Wednesday, July 11, 2012

Pankhudiyon ki tarah tod ke chala gaya

Pankhudiyon ki tarah tod ke chala gaya
Beech raste mein chhod ke chala gaya
Mujhe pasand tha uski qaid mein rehna
Woh khawabon se rishta jodh ke chala gaya.

पंखुड़ियां की तरह तोड़ के चला गया 
बीच रास्ते में छोड़कर चला गया 
मुझे पसंद था उसकी कैद में रहना 
वो ख्वाबों से रिश्ता जोड़ के चला गया...

Aur
और

Ruksati-e-maa ko chee mahine ho gaye
Waqt guzarta hai, guzarta ja raha hai
Koi rokta bhi nahi aakar waqt ko
Yeh kaisa dariya hai jo behta hai, behta ja raha hai.

रुखसती-ए-माँ को छह महीने हो गए 
वक्त गुजरता है, गुजरता जा रहा है 
कोई रोकता भी नहीं आकर वक़्त को 
यह कैसा दरिया है जो बहता है, बहता जा रहा है...

#Romil
#रोमिल

No comments:

Post a Comment