Sunday, August 17, 2014

tere jaane ke baad bhi

tere jaane ke baad bhi
dard mein koi fark nahi pada
raat aaj bhi intezaar mein katati hai
aankhein aaj bhi taaron ki tarah timtimati rehti hai
main aur chand aaj bhi guftagu karte hai
fir pehli kiran ke saath juda ho chalte hai...

subah murjhai-murjhai si aati hai
din laptop ki roshani mein beet jaata hai
shaam bas sadakein napane mein nikal jaati hai
fir raat aati hai
main aur chand fir guftagu karte hai
fir pehli kiran ke saath juda ho chalte hai...

#Romil

तेरे जाने के बाद भी 
दर्द में कोई फर्क नहीं पड़ा 
रात आज भी इंतजार में कटती है 
आंखें आज भी तारों की तरह टिमटिमाती रहती है 
मैं और चांद आज भी गुफ्तगू करते हैं 
फिर पहली किरण के साथ जुदा हो चलते हैं...

सुबह मुरझाई-मुरझाई सी आती है 
दिन लैपटॉप की रोशनी में बीत जाता है 
शाम बस सड़कें नापने में निकल जाती है 
फिर रात आती है 
मैं और चांद फिर गुफ्तगू करते हैं 
फिर पहली किरण के साथ जुदा हो चलते हैं... 

#रोमिल

No comments:

Post a Comment