Sunday, September 2, 2012

Phoolon ko hawaon ka darr hota nahi

Phoolon ko hawaon ka darr hota nahi
Tufano ke darr se manjhi kashti dubota nahi.

Bahut chupa ke rakhe hai maine yeh moti aankhon mein
Kahin bikhar na jaye is darr se main rota nahi. 

Roz naye shikwe, roz naye gile ab nahi hote mujhse
Tumhe bewafa kehna ab manzur hota nahi

Chand ki tarah tum bhi khud-b-khud utar aao mere angan mein
Ab tumhare bina tanha dil sota nahi.

#Romil

फूलों को हवाओं का डर होता नहीं 
तूफानों के दर से मांझी कश्ती डुबोता नहीं 

बहुत छुपा के रखे हैं मैंने यह मोटी आंखों में 
कहीं बिखर न जाए इस डर से मैं रोता नहीं 

रोज नहीं शिक़वे, रोज़ नये गिले अब नहीं होते मुझसे 
तुम्हें बेवफ़ा कहना अब मंज़ूर होता नहीं 

चाँद की तरह तुम भी खुद-बा-खुद उतर आओ मेरे आंगन में 
अब तुम्हारे बिना तन्हा दिल सोता नहीं।

#रोमिल

No comments:

Post a Comment