Friday, July 27, 2012

Ek butt toota aur hungama mach gaya

Ek butt toota aur hungama mach gaya
Mere sheharwalon ko kaala naag das gaya
Kisi ki shararat samjhe ya fir shazish
Hawan mein yeh kaisa jaat-pat ka zehar ghul gaya.

Dekh ke jali bastiyon ki halat khali waqt mein ro lenge yaaron
Aye khuda yeh kya se kya ho gaya
Kaun kehta hai zarre-zarre mein khuda rehta hai 
Kal ek masoom sa baccha bhook se marr gaya

Kaun samjha hai kaun samjhega bastiyan ujadane ka gum
Daulat mein giraftar insaan, shaitan ho gaya
Rahat camps se aati hai rote-bilakte masumon ki awazein
Na jaane rab inko bachpan mein kaisa grahan lag gaya.

- Romil

No comments:

Post a Comment