Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain ki
Joote kahan utaare the.
Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.
Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.
***
Jo lehron se aage nazar dekh paati
toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati
toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Zid ka tumhare jo parda sarakta
khidkiyon se aage bhi tum dekh paate
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate
toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Meri tarah hota agar khud par zara bharosa
toh kuchh door tum bhi saath-saath aate
Rang meri aankhon ka baante zara sa
toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi,
hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone
kuchh door tum bhi saath-saath aate.
No comments:
Post a Comment