली होती हवा 
जिस दिन किसी दूसरे ने तेरा आंचल पकड़ने की जुस्तजू की थी... 

#रोमिल

Wednesday, September 25, 2013

Sab log mujhse katrane lage hai aajkal

Sab log mujhse katrane lage hai aajkal
Main lakh koshish kar chuka hoon, mooh se sach bolane ki bimari nahi jaati.

Dil bhi aisa kambhakt mila hai mujhe
Use paane ki chahat hi nahi jaati.

Miya, Na rahi kothiyan, na woh shaan-o-shaulat, na woh saltanat
Magar mere lehjhe se sultano wali ada nahi jaati.

aur

Aaj bhi hum sote waqt apne sar ke neeche, takiye ki jagah apna haath rakhate hai uska haath samaj kar
Khuda, use apne kareeb mehsus karne ki aarzoo nahi jaati.

#Romil

सब लोग मुझसे कतराने लगे हैं आजकल 
मैं लाख कोशिश कर चुका हूं, मुंह से सच बोलने की बीमारी नहीं जाती... 

दिल भी ऐसा कमबख्त मिला है मुझे 
उसे पाने की चाहत ही नहीं जाती... 

मियां, ना रही कोठियां, ना वो शान-ओ-शौकत 
ना हो सल्तनत 
मगर मेरे लहज़े से सुल्तानो वाली अदा नहीं जाती... 

और 

आज भी हम सोते वक्त अपने सर के नीचे, 
तकिया की जगह अपना हाथ रखते हैं उसका हाथ समझकर
खुदा, उसे अपने करीब महसूस करने की आरजू नहीं जाती...

#रोमिल

Tuesday, September 24, 2013

Maa kehti thi...

Maa kehti thi...

Subah uthate hi ghar ke bujurgon ke pair chua karo
Yeh woh mitti hai, jo phoolon ke baag khilati hai.

Bujurgon ki gaaliyon ko bhi kadvi davai samaj pi liya karo
Yeh woh amrit hai jo zindagi ke bure rogon ko door bhagati hai.

Kabhi apne haaton se roti ke do nivale khilao inko
Yeh woh karm ki kamai hai jo umar bhar dua ban saath rehti hai.

aur

Mere hoonton se khuda ko sukriya nikalta hai
Jab bujurgon ki khilkhilahat, poori haveli mein goonjne lagti hai.

#Romil

मां कहती थी 

सुबह उठते ही घर के बुजुर्गों के पैर छुआ करो 
यह वो मिट्टी है, जो फूलों के बाग खिलाती है... 

बुजुर्गों की गालियों को भी कड़वी दवाई समझ पी लिया करो 
यह वह अमृत है जो जिंदगी के बुरे रोगों को दूर भगाती है... 

कभी अपने हाथों से रोटी के दो निवाले खिलाओ इनको
यह वो कर्म की कमाई है जो उम्रभर दुआ बन साथ रहती है... 

और 

मेरे होठों से खुदा को शुक्रिया निकलता है 
जब बुजुर्गों की खिलखिलाहट पूरी हवेली में गूँजने लगती है...

#रोमिल

khuda se pehle...

khuda se pehle, maa ke pairon mein sar jhuka hona chahiye
maa ka darja, sabse uccha hona chahiye.

aapse mohabbat hai, sirf aapse mohabbat hai, maut tak yeh mohabbat nibhayungi
har jeevan-saathi mein aisa sankalp hona chahiye.

yeh garibi, yeh majbooriyan kahin chaat na jaye khushiyaan
thode main hi sahi par khushi-khushi guzara hona chahiye
  
aur

"main  ghar ke badhe-bhudhon ki khidmat ke liye aai hoon"
ghar ki bahu mein aise sanskar-aisa bhaav hona chahiye.

#Romil

खुदा से पहले, मां के पैरों में सर झुका होना चाहिए 
मां का दर्जा, सबसे ऊंचा होना चाहिए. 

आपसे मोहब्बत है, सिर्फ आपसे मोहब्बत है, मौत तक यह मोहब्बत निभाऊंगी 
हर जीवन साथी में ऐसा संकल्प होना चाहिए. 

