Showing posts with label Some Truth.... Show all posts
Showing posts with label Some Truth.... Show all posts

Sunday, January 18, 2015

Aap jo bhi karte hai, yadi usse ek bhi insaan ki madad hoti hai, to aapne kuch adbhut kar diya hai...

Aap jo bhi karte hai, yadi usse ek bhi insaan ki madad hoti hai, to aapne kuch adbhut kar diya hai...

- Blake Mycoskie

Saturday, January 3, 2015

Un logon se door rahe...

Un logon se door rahe, jo aapki mahatwakanshao ko chhota karne ki koshish karte hain... Chhote log hamesha yeh karte hain, lekin sachmuch mahan log aapko mehsus karate hain ki aap bhi mahan ban sakte hai.

- Mark Traven, Writer

Swapan ke bina log nasht ho jaate hai

Swapan ke bina log nasht ho jaate hai.

- Bible

Wednesday, December 31, 2014

Timepass...

Mike lagakar samjhate hai...
Mann mein simran karo to Prabhu milenge...

hehehehe

Sunday, December 28, 2014

Na Ganga mein nahane se...

Na Ganga mein nahane se paap dhulenge,
Na Jeevan se mukt hone se paap katenge,
Jab tak nahi karogi paap mukti ka prayatna aur aatma-chintan...
Tab kahin jakar yeh tumhari aatma par se bhoj hatenge...

#Romil

ना गंगा में नहाने से पाप धुलेंगे,
न जीवन से मुक्त होने से पाप कटेंगे,
जब तक नहीं करोगी पाप मुक्ति का प्रयत्न और आत्म-चिंतन...
तब कहीं जाकर यह तुम्हारी आत्मा पर से बोझ हटेंगे...

#रोमिल

Monday, December 15, 2014

Jo Jaisa Bota Hai... Waisa Hi Katata Hai...

Purvjanam ke karmon ka fhal is janam mein bhogana padta hain, ata ab chillana vyartha hai...

Jo jaisa bota hai, waisa hi katata hai, jab tak ki bhog purn nahin hota...

Sadguru ka dhyan sabmein param sheshtha hai...

Tap-Sadhan, Tirtha-Yatra, Varth evom Yagh aur Daan se Haribhakti sheshtha hai
aur 
Sadguru ka dhyan sabmein param sheshtha hai.

Yadi Swadhisht Bhojan Bane...

Yadi swadhist bhojan bane aur mitr tatha sambandhi aadi saath baithkar na khaye to vah neeras-sa prateet hota hai

aur 

jab vahi bhojan sab ek saath baithkar khate hain, tab usmein ek vishesh prakaar ki suswaduta aa jaati hai.

Friday, December 5, 2014

Main Medicine...

Mukha Aaushidi to yeh hai ki pichale janmon ke karmfhal ko avash hi bhog lena chahiye, 
taki unse sadev ke liye chhutkara ho jaye... 

Pran tiyagane ki icchha kadapi na karni chahiye....

Tuesday, December 2, 2014

Vishesh Bhakti Ki Koi Aavshakta Nahin...

Vishesh Bhakti ki koi aavshakta nahin, 
keval Guru ko naman ya unka pujan karna hi prayapta hai.

Sunday, November 30, 2014

Saturday, November 22, 2014

Tumhein apne subh-asubh karmo ka fhal avashya hi bhogana chahiye.

Tumhein apne subh-asubh karmo ka fhal avashya hi bhogana chahiye. Yadi bhog apurn reh gaya to punarjanam dharan karna padega, isliye mrityun se yeh srehaskar hai ki kuch kaal tak unhein sehar kar purv janmo ke karmo ka bhog samapta kar sadev ke liye mukt ho jao.

Saturday, November 15, 2014

Sharir Ek Rath Hai...

Sharir Ek Rath Hai...

Aatma uska swami tatha Buddhi saarthi hai...

Mann lagaam hai aur Indriyaan uske ghodhe...

Indriyein-Nriyantran hi uska rath hai...

Friday, November 14, 2014

Guru ki sharan...

Rama aur Krishna mahan avtari hote hue bhi atmanubhuti ke liye Rama ko apne guru Vishistha aur Krishna ko apne guru Sandipani ki sharan mein jana pada tha...

Yeh Satya hai samastha praniyon mein chaar baatein ek samaan hai...

Yeh satya hai ki samastha praniyon mein chaar baatein ek samaan hai - 
Aahar, 
Nidra, 
Beh aur 
Maithun... 

Parantu manav prani ko GYAN ek vishesh dain hai, jiski sahayata se hi vah ishwar-darshan kar sakta hai, jo anya kisi yoni mein sambhav nahi... 

Mere mann kuch aur hai... Vidhata ke kuch aur...

mere mann kachu aur hai... 
Vidhata ke kachu aur...

Ishwar, Raja, Sant ya Guru ke darshan...

Ishwar, Raja, Sant ya Guru ke darshan, 
apni samartha anusar bina kuch arpan kiye, kabhi na karna chahiye...

RadhaSoami Ji 🙏

Vidhata ki rachana kuch aisi vichitra hai ki...

Vidhata ki rachana kuch aisi vichitra hai ki
is sansar mein poorn sukhi koi nahi... 
sivaye Sant ko chhod kar...

Saturday, November 1, 2014

Garibon ka Allah bhai...

Garibi awwal badshahi,
Ameeri se lakh savaai,
Garibon ka Allah bhai...

Om Sai Bhai...

Friday, October 31, 2014

Moksh ka sadhan...

Satyayug mein shm aur dum,
Treta mein tyag,
Drapar mein pujan, 
aur
Kalyug mein bhagwatkirtan hi moksh ka sadhan hai...