Thursday, July 12, 2012

Red Roses Maa Aapke Liye...


Khuda se ek baat puchunga main marne se pehle

Khuda se ek baat puchunga main marne se pehle
Meri Maa ko kyon bula liya tune mujhse pehle

Mujhe khakh mein milane se pehle kya tune ek baar socha
Ek baar mujhse guftagu to karta apne faisale se pehle

Bijli gira kar tu salamati ka ashirwad deta hai
Aasman nahi phat gaya hoga teri karni se pehle

Kaash main bhi sazaa dene ka haqdaar hota
Suli pe chhada deta main mujrim ko gunah se pehle

- Romil

Wednesday, July 11, 2012

ROSES BUNCH AAPKE LIYE MAA...


Har Har Mahadev Shamboo Kashi Vishwanath Gange

Har Har Mahadev Shamboo
Kashi Vishwanath Gange
Har Har Mahadev Shamboo
Kashi Vishwanath Gange
Har Har Mahadev Shamboo
Kashi Vishwanath Gange
Har Har Mahadev Shamboo
Kashi Vishwanath Gange
Kashi Vishwanath Gange
Har Har Aadinath Gange
Har Har Mahadev Shamboo
Kashi Vishwanath Gange
*****
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Mahadev apni kripa drishti sab par rakhana
sabko sukh-shanti-khushiyoon ke saath rakhana
sabki muradein poori karna
sabko papon se mukt karna
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya
Om Namah Shivaya

Pankhudiyon ki tarah todh ke chala gaya

Pankhudiyon ki tarah todh ke chala gaya
Beech raste mein chhod ke chala gaya
Mujhe pasand tha uski qaid mein rehna
Woh khawabon se rishta jodh ke chala gaya.

Aur

Ruksati-e-maa ko chee mahine ho gaye
Waqt guzarta hai, guzarta ja raha hai
Koi rokta bhi nahi aakar waqt ko
Yeh kaisa dariya hai jo behta hai, behta ja raha hai.

- Romil

Takalluf Lakhanau walon se mat kiya kariye

Takalluf Lakhanau walon se mat kiya kariye
Hum aankhon ko bhi padh liya karte hai
Tumko aata hoga baaton ka tillisim banana
Hum seedhi baat keh kar bhi dil jeet liya karte hai.

Jisme hota nahi seva-samarpan ka bhaav
Hum aise khawabon ko bhi pasand nahi karte hai
Zara mann se bhi sundar rehna seekh lo Sahiba
Hum sirf cheharon ki khoobsurati se nahi pighalte hai.

- Romil