Thursday, August 2, 2012

A Special Day !!!

A SPECIAL DAY !!!

3rd August
Mareez-e-ishq bana diya
Umar thi jab ishq ki to ishq kiya

Dard bhadta gaya jyun jyun elaaz kiya
Umar thi jab ishq ki to ishq kiya

Kabhi paagal
Kabhi buddhu
Kabhi aawara
Na jaane zamane ne kya kya naam diya
Umar thi jab ishq ki to ishq kiya

Hairat aati hai uski baatein sun
Zamane ne usko bhi apne jaisa bana diya

Aur

30 saal ki umar, wahi intezaar, wahi dil-e-tapish
Shama ne yeh patange ko kaisa bana diya

- Romil

No comments:

Post a Comment