Wednesday, August 1, 2012

Umar Ke Saath Lehja Badal Jata hai

Umar ke saath lehja badal jaata hai
Bade saude samne ho to imaan badal jata hai
Aur
Jo karta tha kal tak saath janmo ki baatein
Ussi se rishta badal jata hai.


Mujhe dekh kar mooh fher lena uska
Fakeeri ke samay doston ka dostana badal jata hai
Aur
Yeh uski aadat samjhe ya fir bewafai
Uski ghar ki khidki ka parda har roz badal jata hai.


- Romil.

No comments:

Post a Comment