यह गरीबी, यह मजबूरियां कही चट ना जाए खुशियां 
थोड़े में ही सही पर खुशी-खुशी गुजारा होना चाहिए.

और 

"मैं घर के बड़े-बूढ़ों की खिदमत के लिए आई हूं"
घर की बहू में ऐसे संस्कार-ऐसा भाव होना चाहिए.

#रोमिल

Sunday, September 22, 2013

Zindagi mein

Zindagi mein khush rehne ki aarzoo kiski nahi hoti hai...
Muskil to ismein hai, tumhare bina khush rahoon mein kaise?

Sanam hokar saalon nahi mila mujhse
Usse kehna ki kabhi mujhe dhoondhane aaye
Khush rehne ki baat karna bemani-fizool hai tumhari
Usse kehna ki kabhi mujhe hasane aaye...

#Romil

जिंदगी में खुश रहने की आरजू किसकी नहीं होती है... 
मुश्किल तो इसमें है, तुम्हारे बिना खुश रहूं मैं कैसे? 

सनम होकर सालों नहीं मिला मुझसे 
उससे कहना कि कभी मुझे ढूंढने आए 
खुश रहने की बात करना बेमानी-फिजूल है तुम्हारी 
उससे कहना कि कभी मुझे हँसाने आए... 

#रोमिल

EK YEH BHI WAJAH

"ROMIL EK YEH BHI WAJAH HO SAKTI HAI MERI USSE NAFRAT KI
MAINE USSE UMEEDEIN BAHUT LAGA RAKHI THI"

#ROMIL

रोमिल एक यह भी वजह हो सकती है मेरी उससे नफरत की 
मैंने उससे उम्मीदें बहुत लगा रखी थी...

#रोमिल

mujhe aisi jagah

mujhe aisi jagah jaane ki aarzoo hai E Khuda
jahan na main hoon, jahan na uski yaad ho...

#Romil

मुझे ऐसी जगह जाने की आरजू है ए खुदा 
जहाँ ना मैं हूं, जहाँ ना उसकी याद हो... 

#रोमिल

jaate-jaate woh mujhe ek aur zindagi ka shabak de gaya

jaate-jaate woh mujhe ek aur zindagi ka shabak de gaya 
usse rishta bahut gehra tha, zakhm bhi gehra de gaya...

#Romil

जाते-जाते वो मुझे एक और जिंदगी का सबक़ दे गया
उससे रिश्ता बहुत गहरा था, जख्म भी गहरा दे गया... 

#रोमिल

Saturday, September 21, 2013

kisi roz dekh lena

kisi roz dekh lena tum apne paon ko palat kar
laut kar, chal kar, tumko wapas aana hindustain hi hai.
har baat jante hue bhi dil manta nahi hai tumhara
pardesh mein pori hoti ishq ki dastan nahi hai.

aur

kis darr ki baat karti ho tum
kya ishq-e-izhaar se tumhara dil darta nahi hai
kya usko apnane se tumhara dil darta nahi hai.

#Romil

किसी रोज देख लेना तुम अपने पांव को पलट कर 
लौट कर, चल कर, तुमको वापस आना हिंदुस्तान ही है 
हर बात जानते हुए भी दिल मानता नहीं है तुम्हारा 
परदेश में पूरी होती इश्क़ की दास्तान नहीं है 

और 

किस डर की बात करती हो तुम 
क्या इश्क-ए-इज़हार से तुम्हारा दिल डरता नहीं है 
क्या उसको अपनाने से तुम्हारा दिल डरता नहीं है... 

#रोमिल

Friday, September 20, 2013

jaate-jaate labon se hansi bhi le gaya

jaate-jaate labon se hansi bhi le gaya
woh shaks meri aankhon se neendein bhi le gaya...

jab maut kareeb aai to yeh khayal aaya
woh shaks apne saath meri zindagi bhi le gaya...

ab itni si baat par kya use bewafa kahein
woh shaks meri saari waafein bhi le gaya...

bahut dino se mulaqat nahi hui
bahut dino se mulaqat nahi hui
woh shaks mujhse-mujhko chura le gaya...

