Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts
Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts

Thursday, November 28, 2013

dunia-jahan kehti hai ki

dunia-jahan kehti hai ki tu Khuda, zarre-zarre mein nazar aata hai
magar tu to ek bhookhe bacche ki bhookh bhi nahi mita pata hai.

#Romil

दुनिया-जहां कहती है कि तू खुदा, ज़र्रे-ज़र्रे में नज़र आता है
मगर तू तो एक भूखे बच्चे की भूख भी नही मिटा पाता है...

#रोमिल

khuda hoga tu Shehansha kahin ka
magar bikta tera but rupiya ke bina nahi.

#Romil

ख़ुदा होगा तू शहंशाह कहीं का
मगर बिकता तेरा बूत रुपियों के बिना नही...

#रोमिल

yeh hakikat hai kitabi baatein nahi
gunah ka hisab koi mangata nahi
rupiya hi chala raha hai is sansar ko
mujhe to khuda kahi nazar aata nahi.

#Romil

यह हक़ीक़त है किताबी बातें नही
गुनाह का हिसाब कोई मांगता नही
रुपिया ही चला रहा है इस संसार को
मुझे तो ख़ुदा कहीं नजर आता नही...

#रोमिल

Sunday, November 24, 2013

Chhod di...

Chhod di naukari bas itni si baat use samjhane ke liye 
Har koi izzajhat nahi baich sakta chand rupiyon ke liye.

#Romil

छोड़ दी नौकरी बस इतनी सी बात उसे समझाने के लिए...
हर कोई इज़्ज़त नहीं बेच सकता चंद रुपियों के लिए...

#रोमिल

Saturday, November 9, 2013

Woh aajkal ukhharay hue lafzon se bolta hai

Woh aajkal ukhharay hue lafzon se bolta hai
Dil ka saccha hai
Magar Juban se zehar gholata hai...

Kaun jaane uske andar kaun sa jaljala daba hua hai
Woh kisi ki talash mein gum hai, baki bache dino ka hisab jodta hai...

Uski aankhon mein dard ban chupi hui hai shayari meri
Woh mujhse iskadar mohabbat karta hai...

aur

Woh Hakeem aisa hai ki toote hue dil ko pal bhar mein jod de
Apna bankar elaaz iskadar woh karta hai...

#Romil

वो आजकल उखड़े हुए लफ्जों से बोलता है 
दिल का सच्चा है... 
मगर जुबान से जहर घोलता है...

कौन जाने उसके अंदर कौन सा जलजला दबा हुआ है 
वो किसी की तलाश में गुम है, बाकी बचे दिनों का हिसाब जोड़ता है... 

उसकी आंखों में दर्द बन चुकी हुई है शायरी मेरी 
वो मुझसे इस कदर मोहब्बत करता है...

और

वह हकीम ऐसा है कि टूटे हुए दिल को पल भर में जोड़ दे
अपना बनाकर इलाज वो इसकदर वो करता है...

#रोमिल

Tuesday, November 5, 2013

Har taraf

Har taraf "Ya Hussain, Ya Hussain" ka hujoom chhane laga
Gum-e-Hussain ka din qareeb aane laga.

#Romil

हर तरफ़ "या हुसैन, या हुसैन" का हुजूम छाने लगा
ग़म-ए-हुसैन का दिन क़रीब आने लगा...

#रोमिल

Thursday, October 31, 2013

KAMAL PAR VIRAAJMAAN

Kamal par viraajmaan
Woh Laxmi Maa bahut sundar hai
Main us Saraswati rupe Laxmi Maa ko baar-baar naman karunga....
***
Main us Laxmi ko paane ke liye keechad mein nahi jayunga
Main us Saraswati rupe Laxmi par bharosa rakhunga
Main us din ka intezaar karunga
Jab woh Saraswati rupe Laxmi Maa khud us keechad se nikalkar chalkar mere ghar aayegi.  
***
Main us Deepawali ka intezaar karunga...

#Romil

Keechad : Bhastachar, Lobh, Laalach, Chori, Jhoot-Kapat...

कमल पर विराजवान
वो लक्ष्मी माँ  बहुत सुंदर हैं...
मैं उस सरस्वती रूपे लक्ष्मी माँ को बार-बार नमन करूँगा...

मैं उस लक्ष्मी को पाने के लिए कीचड़ में नहीं जाऊँगा
मैं उस सरस्वती रूपे लक्ष्मी पर भरोसा रखूँगा
मैं उस दिन का इंतेज़ार करूँगा
जब वो सरस्वती रूपे लक्ष्मी माँ खुद उस कीचड़ से निकलकर चलकर मेरे घर आयेगी.

