Saturday, October 11, 2014

woh chand... aaj chand se bhi haseen lag raha hai...

dheere-dheere uske saath mausam bhi badal raha hai...
woh chand... aaj chand se bhi haseen lag raha hai...

aasman mein halke-halke dhuaan se gheera hua hai...
woh chand... shawl odhe hue aur haseen lag raha hai...

suna hai romil... mausam ki pehli burf girne lagi hai vadiyon mein...
woh chand... meri nazaron ki tapish se pighal raha hai...

aane wala hai toofan "hud-hud" shehar mein...
woh chand... kisi haseen ke saath mujhe khilkhilata-muskurata jo dekh raha hai...

#Romil

धीरे-धीरे उसके साथ मौसम भी बदल रहा है... 
वो चाँद... आज चाँद से भी हसीन लग रहा है 

आसमान में हल्के-हल्के धुँआ से घिरा हुआ है... 
वो चाँद... शॉल ओढ़े हुए और हसीन लग रहा है... 

सुना है रोमिल... मौसम की पहली बर्फ गिरने लगी है वादियों मे
वो चाँद... मेरी नजरों की तपिश से पिघल रहा है...

आने वाला है तूफान "हुद-हुद" शहर में... 
वो चाँद... किसी हसीन के साथ मुझे खिलखिलाता-मुस्कुराता जो देख रहा है...

#रोमिल

No comments:

Post a Comment