#Romil

जाते-जाते लबों से हंसी भी ले गया 
वो शख्स मेरी आंखों से नींदे भी ले गया...

जब मौत करीब आई तो यह ख्याल आया 
वो शख्स अपने साथ मेरी जिंदगी भी ले गया... 

अब इतनी सी बात पर क्या उसे बेवफा कहें 
वो शख्स मेरी सारी वफाएं भी ले गया... 

बहुत दिनों से मुलाकात नहीं हुई 
बहुत दिनों से मुलाकात नहीं हुई 
वो शख्स मुझसे-मुझको चुरा ले गया... 

#रोमिल

Thursday, September 19, 2013

यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी

ना रहे हम,
मगर यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी,
हमारे प्यार की कहानी दुनिया को बतलाती रहेंगी !

यह खामोश कागज़ के टुकड़े है,
मगर यह मोहब्बत का सैलाब लाती रहेंगी,
यह एहसास किसी न किसी के दिल में जरुर जगाती रहेंगी,
फिर कोई प्यार के लिए जियेगा,
हम न रहे,
यह मेरी कवितायेँ, प्यार करना सीखती रहेंगी!

यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी,
तेरा-मेरा रिश्ता दुनिया को बतलाती रहेंगी !

#रोमिल

Tuesday, September 17, 2013

तन्हाई ढूँढते है

रोमिल, तन्हाई ढूँढते है हम आँसू बहाने को
चले जायेंगे हम कही दूर, कभी वापस न आने को…

#रोमिल

जो लोग मुहब्बत को जानते होंगे

जो लोग मुहब्बत को जानते होंगे,
जुदाई का दर्द क्या होता है पहचानते होंगे!

इतनी तड़प, जिसने देखी होगी मेरे अल्फाजो में,
वो तुझे मेरा खुदा मानते होंगे!

मेरी तन्हा आँखें जब किसी ने देखी होगी,
इंतज़ार की हद क्या होगी समझते होंगे! 

देखकर शमा में जलते हुए परवाने को,
लोग मोहब्बत का नतीजा जानते होंगे!

#रोमिल

Sunday, September 15, 2013

Mohabbat to humne ki thi

Mohabbat to humne ki thi, 
Mohabbat to humne ki thi, naseeb-taqdeer ko kos kar hum kya kare
Maut bakhs de aye khuda, ab hum zindagi ka kya kare
*
Main yeh chahta hoon ghar-parivar tumhara basa rahe
Main yeh chahta hoon ghar-parivar tumhara basa rahe
Magar yeh bhi chahta hoon mere ghar mein tera aks rahe.
*
Mujhe barbaad karna, sochi-samjhi sajish thi tumhari
Tum agar apna gunah na qabulon to ismein khuda kya kare.

#Romil

मोहब्बत तो हमने की थी, 
मोहब्बत तो हमने की थी, नसीब-तकदीर को कोसकर हम क्या करें 
मौत बख़्श दे ए खुदा, अब हम जिंदगी का क्या करें...

मैं यह चाहता हूं घर परिवार तुम्हारा बसा रहे 
मैं यह चाहता हूं घर परिवार तुम्हारा बसा रहे 
मगर यह भी चाहता हूं मेरे घर में तेरा अक्स रहे... 

मुझे बर्बाद करना, सोची-समझी साजिश थी तुम्हारी 
तुम अगर अपना गुनाह ना कबूलों तो इसमें खुदा क्या करें...

#रोमिल

Chalo sanam...

Chalo sanam hum-tum aisa apna jahan banaye
Jahan rooh sune, rooh sunaye !

Is talash-e-sanam mein kho gaya hoon main
Bahut de chuka, ishq ki duhai, ab khamosh ho gaya hoon main !

#Romil

चलो सनम हम-तुम ऐसा अपना जहां बनाएं 
जहां रूह सुने, रूह सुनाएं! 

इस तलाश-ए-सनम में खो गया हूं मैं 
बहुत दे चुका, इश्क की दुहाई,अब ख़ामोश हो गया हूं मैं!

