Wednesday, February 26, 2014

itne naam badal gaye mere

itne naam badal gaye mere
par taqdeer badali hi nahi

itne hisso mein bat chuka hoon mein
mere hisse mein kuch bacha hi nahi

kitne masoom bacche sote hai zameen par is kadkadati sardi mein
woh pathar ka bhagwan garibon ki sunta hi nahi

ghar ko aakar bana do ghar
in chaar diwaron mein ab mann lagta hi nahi.

#Romil

कितने नाम बदल गए मेरे 
पर तकदीर बदली ही नहीं. 

कितने हिस्सों में बॅट चुका हूं मैं 
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं 

कितने मासूम बच्चे सोते हैं जमीन पर इस कड़कड़ाती सर्दी में 
वो पत्थर का भगवान गरीबों की सुनता ही नहीं

घर को आकर बना दो घर 
इन चार दीवारों में अब मन लगता ही नहीं।

#रोमिल

No comments:

Post a Comment