Sunday, September 9, 2012

Bhuli-Bisari Baatein

Bhuli-Bisari Baatein...

Sultan yeh jo aap baat-baat par kehte ho "maa ki qasam... main ab kabhi jhoot nahi bolunga, maa ki qasam... main kabhi ladai nahi karunga"

Vachan dekar, qasam dekar  use na nibhana bahut buri baat hai, isliye aisa na kare.

Sultan ek kahavat hoti hai... "Mard ki jubah hai" Ya fir "Jo vachan se fir jaye woh mard nahi hota"

Isliye Sultan aap koi bhi vachan, qasam dene se pehle gehrai aur ghambherata se soch lo, fir vachan, qasam do...

"Ab NaaZ aap humko lecture mat do"

Aap jante ho Sultan, jab koi insaan apna vachan, qasam poori nahi kar pata to us insaan mein vishwas, aatmabal,  pratigyata,  swabhimaan nahi reh jata hai. Woh insaan khud hi apni nazaron mein girne lagta hai.

Aur suno ji kabhi bhi vachan, qasam zidd ya hat mein aakar nahi dena chahiye, kyunki zidd ya hat mein liya gaya har faisala kabhi bhi insaan ko mahaan purush nahi banne deta. Woh manzil par pahuch kar bhi dunia jahan ki nazar mein ziddi, hatti kehlata hai..

"Accha NaaZ madam ji  aisa koi vachan, qasam nahi dunga, jo main poori na kar saku..."

Good Boy

No comments:

Post a Comment