#रोमिल

Friday, September 13, 2013

mere sar se qafan

Romil, mere sar se qafan hata ke ek baar tasalli to kar lo
Woh ungaliyaan ab kabhi qalam na pakad sakengi, jo kabhi tumhare intezaar mein likhati thi.

#Romil

रोमिल, मेरे सर से कफ़न हटा के एक बार तसल्ली तो कर लो
वो उंगलियाँ अब कभी क़लम ना पकड़ सकेंगी, जो कभी तुम्हारे इन्तेज़ार में लिखती थी...

#रोमिल

kia main raat mein

kia main raat mein sona chhod doon romil
yeh khawab tere jee bada jalatein hain...

#Romil

क्या मैं रात में सोना छोड़ दूं रोमिल 
यह ख्वाब तेरे जी बड़ा जलाते हैं... 

#रोमिल

Thursday, September 12, 2013

Tumhari saari daleelein

Tumhari saari daleelein bhi tumhare khilaf ja rahi hai Romil
Fir bhi dil ki yeh himaayat to dekho, tumhein bewafa nahi samajhata.

#Romil

तुम्हारी सारी दलीलें भी तुम्हारे खिलाफ जा रही है रोमिल 
फिर भी दिल की यह हिमायत तो देखो, 
तुम्हें बेवफा नहीं समझता. 

#रोमिल

jo kuch roz

jo kuch roz mujhe dekhana chahati ho tum zinda
to jhooti mohabbat-bhari baaton ka silsila jaari rakhana.

#Romil

जो कुछ रोज मुझे देखना चाहती हो तुम जिंदा 
तो झूठी मोहब्बत-भरी बातों का सिलसिला जारी रखना.

#रोमिल

Wednesday, September 11, 2013

lag chuki hai use bhi dunia ki hawan

lag chuki hai use bhi dunia ki hawa Romil
mahine beet jaate hai, woh shaks baat tak bhi nahi karta.

Daleelein to bahut hoti hai uske pass
Magar kya kare, woh apni daleelon par khara nahi utarata.

#Romil

लग चुकी है उसे भी दुनिया की हवा रोमिल
 महीने बीत जाते हैं वो शख्स बात तक नहीं करता. 

दलीलें तो बहुत होती हैं उसके पास मगर क्या करें, वो अपनी दलीलों पर खरा नहीं उतरता. 

#रोमिल

Tuesday, September 10, 2013

Aaj tanhai ko fir yeh dilasa diya Romil...

Aaj tanhai ko fir yeh dilasa diya Romil,
Woh din zindagi ka sabse bada manhus tha jis din yeh mohabbat hui thi.

#Romil

आज तन्हाई को फिर यह दिलासा दिया रोमिल,
वो दिन ज़िन्दगी का सबसे बड़ा मनहूस था जिस दिन यह मुहब्बत हुई थी...

#रोमिल

Is jahan mein tumko koi be-aib-e-yaar nahi milega

Is jahan mein tumko koi be-aib-e-yaar nahi milega
Itna dhundhoge humsafar-e-paak-saaf to umar bhar Romil tumko kunwara hi rehna padega.

#Romil

इस जहाँ में तुमको कोई बे-ऐब-ए-यार नहीं मिलेगा...
इतना ढूँढ़ोगे हमसफ़र-ए-पाक़-साफ़ तो उम्र भर रोमिल तुमको कुंवारा ही रहना पड़ेगा...

#रोमिल

Monday, September 9, 2013

HAPPY GANESHA CHATURTHI – 09th SEPTEMBER ‘2013 - YAHI PRATHANA HAI VINAYAKA AAP SABKE SABHI VIGHNA DOOR KARE - GANPATI BAPPA MORYA, MANGAL MURTI

HAPPY GANESHA CHATURTHI – 09th SEPTEMBER ‘2013

Vakratunda Mahakaya Suryakoti Samprabha
Nirvighnam Kuru Mey Deva Sarva-Karyeshu Sarvada  

Meaning : O Lord Ganesha, of Curved Trunk, Large Body, and with the Brilliance of Million Suns,
Please make all my works free of obstacles, always.

Meaning : O Lord with curved trunk and massive appearance whose splendor is equal to that of a billion suns.
Please bless me such that I do not face any obstacles in any of my endeavors, anytime.

