Sunday, June 3, 2012

woh aayega jarur aayega

woh aayega jarur aayega
be-naqaab aayega
mohabbat ka zamana fir aayega

viran-e-ghar fir roshan ho jayega
woh gulab ki tarah khilkhilata aayega

maine khud aaj kal usse baat karni band kar di hai
socha na tha aisa bhi ek din aayega

aur

maa ko khud apne haaton se di hai agni
isse bada jeevan mein kya dukh aayega

- romil 
 

Maa Aapke Liye Blue Rose


Mere Devon Ke Dev Mahadeva Karo Sweekar Bholenath Meri Sewa

Bum Bum Bhole
Jai Shiva Shankar
Har Har Gange
Jai Mahadeva

Ho ho hooooo
Ho ho hooooo
Mere Devon Ke Dev Mahadeva
Oh Mere Devon Ke Dev Mahadeva
Karo Sweekar Bholenath Meri Sewa
Karo Sweekar Bholenath Meri Sewa

http://shiva-sunny-raj.blogspot.in/2012/02/mere-devon-ke-dev-mahadeva-karo-sweekar.html
***
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Shiv Shankar sabko apni sewa ka avsar dena
sabko sukh-shanti-khushiyaan-ashirwad dena
sabke dukh-takleef-dard-paar mitana
Maa ka hamesha har pal khayal rakhana
mujhe papon se mukt karna
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Om namas shivaya

Ghar Yaad Aata Hai Mujhe Lyrics and Video - Satyamev Jayate Television Show - Aamir Khan

Ghar Yaad Aata Hai Mujhe

Television Show : Satyamev Jayate
Singer(s): Ram Sampath, Sona Mohapatra
Music Director: Ram Sampath
Lyricist: Svati Chakravorty, Suresh Bhatia

Woh garmiyon ki raat, woh jaade ki baat
Woh pani ka matka, rasoi ki aag
Sab satata hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe

Saathi ek saath ho, itni si baat hai
Woh pedh woh aangan dikhana hai usse
Kehta hai roz mann mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe
Oo ghar yaad aata hai mujhe

Jin dilon mein raha main barso tak
Ek hissa unn mein mera bhi tha
Phir wahin rehna hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe

Sehmi chaukhat pe khade, mera mann yeh kahe
Pyar karna seekha tha tumse
Pyar tumse phir paana hai
Kitni doge saza, ab toh de do dua
Intezaar ab hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe
Oo ghar yaad aata hai mujhe

khushiyon ke diyon se ghar ko jagmagaya kijiye

yunh ghar mein shaam hote hi matam ka andhera na fehlaya kijiye
khushiyon ke diyon se ghar ko jagmagaya kijiye 

kya pata kab Maa chali aaye milne ko
bahar ke darwaze pe sitkini na lagaya kijiye

khuda tere sitam-o-gardish se main darne wala nahi
main apni Maa jaisa hoon yeh baat samajh lijiye

umar guzari hai, umar guzar dunga Maa ke liye
pyar-kartavya-swabhimaan ki mamta mein pala-bada hoon, yakeen kijiye

aur time passsssss

itni berukhi acchi nahi
ki tere deedar ke liye ab tasveer bhi nahi

mat jaga karo raat bhar meri yaadon mein
sitamgar yeh aadat acchi bhi nahi

06th ko tumhara exam
05th ko main chala jayunga
yeh dooriyan-yeh majbooriyan acchi bhi nahi

aaj ek ladki ne mere petu par haath rakh kar bola
"bahut mote ho gaye ho"
maine kahan "meri begum sahiba ne dekh-sun liya to kaat degi tumko"
mishri si bolne wali ko samjho itna seedha bhi nahi.

hehehe

- romil.  

Blue Rose Aapke Liye Maa


Kashton Mein Jee Rahi Hoon

Kashton Mein Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon
Mujhko Mili Na Prabhu Teri Sharan
Ro Ro Ke Sukhe Ab Mere Nayan
Mujhko Mili Na Prabhu Teri Sharan
Ro Ro Ke Sukhe Ab Mere Nayan
Kashton Mein Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon
Jee Rahi Hoon

*****
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Shiva Ji sabko apni sharan mein lena
sabko kashton se mukt karna
sabko sukh-shanti-khushiyaan-ashirwad dena
maa ka hamesha har pal khayal rakhana
mere gunahon ko kshama karna
Om namas shivaya
Om namas shivaya
Om namas shivaya