Tuesday, July 24, 2012

Sanduk mein rakhe hue kapdon ko bhi kabhi dhoop dikha diya karo

Sanduk mein rakhe hue kapdon ko bhi kabhi dhoop dikha diya karo
Ghar ke kamre ki khidki se nikal kabhi sadak par bhi dikh jaya karo

Aaina nahi dekh pata hai chehare mein chupi ghar ki pareshaniyaan
Kabhi meri nazaron mein utarkar haqiqat pehchaan liya karo

Ho jaye kisi roz chhat ki munderi par bacchon si do baatein
Main tumhe raja ke kisse
Tum mujhe pariyon ke kahaniya sunaya karo

Is umar mein bhi mohabbat rakhana jawan
kabhi mujhe dekh kar sharmaya karo, 
kabhi mujhe dekh kar nazarein churaya karo
kabhi sharmate hue mere bagal se nikal jaya karo.

#Romil

संदूक में रखे हुए कपड़ों को भी 
कभी धूप दिखा दिया करो 
घर के कमरे की खिड़की से निकल कभी सड़क पर भी दिख जाया करो 

आईना नहीं देख पता है चेहरे में छुपी घर की परेशानियां
कभी मेरी नजरों में उतरकर हकीकत पहचान लिया करो

हो जाए किसी रोज छत की मुंडेरी पर बच्चों सी दो बातें 
मैं तुम्हें राजा के किस्से 
तुम मुझे परियों की कहानी सुनाया करो

इस उम्र में भी मोहब्बत रखना जवान 
कभी मुझे देखकर शर्माया करो 
कभी मुझे देखकर नजरे चुराया करो 
कभी शर्माते हुए मेरे बगल से निकल जाया करो...

#रोमिल

No comments:

Post a Comment