Sunday, November 30, 2014

Wednesday, November 26, 2014

Badi ajeeb beeti apni...

Badi ajeeb beeti apni dastan-e-muhabbat...
Shuru nazrein milane se hui...
Khatam nazrein choorane se hui...

बड़ी अजीब बीती अपनी दास्तान-ए-मोहब्बत... 
शुरू नजरें मिलाने से हुई... 
खत्म नजरें चुराने से हुई...

#Romil...

Yeh Chand bhi... bada shaitan hai...
Zamane ke sote hi... khidki ke raste mere bistar par utar aata hai...

यह चांद भी... बड़ा शैतान है... 
जमाने की सोते ही... खिड़की के रास्ते मेरे बिस्तर पर उतर आता है...

#Romil

Monday, November 24, 2014

Jo mujhse sach sunogi...

Jo mujhse sach sunogi... to un shabdon se sulag jaogi...
Sharm se jeete jee marr jaogi...
Accha rahega meri zindagi mein mat jhako-tako...
Jitna kareeb aaogi... mujhe khudse utna hi door paogi...

#Romil

जो मुझसे सच सुनोगी... 
तो उन शब्दों से सुलग जाओगी... 
शर्म से जीते जी मर जाओगी... 
अच्छा रहेगा मेरी जिंदगी में मत झांको-तांको... 
जितना करीब आओगी... मुझे खुदसे उतना ही दूर पाओगी... 

#रोमिल

Saturday, November 22, 2014

Tumhein apne subh-asubh karmo ka fhal avashya hi bhogana chahiye.

Tumhein apne subh-asubh karmo ka fhal avashya hi bhogana chahiye. Yadi bhog apurn reh gaya to punarjanam dharan karna padega, isliye mrityun se yeh srehaskar hai ki kuch kaal tak unhein sehar kar purv janmo ke karmo ka bhog samapta kar sadev ke liye mukt ho jao.

Monday, November 17, 2014

Hazaron diye jalte the...

Hazaron diye jalte the uske chabutarein par...
Hazaron suut dhaga bandha tha mannaton wala...
Hazaron bhagwan rehte the uski chhaon mein...
Kal us pedh ko Nagar Nigam ke bulldozer ne ukhad diya...

#Romil

हज़ारों दिए जलते थे उसके चबूतरे पर... 
हजारों सूत धागा बंधा था मन्नतों वाला... 
हजारों भगवान रहते थे उसकी छांव में... 
कल उस पेड़ को नगर निगम के बुलडोजर ने उखाड़ दिया... 

#रोमिल

Saturday, November 15, 2014

Sharir Ek Rath Hai...

Sharir Ek Rath Hai...

Aatma uska swami tatha Buddhi saarthi hai...

Mann lagaam hai aur Indriyaan uske ghodhe...

Indriyein-Nriyantran hi uska rath hai...

Friday, November 14, 2014

Guru ki sharan...

Rama aur Krishna mahan avtari hote hue bhi atmanubhuti ke liye Rama ko apne guru Vishistha aur Krishna ko apne guru Sandipani ki sharan mein jana pada tha...