Tuesday, June 19, 2012

uski akal par yeh kaisa taala pada hai

uski akal par yeh kaisa taala pada hai
deewana apni zidd pe adaa pada hai

aankhon mein bhari padi hai uske mohabbat
woh kehti hai woh wahshayat se bhara pada hai

tum kehte ho barson beet gaye use dekhe hue
nawab saheb, ab bhi google plus par uska photo pada hai

aur

maa, main apne karmo par sharminda bada hoon
tera gunehgar tere charano pe pada hai.

- romil

No comments:

Post a Comment