Wednesday, December 8, 2010

koi yeh kaise bataye ki woh tanha kyon hai


koi yeh kaise bataye ki woh tanha kyon hai
wo jo apna tha, wahi aaur kisi ka kyon hai
yahi duniya hain to fir, aisi yeh duniya kyon hai
yahi hota hain to, aakhir yahi hota kyon hai?

ik jara haath badha de toh, pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye, humari dhadakan
itani kurbat hain to fir fasala itana kyon hai?

dil-ye-barbad se nikala nahi ab tak koi
ik loote ghar pe diya karata hain dastak koi
aas jo toot gayi hain fir se bandhata kyon hai?

tum masart ka kaho yaa ise gam ka rishta
kehate hain pyar kaa rishta hain janam ka rishta
hai janam ka jo yeh rishta to badalta kyon hai?

No comments:

Post a Comment