Thursday, July 21, 2011

Poems from movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011) ज़िन्दगी ना मिलेगी दोबारा (2011)

Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khawabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya sama
Dekhen yeh nigahein
Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum.

Poems from movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011) ज़िन्दगी ना मिलेगी दोबारा (2011)

Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya.

Poems from movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011) ज़िन्दगी ना मिलेगी दोबारा (2011)

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai.

Poems from movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011) ज़िन्दगी ना मिलेगी दोबारा (2011)

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas aankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai.

Wednesday, July 20, 2011

आपकी भावनाएँ ही आपका ईश्वर है.

"आपकी भावनाएँ ही आपका ईश्वर है." 


चाणक्य (३५०-२७५ ई. पू.)
भारतीय कूटनीतिज्ञ और लेखक

Radhe Krishna Ki Jyoti Alaukik Tino Lok Mein Chhaaye Rahi Hai

radhe krishna ki jyoti
alaukik tino lok mein chhaaye rahi hai
bhakti vivash ek prem pujaarin
phir bhi deep jalaaye rahi hai
JAI SRI RADHA KRISHNA
JAI SRI RADHA KRISHNA
***
RadheKrishna sabko prem karne ki shakti dena
Sabko mann se krodh, nafrat durr rakhana
Vishwa ka kalyan karna
NaaZ ka har pal khayal rakhan...