Usse rishta todane mein bahut dair kar di
Zindagi samajhane mein bahut dair kar di
Badalate mausamon ki sair mein khoya raha
Ghar pahuchane mein bahut dair kar di
Bhes badal kar karti rahi tez hawan kohram
Sawan ke mausam ko samajhane mein bahut dair kar di
Har taraf jismo ki khushboo aati rahi
Rooh ko mehsus karne mein bahut dair kar di
Kaanpate pedon ke phool mere pairon mein pade rahe
Maala bunne mein bahut dair kar di
Maut se pehle marne se bachane mein
Uski haqiqat sunne mein bahut dair kar di
Raat ke parde mein chup kar rulane wale
Tune baat karne mein bahut dair kar di
Siskiyaan leti havaayen keh rahi hai
Tune khushiyon ki fiza laane mein bahut dair kar di
- Romil
No comments:
Post a Comment