Thursday, September 15, 2011

woh hans - hans ke khud ko saaza deta hai...

woh hans - hans ke khud ko saaza deta hai
gum khud ke liye rakh leta hai
khushiyaan anjaano mein baat deta hai...


us jaisa shaks kahan milega
jo heera hai
fhir bhi naqabon mein chupa rehta hai...


aane wale har modh ko chod deta hai
woh kamyabi ki manzil se durr hi rehta hai
itna beqarar hai milne ke liye usse
woh raste dar raste bhatakta rehta hai...


ajeeb lagati hai uski kahani romil
woh andhekon se pyar kiya karta hai 
woh mare hue logon se baatein kiya karta hai...


woh hans - hans ke khud ko saaza deta hai...

No comments:

Post a Comment