मैं उस दीपावली का इंतेज़ार करूँगा...

#रोमिल

Friday, October 25, 2013

Hazaron husn hai kisko apna banaye

Hazaron husn hai kisko apna banaye
Bas itna samajho Romil.... apna wahi hai Humsafar jo waqt par kaam aa jaye...

#Romil

हजारों हुस्न है किसको अपना बनाएं 
बस इतना समझो रोमिल... अपना वही है हमसफ़र जो वक्त पर काम आ जाए...

#रोमिल

jin gharon se bujurgon ki raunaq hai chali jaati

jin gharon se bujurgon ki raunaq hai chali jaati
lakh jala lo diya, magar un gharon se veeraniya nahi jaati...

#Romil

जिन घरों से बुजुर्गों की रौनक है चली जाती
लाख जला लो दिया, मगर उन घरों से वीरानियाँ नहीं जाती...

#रोमिल

Friday, October 18, 2013

har ehsaas ko

maut se pehle har ehsaas ko lafz ata woh kar gaya
kehne ko to bas yeh ek kitab hai
par kambakht ismein apne saare dard-o-gum bhar gaya...

#Romil

मौत से पहले हर एहसास को लफ्ज़ अता वो कर गया
कहने को तो बस यह एक किताब है पर कम्बख़्त इनमें अपने सारे दर्द-ओ-ग़म भर गया...

#रोमिल

Wednesday, October 3, 2012

Ghar...

Rooh kehti hai phookh de yeh dushman ka hai ghar
Nazarein kehti hai hosh mein dekh yeh hai tera ghar.

- Romil Lucknawi.


रूह कहती है फूख़ दे यह दुश्मन का है घर
नज़रें कहती है होश में देख यह है तेरा घर.

- रोमिल लखनवी.

Monday, October 1, 2012

Yeh sawaal meri soch par haavi hota ja raha hai

Yeh sawaal meri soch par haavi hota ja raha hai
Ki woh mujhse itna chupta kyon hai?
Gar hai use mujhse mohabbat
Fir kehne se darta kyon hai?

- Romil Lucknawi.


यह सवाल मेरी सोच पर हावी होता जा रहा है
की वोह मुझसे इतना छुपता क्यों है?
गर है उसे मुझसे मोहब्बत
फिर कहने से डरता क्यों है?

- रोमिल लखनवी.

Sunday, September 30, 2012

Zamane ke saath unke tevar badal gaye...

Zamane ke saath unke bhi tevar badal gaye
Woh meri soch se bhi jyada badal gaye.

Mohabbat-E-Safar mein saath humko chalna tha
Kya kare majboori mein rastee badal gaye.

Hazar baar dil ko samjhaya uski mehfil mein na ja
Aalam-E-Madhoshi mein na jaane yeh qadam kidhar-kidhar badal gaye.

Aisa toofan aaya Saagar-E-Dil mein
Dekhate-Dekhate dil ke kitne manzar badal gaye.

- Romil Lucknawi.



ज़माने के साथ उनके भी तेवर बदल गए
वोह मेरी सोच से भी ज्यादा बदल गए.

मोहब्बत-ए-सफ़र में साथ हमको चलना था
क्या करे मजबूरी में रास्ते बदल गए.

हज़ार बार दिल को समझाया उसकी महफ़िल में न जा
आलम-ए-मदहोशी में न जाने यह क़दम किधर-किधर बदल गए.

ऐसा तूफ़ान आया सागर-ए-दिल में
देखते-देखते दिल के कितने मंज़र बदल गए.

- रोमिल लखनवी.

Raston mein ulajh ke reh jaoge...

Raston mein ulajh ke reh jaoge
Jo shakh karoge to bichad ke reh jaoge

aur 

uski mohabbat par yakeen kar le, ab bhi waqt hai
Warna Khuda ke ghar adhure hi chale jaoge...

#Romil

रास्तों में उलझ के रह जाओगे
जो श़क करोगे तो बिछड़ के रह जाओगे

और
 
उसकी मोहब्बत पर यकीन कर ले, अब भी वक़्त है
वरना खुदा के घर अधूरे ही चले जाओगे...

#रोमिल

Saturday, September 29, 2012

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है
खवाब जिसका मेरे सोते हुए चहरे पर ख़ुशी की झलक बिखेर जाता है
आँख खोलू तो सफ़ेद बादलों में धूंधला-धूंधला सा चेहरा किसी का नज़र आता है
नाम पूछूं तो परी बताकर वोह गायब हो जाता है...

