Wednesday, August 15, 2012

Raah-e-zindagi mein aisa bhi daur raha

Raah-e-zindagi mein ek aisa bhi daur raha
Ki khuda tere siva koi bhi mera na raha.

Aisa nahi dil waaqif-e-gum se nahi
Magar ab woh mehboob-e-sitamgar na raha.

Junoon-e-sajda liye jaate to hum jaate kahan
Tere dar ke siva koi aashiyana na raha

Aur

Hijaab-e-ishq ka daur bhi kya daur hota tha Romil
Ab woh nazar-e-sharmana, woh qatal-e-aam na raha.

Aur

Aaj fir khat mein gire uske khoon ke dhabbe dekh
Khuda-e-kamaal-e-mohabbat par yakeen na raha.

- Romil Lucknawi

No comments:

Post a Comment