Monday, August 20, 2012

Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai

Bastiyan ujadane mein dair kitni lagti hai
Majhabi aatank fehlane mein dair kitni lagti hai.

Log to bane hote hai mom ke
Zaraa si dhoop aa jaye... to fir pighalane mein dair kitni lagti hai.

Uska guroor, uska swabhimaan usko jhukane ki izajat nahi deta
Warna samjhauta karne mein dair kitni lagti hai.

Bas ek sms aur fir shehar bhar mein bhagdar si mach gai
Afwaah fehlane mein dair kitni lagti hai.

Yeh to waqt ka sukrguzar hoon ki zakhm bhar deta hai
Warna yaad kar aansoo bahane mein dair kitni lagti hai.

Aur

Woh khud hi nahi aana chahati thi teri maa ke janaze pe
Warna dooriyaan tey karne mein dair kitni lagti hai.

- Romil Lucknawi

No comments:

Post a Comment