I wish you Happy Vinayaka Chaturthi and I pray to GANNU JI for your prosperous life. May you find all the delights of life, May your all dreams come true.

#Romil

Sunday, September 8, 2013

haanton mein machis ki silaiyein liye baitha hai

haanton mein machis ki silaiyein liye baitha hai
khud apni chita ki taiyyari kiye baitha hai

maut aaye to sukun ki aaye 
maut aaye to sukun ki aaye, mere maalik
woh sadiyon ki mohabbat-e-bewafai liye baitha hai

kise yaad rehti hai ishq mein qurbani
woh ek khata pe, umar bhar ki wafaein bhulayein baitha hai

usse kya puchate ho ki woh raat bhar kya padata rehta hai
woh apne dilon ke zakhamo ki qitab liye baitha hai

aur

woh Raj na banta to hi accha tha
khud apne hi aks ko giraftar kiye baitha hai 

#Romil

हाथों में माचिस की सिलाई लिए बैठा है 
खुद अपनी चिता की तैयारी किए बैठा है 

मौत आए तो सुकून की आये 
मौत आए तो सुकून की आये, मेरे मालिक 
वो सदियों की मोहब्बत-ए-बेवफाई लिए बैठा है 

किसे याद रहती है इश्क में कुर्बानी 
वो एक खता पे, उम्र भर की वफाएं बुलाए बैठा है

उससे क्या पूछते हो कि वह रात भर क्या पढ़ता रहता है
वो अपने दिलों के जख्मों की किताब लिए बैठा है 

और 

वो राज ना बनता तो ही अच्छा था 
खुद अपने ही अक्स को गिरफ्तार किये बैठा है...

#रोमिल

Saturday, September 7, 2013

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum...

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum
Ki main tumhein bewafa na samjhu
Ki main tumhein khudgarj na samjhu
Ki main tumhein apni maa ka qatil na samjhu...

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum...

#Romil

चलो कोई तो ऐसी दलील मेरे सामने पेश करो तुम...
की मैं तुम्हें बेवफ़ा न समझूँ
की मैं तुम्हें खुदगर्ज़ न समझूँ
की मैं तुम्हें अपनी माँ का क़ातिल न समझूँ...

चलो कोई तो ऐसी दलील मेरे सामने पेश करो तुम...

#रोमिल

Friday, September 6, 2013

apni zindagi ka tamasha-e-sare-aam kar

apni zindagi ka tamasha-e-sare-aam kar 
dekha hai kai baar maine usko pukaar kar...

#Romil

अपनी ज़िंदगी का तमाशा-ए-सरे-आम कर
देखा है कई बार मैंने उसको पुकार कर...

#रोमिल

Rok na laga saka woh apne jazbaaton par

Rok na laga saka woh apne jazbaaton par
Mehandi se mera naam likh liya apne haaton par...

#Romil

रोक ना लगा सका वो अपने जज़्बातों पर
मेहँदी से मेरा नाम लिख लिया अपने हाथों पर...

#रोमिल

Sawal yeh tha kya mere janaze par aaoge Tum?

Sawal yeh tha kya mere janaze par aaoge Tum? 
Jawab yeh mila, mere liye pehle hi marr chuke ho Tum.

#Romil

सवाल यह था क्या मेरे जनाज़े पर आओगे तुम?
जवाब यह मिला, मेरे लिए पहले ही मर चुके हो तुम.

#रोमिल

Thursday, September 5, 2013

aaj kal tujhe meri ibadat ke liye fursat nahi milti....

romil... khuda kehta hai
"aaj kal tujhe meri ibadat ke liye fursat nahi milti"

kaise samjhau main khuda ko
"mujhe uski yaadon se fursat nahi milti"

#Romil

रोमिल... ख़ुदा कहता हैं...
"आजकल तुझे मेरी इबादत के लिए फुर्सत नहीं मिलती"

कैसे समझाऊँ मैं ख़ुदा को...
"मुझे उसकी यादों से फुर्सत नहीं मिलती"

#रोमिल

Wednesday, September 4, 2013

ishq ki nakami ki bas itni si hai kahani...