यह कौन है जो हर बात मुहब्बत से कह जाता है...

नाज़ है बाबा... नाज़...

- रोमिल लखनवी

Tuesday, September 25, 2012

Uski is ada par qurban hum jaye

Uski is ada pe qurbaan hum jaye
Kehte hai ishq bhi humse karo par khayal rahe juban pe hamara naam bhi na aaye.

- Romil Lucknawi.

उसकी इस अदा पे कुर्बान हम जाये
कहते है इश्क भी हमसे करो पर ख्याल रहे जुबान पे हमारा नाम भी न आये।

- रोमिल लखनवी

Chahe jitni chala lo aandhiyaan

Chahe jitni bhi chala lo aandhiyaan
Iski lau na bhuja paoge
Yeh woh chirag hai jo Allah ki panah mein rehta hai...

- Romil Lucknawi.

चाहे जितनी भी चला लो आंधियाँ
इसकी लौ न भुझा पाओगे
यह वोह चिराग है जो अल्लाह की पनाह में रहता है।

- रोमिल लखनवी 

Lab mere mithas se bhare rehte hai

लब मेरे मिठास से भरे रहते है
नाम-ए-हुसैन मैंने पिया है बहुत।

- रोमिल


Lab mere mithas se bhare rehte hai
Naam-E-Hussain maine piya hai bahut.

- Romil Lucknawi.

Monday, September 24, 2012

Ta-Umar Rooh Ko Zakhami Karte Rahenge

Ta-Umar rooh ko zakhami karte rahenge yeh do din zindagi ke
Pehla Ruksat-E-Maa ka, dusara Maatam-E-Hussain ka.

- Romil Lucknawi.


ता-उम्र रूह को ज़ख़्मी करते रहेंगे यह दो दिन ज़िन्दगी के 
पहला रुक्सत-ए-माँ का, दूसरा मातम-ए-हुसैन का।

- रोमिल लखनवी

Sunday, September 23, 2012

Khayal uska liye

Khayal uska liye Allah ki bandagi mein hoon
Mujhe gunehgar na samjho main Ishq ke aakhiri daur mein hoon.

- Romil Lucknawi

ख्याल उसका लिए अल्लाह की बंदगी में हूँ 
मुझे गुनेह्गर न समझो में इश्क़ के आखिरी दौर में हूँ।

- रोमिल लखनवी 

Saturday, September 22, 2012

Allah janta hai

Har rastee ki khabar Allah janta hai
Tu chal, bas chal, na kar fikr Allah janta hai

Hai tere kai raaz, Allah janta hai
Teri neki-badi ka hisaab Allah janta hai

Kab khulegi teri qismat Allah janta hai
Kyon laga hai is par taala Allah janta hai

Kab aayegi tujhe maut Allah janta hai
Maut ke baad kahan hoga tera jahan Allah janta hai

Kyun chal rahi hai qainat Allah janta hai
Ab aayegi qayamat Allah janta hai

Tere qadam-dar-qadam Allah janta hai
Tere har rastee ki khabar Allah janta hai

- Romil Lucknawi

Friday, September 21, 2012

Yeh garib ka chula hai...

Siyasat-e-sehansha yeh garib ka chula hai isse kahan GDP samaj aati hai
Kahan yeh Rajkoshiye Ghata samaj pata hai
Vikas Dar se bhi iska koi sarokar nahi

Yeh garib ka chula hai...

Isse to bas badti hui mehangai nazar aati
Handi mein pani ke beech pakti hui chawal ki kankari nazar aati hai
Bhookhe sote hue bacche, majboor maa-baap ki bheeghi aankhein nazar aati hai.

Yeh garib ka chula hai...

Express Way bhi kahan isko dikhata hai
Mall se bhi kahan iska koi rishta hai
Free mobile ki dhun bhi kahan sukhi lakdi ka kaam kar payegi
Bharat Bandh ki goonj se kahan yeh jalta hai

Yeh garib ka chula hai...

Mahine mein 15 din yeh jal nahi pata hai
Mann mein kitne vyanjano ko pakane ki abhilasha lekar roz marr yeh jata hai
Ab iska shinghar, pooja pehle jaisi hoti nahi
Ab maa isko mitti se leep kar sukhoti nahi

Yeh garib ka chula hai isse GDP samaj aati nahi...

- Romil Lucknawi