Friday, July 13, 2012

Ek baat kahu agar khuda tu bura na maane

Ek baat kahu agar khuda tu bura na maane
Mehboob ki tasveer ke samne tere but lagte hai purane


Aaj kal mere shehar mein netao ka shor bahut hai
Lagta hai fir se chunav lage hai aane


Rashtyapati ki kursi ke peeche aisi machi hai bhagdaud
Lagta hai bhool gaye, kursi ka mooh jis Gandhi ko nahi tha
Ussi se jate hai hum sab pehchane


Jidhar dekho udhar rupiya ki bhookh - 2
Woh pal khoobsurat the, jab khushiyaan milti thi sirf do aane.


- Romil

No comments:

Post a Comment