Thursday, June 12, 2014

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha - Rahat Fateh Ali Khan (2014)

Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalayaa.. hoga
Tune jab phool kitaabon se nikale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

(Vocals Break)

(Instrumental Break)

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte
Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

(Instrumental Break)

Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha
Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh mein padhte ho
Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai woh baatein thi mehez baatein
Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

(Vocals Break)

(Instrumental Break)

Wahin hai sooratein apni, wahin main hoon wahin tum ho
Magar khoya huya hoon main, magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein daga ki thi jo kaafir the so kaafir hain
Mili hai manzilein phir bhi musafir the, musafir hain
Tere dil ke nikaale hum kahan bhatke, kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum dono tawafey arzoo karte
Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Wednesday, June 11, 2014

chalo... yeh baat bhi tumhari maani...

chalo... yeh baat bhi tumhari maani... 
ki suraj sabse pehle tumhare yahan nikalta hain

magar tumko hum yeh baat bata dein... 
yeh jo chand hai na... 
chand...
hamare saath hi to sota hai...

apne-apne andaz hai...

#Romil

चलो... यह बात भी तुम्हारी मानी... कि सूरज सबसे पहले तुम्हारे यहाँ निकलता है...

मगर तुमको हम यह बात बता दें...
यह जो चाँद है ना...
चाँद...
हमारे साथ ही तो सोता है...

अपने-अपने अंदाज है...

#रोमिल

Tuesday, June 10, 2014

उसके एक-एक सवाल का जवाब दूँगा

मियां... उसके एक-एक सवाल का जवाब दूँगा
करारा जवाब दूँगा
ख़ानदानी इंसान हूँ 
असल के साथ सूत भी दूँगा।

#रोमिल

miya.... shaadi ka kya hai..

miya.... shaadi ka kya hai..
tum bolo to kal hi kar loon...
magar shart sirf itni hai
woh jo bhi ho
mere khawabon mein invest kare...

#Romil

मियां... शादी का क्या है...
तुम बोलो तो कल ही कर लूँ...
मगर शर्त सिर्फ़ इतनी है
वो जो भी हो
मेरे ख़्वाबों में इन्वेस्ट करें...

#रोमिल

Monday, June 9, 2014

Main....

Miya... Main apni beizzati
dusaron ka ehsaan
aur
apne maa-baap ko kabhi nahi bhoolta...

#Romil

मियां... मैं अपनी बेइज़्ज़ती
दूसरों का एहसान
और
अपने माँ-बाप को कभी नहीं भूलता...

#रोमिल

Sunday, June 8, 2014

इनके सर से कभी दुपट्टा नहीं उतरता है

इनके सर से कभी दुपट्टा नहीं उतरता है
यह हमारे घर की बेटियाँ है
सीने के लाल को पीठ पर बांध रण-भूमि में उतर जाती है.

#रोमिल

हंगामा जितना चाहे तुम मचा लो

हंगामा जितना चाहे तुम मचा लो 
मुफलिसी का दौर है मियां, चाहो जितनी बातें तुम सुना लो
मैं चुप हूँ बस कुछ दिनों के लिए
वर्ना 15000 रूपया महीना तो हमारे घर के कुत्ते का खर्चा था.

#रोमिल