Sunday, June 3, 2012

khushiyon ke diyon se ghar ko jagmagaya kijiye

yunh ghar mein shaam hote hi matam ka andhera na fehlaya kijiye
khushiyon ke diyon se ghar ko jagmagaya kijiye 

kya pata kab Maa chali aaye milne ko
bahar ke darwaze pe sitkini na lagaya kijiye

khuda tere sitam-o-gardish se main darne wala nahi
main apni Maa jaisa hoon yeh baat samajh lijiye

umar guzari hai, umar guzar dunga Maa ke liye
pyar-kartavya-swabhimaan ki mamta mein pala-bada hoon, yakeen kijiye

aur time passsssss

itni berukhi acchi nahi
ki tere deedar ke liye ab tasveer bhi nahi

mat jaga karo raat bhar meri yaadon mein
sitamgar yeh aadat acchi bhi nahi

06th ko tumhara exam
05th ko main chala jayunga
yeh dooriyan-yeh majbooriyan acchi bhi nahi

aaj ek ladki ne mere petu par haath rakh kar bola
"bahut mote ho gaye ho"
maine kahan "meri begum sahiba ne dekh-sun liya to kaat degi tumko"
mishri si bolne wali ko samjho itna seedha bhi nahi.

hehehe

- romil.  

No comments:

Post a Comment