Kitni girhein kholi hain maine,
kitni girhein ab baaki hai
paanv mein payal,
baahon mein kangan,
gale mein hansli,
kamar band,
challe aur bichue
naak kaan chidwaayein gaye hain aur zevar-zevar kehte-kehte
reet rivaaj ke rassiyon se main jakdi gayi,
uff kitni tarah main pakdi gayi
ab chilne lage hain haath paanv aur kitni kharaashein ubhri hain,
kitni girhein kholi hain maine,
kitni rassiyaan utari hain
Ang-ang mera roop rang, mere naksh nain, mere bol bain
meri aawaaz mein koyal ki tareef hui, mere zulf saanp, meri zulf raat,
zulfon mein ghata mere lab gulaab, meri aankhein sharaab
ghazal aur nazmein kehte-kehte husn aur ishq ke afasano mein main jakdi gayi
uff kitni tarah main pakdi gayi
main poochun zara, aankhon mein sharaab dikhe sabko, akaash nahi dekha koi
saawan bhado to dikhe magar, kya dard nahi dekha koi
phan ki jheeni si chaadar mein, buth cheele gaye uriyaani ke
taaga-taaga karke poshaaq utaari gayi
mere jism pe phan ki mashq hui aur art kala kehte-kehte sange marmar mein jakdi gayi
batlaaye koi batlaaye koi,
kitni girhein kholi hain maine,
kitni girhein ab baaki hain.
No comments:
Post a Comment