Saturday, June 2, 2012

hum sabko samjhaya karte hai, koi humko bhi samjhaye

hum sabko samjhaya karte hai, koi humko bhi samjhaye
ishq-e-mohabbat ke fann humko bhi sikhaye

koi raah chalte tham le mera bhi bhoj
kisi musafir se yeh naseeb humko bhi milaye

aaye mohabbat-e-suraj tu jaldi nikal aa
warna tu hi bata tere intezaar mein hum aur kitne diye jalaye

aur

apna kaam hai sirf usse mohabbat karna
baaki woh samjhaye ya uska parivar use samjhaye

aur

itna bhi pareshan na kar aaye khuda
kahin maa ki taraf mein jalta bacche se tu na jal jaye.

No comments:

Post a Comment