Saturday, May 7, 2011

KYON


kal yahi baat puch baitha chand bhi chakor se saare gagan ke samne

KYON pyar tumse hai?
mujhe tumpar aitbaar KYON hai?
KYON dil tum bin kahin lagta nahi?
har sapna poora lagta KYON nahi?
KYON chehara udas - udas sa rehta hai?
sab kuch hokar bhi KYON adhura sa ehsaas lagta hai?
KYON tum meri rooh bhi shamil hote ja rahe ho?

KYON...
KYON...
KYON...

CHAKOR KHAMOSH MUSKURATA HAI...

FIR CHAND SE PUCHATA HAI...

KYON krishna ne radha ko itna sataya?
KYON ram ne sita par avishwas dikhaya?
KYON dushyant, shakuntala ko bhool gaya?
.
.
.
kyon TOH MAIN BATA NAHI PAYUNGA
BAS ITNA SAMJHA PAYUNGA

PYAR KA KOIYE KAARAN NAHI HOTA HAI
YEH TOH SAAGAR KE GEHRAI SE BHI JYADA GEHRA RAHASYA HOTA HAI
ISKO SAMJHA-SANJHAYA NAHI JA SAKTA
BAS MEHBOOB PAR BEPANAH LOOTAYA JA SAKTA HAI...
BAS MEHBOOB PAR BEPANAH LOOTAYA JA SAKTA HAI...
ROMIL BAS MEHBOOB PAR BEPANAH LOOTAYA JA SAKTA HAI...

1 comment:

  1. HELLO LM,
    h r u, hope u r fine dear,

    zaruri nahi ke manzil mill he jave,
    .
    ..
    .

    .
    .
    lambiyan rahaan de rahi hona v chotti gal nahi

    ReplyDelete