Thursday, January 2, 2014

na jaane kyon yeh masoom si chhoti si raat

na jaane kyon yeh masoom si chhoti si raat
mere saath khelati hai
kabhi ishq ki angarai lekar rajai mein aa jaati hai
kabhi mehangai ka chamkila paanch rupiya ka sikka bankar soch mein bas jaati hai 
na raat bhar khud soti hai na mujhe sone deti hai...

sochata hoon is raat ka haath pakad kar mele mein le jayun
khilauna thama doon main iske haathon mein aur aakar main chupke se chain se so jayun...

#Romil

ना जाने क्यों यह मासूम सी छोटी सी रात 
मेरे साथ खेलती है 
कभी इश्क़ की अंगड़ाई लेकर रजाई में आ जाती है 
कभी महंगाई का चमकीला पाँच रुपिया का सिक्का बनकर सोच में बस जाती है 
ना रात भर ख़ुद सोती है ना मुझे सोने देती है...

सोचता हूं इस रात को हाथ पकड़ कर मेले में ले जाऊं
खिलौना थमा दूं मैं इसके हाथों में और आकार मैं चुपके से चैन से सो जाऊं...

#रोमिल

No comments:

Post a Comment