Siyasat-e-sehansha yeh garib ka chula hai isse kahan GDP samaj aati hai
Kahan yeh Rajkoshiye Ghata samaj pata hai
Vikas Dar se bhi iska koi sarokar nahi
Yeh garib ka chula hai...
Isse to bas badti hui mehangai nazar aati
Handi mein pani ke beech pakti hui chawal ki kankari nazar aati hai
Bhookhe sote hue bacche, majboor maa-baap ki bheeghi aankhein nazar aati hai.
Yeh garib ka chula hai...
Express Way bhi kahan isko dikhata hai
Mall se bhi kahan iska koi rishta hai
Free mobile ki dhun bhi kahan sukhi lakdi ka kaam kar payegi
Bharat Bandh ki goonj se kahan yeh jalta hai
Yeh garib ka chula hai...
Mahine mein 15 din yeh jal nahi pata hai
Mann mein kitne vyanjano ko pakane ki abhilasha lekar roz marr yeh jata hai
Ab iska shinghar, pooja pehle jaisi hoti nahi
Ab maa isko mitti se leep kar sukhoti nahi
Yeh garib ka chula hai isse GDP samaj aati nahi...
- Romil Lucknawi