Saturday, June 30, 2012

nahi chahiye mujhe aisi mehboob aisi deewani

nahi chahiye mujhe aisi mehboob aisi deewani 
meri khariyat jo puche bankar anjaani 

waqt nahi tere pass jo sune kisse meri jubani 
mere vaaqyaat hai lambe, ajab hai meri kahani 

ek arse se rula raha hai tera gum aye deewani 
khuda jaane ishq mein mili hai humko kaise pareshani 

mujhe gum nahi jo duniya badal gai – 2 
afsoos hota hai dekh kar maa ke janaze pe teri aankhon mein jhoota pani

aur 

yeh afsoos, rishtedaron ka rona kab talak maa - 2 
chalo mil-jul kar banaye hum nai duniya suhani.

#Romil

नहीं चाहिए मुझे ऐसी महबूब ऐसी दीवानी 
मेरी खैरियत जो पूछे बनाकर अनजानी... 

वक्त नहीं तेरे पास जो सुने किस्से मेरी जुबानी 
मेरे वाक़यात हैं लंबे, अजब है मेरी कहानी... 

एक अर्सा से रुला रहा है तेरा गम ए दीवानी 
खुदा जाने इश्क में मिली है हमको कैसी परेशानी... 

मुझे गम नहीं जो दुनिया बदल गई है 
अफसोस होता है देखकर माँ के जनाजे पर तेरी आंखों में झूठा पानी... 

और 

यह अफसोस, रिश्तेदारों का रोना कब तलक माँ - 2 
चलो मिलजुल कर बनाएं हम नई दुनिया सुहानी..

#रोमिल

Two Beautiful Pink Rose Maa Aapke Liye


Jai Shiva Shankar, Jai Shiva Shankar, Jai Shankar Bhole

Jai Shankar Bhole
Jai Shankar Bhole

Jai Shankar Bhole
Jai Shankar Bhole

Jai Shiva Shankar, Jai Shiva Shankar, Jai Shankar Bhole
Sab Devon Mein Dev Nirale Jai Bam Bam Bhole

Jai Shiva Shankar, Jai Shiva Shankar, Jai Shankar Bhole
Sab Devon Mein Dev Nirale Jai Bam Bam Bhole

Mahadev Tune Hi To Sab Devo Ka Santaap Hara
Sagar Manthan Mein Niklaa Vish Tune Apane Kant Dhara
Mahadev Tune Hi To Sab Devo Ka Santaap Hara
Sagar Manthan Mein Nikla Vish Tune Apne Kant Dhara
Isiliye Har Prani Tujhko Neelkantha Bole
Sab Devo Mein Dev Nirale Jai Bam Bam Bhole 

Jai Shiva Shankar, Jai Shiva Shankar, Jai Shankar Bhole
Sab Devo Mein Dev Nirale Jai Bam Bam Bhole

*****
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Shiva Ji sabke santaap harana
sabko kasht-paap se mukt karna
sabko sukh-shanti-khushiyaan-ashirwaad dena
maa ka hamesha har pal khayal rakhana
mujhe papon ko kshama karna
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya

Friday, June 29, 2012

Ho Manwa Re Bhaj Le Oh Bhaj Le Tu Bhaj Le Shiv Shankar Abhinashi

Har Har Mahadev Shamboo
Kashivishwanath Gange
Hoooooooo Manwa Re Bhaj Le 
Oh Bhaj Le
Tu Bhaj Le
Shiv Shankar Abhinashi
Hoooooooo Manwa Re Bhaj Le 
Oh Bhaj Le
Oh Bhaj Le
Tu Bhaj Le
Shiv Shankar Abhinashi
Bhaj Le
Shiv Shankar Abhinashi 
Bhavsagar Se Taare Unko
Bhavsagar Se Taare Unko
Jo Jan Sevar Kashi
Ho Manwa Re Bhaj Le 
Bhaj Le
Oh Bhaj Le
Oh Bhaj Le
Tu Bhaj Le
Shiv Shankar Abhinashi
Oh Bhaj Le
Shiv Shankar Abhinashi
Har Har Mahadev Shamboo
Kashivishwanath Gange

*****
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Shiva Ji Sabko bhavsagar se paar lagana
Sabko apne charano mein isthan dena
sabko sukh-shanti-khushiyoon se rakhana
sabke dukh-dard-takleef-paap door karna
maa ka hamesha har pal khayal rakhana
mere papon ko kshama karna
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya

Hum jis par marte hai use parwah hi nahi

Hum jis par marte hai use parwah hi nahi 
Aalam yeh hai ki use is baat par afsoos hi nahi 

Hoti kaise qabool uski dua humse milne ki 
Labon pe shabd hai magar dil mein chahat hi nahi 

Shauq se ab tum humse bewafai kiya karo 
Ab is dil ko tumhari wafa ki jarurat hi nahi

Ya rab ab to khatm ho safar-e-intezaar 
Nazre aisi pathar hai ki thakti hi nahi 

aur 

Maa jannat mein agar tu nahi 
To fir is dil ko jannat ki aarzoo hi nahi. 

#Romil

हम जिस पर मरते हैं उसे परवाह ही नहीं 
आलम यह है कि उसे इस बात पर अफसोस ही नहीं 

होती कैसे कबूल उसकी दुआ हमसे मिलने की 
लबों पे शब्द है मगर दिल में चाहत ही नहीं 

शौक से अब तुम हमसे बेवफाई किया करो 
अब इस दिल को तुम्हारी वफा की जरूरत ही नहीं 

या रब अब तो खत्म हो सफर-ए-इंतजार 
नजरे ऐसी पत्थर है की थकती ही नहीं 

और 

मां जन्नत में अगर तू नहीं 
तो फिर इस दिल को जन्नत की आरजू ही नहीं.

#रोमिल

Red Rose 4 U Bhavo


Thursday, June 28, 2012

Mohabbat ke bazaar mein nilaam hokar

Mohabbat ke bazaar mein nilaam hokar
Woh zyada khoobsurat ho gaya hai badnaam hokar 

Fir us nihaayat bewafa se umeed-e-waafa kar rahe ho 
Badi himmat dikha rahe ho nakaam hokar 

Uske gamo ko uski surat se badhkar kehne wale
Yeh kya ho gaya hai tumhe aashiq hokar 

Dhoop jaate hi tu bhi chala jayega 
Kuch haasil nahi hoga uska saaya hokar 

aur 

Maa ne chule pe chadha di hogi Kheer 
Mujhe ghar aata dekhkar. 

#Romil Arora