Apne ishq ki nakami ki bas itni si hai kahani Romil
woh humko chah na sake, 
hum unko bhoola na sake.

#Romil

अपने इश्क़ की नाकामी की बस इतनी सी है कहानी रोमिल
वो हमको चाह ना सके, 
हम उनको भूला ना सके...

#रोमिल

Talash...

umar guzri hai bas isi talash mein apni romil
kabhi gunn ko raj na mila
kabhi raj ko gunn nahi mili.

#Romil

उम्र गुज़री है बस इसी तलाश में अपनी रोमिल
कभी गुन को राज ना मिला
कभी राज को गुन नही मिली...

#रोमिल


Meri ek seedhi si baat ka jawab

Meri ek seedhi si baat ka jawab tum doge Romil
Main mar jayun to kya mere janaze mein shareek hone aaoge tum?

#Romil

 मेरी एक सीधी सी बात का जवाब तुम दोगे रोमिल
मैं मर जाऊँ तो क्या मेरे जनाज़े में शरीक़ होने आओगे तुम?

#रोमिल

Tuesday, September 3, 2013

main is sach se tumko pehle hi...

mere ishq mein padne se pehle main tumko is sach se wakif karwa doon Romil
hum gareeb log hai mohabbat ke siwa tumko kuch na de payenge.

#Romil

मेरे इश्क़ में पड़ने से पहले मैं तुमको इस सच से वाकिफ़ करवा दूँ रोमिल...
हम ग़रीब लोग हैं मुहब्बत के सिवा तुमको कुछ ना दे पायेंगे...

#रोमिल

mohabbat-e-aawaz

nahi rok paoge tum meri mohabbat-e-aawaz
yeh aawaz is sadi ki nahi, sadiyon se kisi ko pukarti hai.

#Romil

नहीं रोक पाओगे तुम मेरी मुहब्बत-ए-आवाज़
यह आवाज़ इस सदी की नही, सदियों से किसी को पुकारती है...

#रोमिल

Monday, September 2, 2013

Jism Pak Aankho Mein Bhar Loon Saans Saans Mein Shaamil Kar Loon

Jism Pak Aankho Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shaamil Kar Loon

Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe!!!
Us Duniya Mein Haasil Kar Loon

Zindagi Gawaa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawaa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Hoo!!!

Zindagi Gawa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Wo Maang Loon Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shamil Ker Loon
Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe

Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

Tere Liye, Haan Tere Liye

Zindagi Gawa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Rooh Se Rooh Ke Darmiyaan

Ishq Ke Hazaro Jahan
Ya Khuda Ya Khuda
Mujhko Dede Agar Ik Jahan

Tou Maang Loon Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shaamil Ker Loon
Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe

Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

So Sitam Utha Ker Bhi Jo Ik Khushi Mile
So Jannate Gawaa Ker Bhi Jo Ik Zameen Mile

Tere Sajde Mein Sir Hai Jhukaa
Tu Ibadat Hai Tu Hi Dua
Maut Ke Baad Bhi 
Jo Mile Bandgi Ka Silla

Wo Maang Loon Tere Liye
Tere Liye Tere Liye Tere Liye Tere LIye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon 
Saans Saans Mein Shaamil Ker Loon
Is Duniya Se Jaan Gawaa Tujhe 
Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

Tere Liye, Haan Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Jism-O-Jaan Lutta Ker Bhi
Jo Ik Hassi Mile
Dil Agar Jalla Ker Bhi
Jo Roshni Mile
Wo Maang Loon Tere Liye 
Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye

Janmoo Ka Pyaar Tere Liye
Khushiyan Hazaar Tere Liye
Jannat Dua Tere Liye
Ye Jaan Nisaar Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Sunday, September 1, 2013

Uske naam ke rozein to main roz rakhta hoon Sultan, Jis din uska deedar ho jata hai EID mana leta hoon.

Uske naam ke rozein to main roz rakhta hoon Sultan
Jis din uska deedar ho jata hai
EID mana leta hoon.

#Romil

उसके नाम के रोज़े तो मैं रोज़ रखता हूँ सुल्तान...
जिस दिन उसका दीदार हो जाता है
ईद मना लेता हूँ...

#रोमिल