Aye mere udas mann chal dono kahin door chalein
Mere humdam teri manzil ye nahin ye nahin koi aur hai
Is bagiya ka har phool deta hai chubhan kaaton ki
Sapne ho jate hain dhool kya baat kare sapnon ki
Mere saathi teri duniyan ye nahin ye nahin koi aur hai.
Jaane mujhse hui kya bhool jise bhool saka na koi
Pachtave ke aansoon meri aankh bhale hi roi
O re pagle tera apna ye nahin ye nahin koi aur hai
Patthar bhi kabhi ek din dekha hai pighal jate hain
Ban jate hain sheetal neer jharne mein badal jate hain
Teri peeda se jo pighale ye nahin ye nahin koi aur hai.
No comments:
Post a Comment