Sunday, September 2, 2012

Tere Honthon Ke Do Phool Pyaare-Pyaare - Paras (1971)

Beautiful Romantic Song 

Sanjeev Kumar N Rakhee Gulzar

tere honthon ke do phool pyaare-pyaare 
mere pyaar ki bahaaron ke nazaare 
ab mujhe chaman se (kya lena) - 2 

teri aankhon ke do taare pyaare-pyaare 
meri raaton ke chamakate sitaare 
ab mujhe gagan se (kya lena) - 2 

tere honthon ke... 

teri kaaya kanchan-kanchan kiranon ka hai jismein basera 
teri saansen mehaki-mehaki teri zulfon mein kushboo ka dera 
tera mehaki ang-ang jaise sone mein sugandh 
mujhe chandan-van se (kya lena) - 2 

teri aankhon ke...

maine dekha jabse tujhko mere sapne hue sindoori 
tujhe pa ke mere jeevan-dhan har kami hui meri poori 
piya ek tera pyaar mere solah singaar 
mujhe ab darpan se (kya lena) - 2 

tere honthon ke...

tera mukhada damake-chamake jaise saagar pe chamake savera 

teri baanhen pyaar ke jhoole teri baanhon mein jhoole man mera 

teri meethi har baat - 2 

ras ki hai barsaat 

hamein ab saavan se (kya lena) - 2 

tere honthon ke... 
teri aankhon ke... 
hamein (kya lena) - 2

No comments:

Post a Comment