Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts
Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts

Wednesday, September 19, 2012

Ab mumkin nahi hai

Ab mumkin nahi hai mere qalam se tera zikr hona
Khud mere haanthon se apna bura hona.

- Romil Lucknawi.

अब मुमकिन नहीं है मेरे कलम से तेरा ज़िक्र होना
खुद मेरे हाथों से अपना बुरा होना।

- रोमिल लखनवी  

Uski nigahoon ke isharon se rukh gaye qadam

Uski nigaah ke isharon se ruk gaye qadam
Thak kar bole lagta hai manzil pe pahuch gaye hai hum
Aur woh jisse teri mehfil mein hote the hungame
Na jaane kahan hai woh gungharoo,
woh haanthon mein bandhe phool,
woh jaam ka pyala, kahan baithe hue hai hum...

- Romil Lucknawi.

उसकी निगाह की इशारों से रुक गए क़दम
थक कर बोले लगता है मंजिल पे पहुँच गए है हम
और वोह जिससे तेरी महफ़िल में होते थे हंगामे
न जाने कहाँ है वोह घुँघरू
वो हाथों में बंधे फूल
वोह जाम का प्याला
कहाँ बैठे हुए है हम।

- रोमिल लखनवी       

Saturday, September 15, 2012

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki
Behtar hoga kuch pal le liye lab khamosh ho jaye.

- Romil Lucknawi.

कद्र नहीं है उनको तेरे अल्फाजों की
बेहतर होगा कुछ पल के लिए लब खामोश हो जाये।

- रोमिल लखनवी  


Bistar par raat angadai mein guzar di

Bisrat par raat angadai mein guzar di
Lete rahe sholon par, ishqk ne hawa di.
Kambakkht mehak uski raat bhar aati rahi hamare jism se
Yeh kaun si itra usne baahon mein bhar kar dal di.

- Romil Lucknawi.

बिस्तर पर रात अंगड़ाई में गुज़र दी
लेटे रहे शोलों पर, इश्क ने हवा दी
कम्बक्ख्त महक उसकी रात भर आती रही हमारे जिस्म से
यह कौन सी इत्र उसने बाहों में भर कर डाल  दी।

- रोमिल लखनवी 
   
    

Thursday, September 13, 2012

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya
Pathar khuda banne se reh raha
Sab jante the ki woh heera hai heera
Bas chamakane se reh gaya.

- Romil Lucknawi.

यह दिल किसी का घर बनने से रह गया
पत्थर खुदा बनने से रह गया 
सब जानते थे कि वोह हीरा है हीरा 
बस चमकने से रह गया।

- रोमिल लखनवी 


Wednesday, September 12, 2012

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena
Kabhi dard-e-dil yunh bhi bhadha lena.

Hazar haseen-o-khoobsurat woh ho lekin
Tum uske dil ko jarur farakh lena.

Kisi ko chhot lage aur dil tumhara dukhe
Umar chhoti hai, yunh bhi zindagi-e-safar guzar dena.

aur

Chahe  marr jao kisi masjid ke samne
Tum bhoolkar bhi na haath kisi nakhuda ke samne faila dena.

#Romil

करके याद माँ को आँसू बहा लेना
कभी दर्द-ए-दिल यूँ भी बढ़ा लेना...

हजार हसीन-ओ-खूबसूरत वो हो लेकिन
तुम उसके दिल को जरूर परख लेना...

किसी को चोट लगे और दिल तुम्हारा दुःखे
उम्र छोटी है, यूँ भी ज़िन्दगी-ए-सफर गुज़ार लेना...

और

चाहे मर जाओ किसी मस्जिद के सामने
तुम भूलकर भी ना हाथ किसी नाख़ुदा के सामने फैला देना...

#रोमिल

Sunday, September 9, 2012

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai   
Kaash koi sagar mil jaye jo samaye mujhko.
Mohabbat karne wale to bahut mil jayenge 
Kaash koi aaisa ho jo mohabbat seekhaye mujhko.

- Romil Lucknawi.

बूंदों से कहाँ अपनी प्यास भुझने वाली है
काश कोई सागर मिल जाये जो समाये मुझको।
मुहब्बत करने वाले तो बहुत मिल जायेंगे 
काश कोई ऐसा हो जो मुहब्बत सीखाये मुझको। 

- रोमिल लखनवी

Aisa na tha ki ishq mein beemar na the

Aisa na tha ki ishq mein bimaar na the
Teri ghungrali zulfon mein giraftar na the

Log sach bolte hai shehar ke
Is tarah hum beqaar na the.

Gum ke dino mein bhut kuch saath tha mere
Bas ek teri baahon ke haar na the.

Pehle to chittiyaan hi mil jaati thi teri
Jab hum mobile fone ke khariddar na the.

aur

Teri tarah hum bhi bik sakte the
Magar kya kahe kahin  mohabbaton ke bazaar na the.

#Romil

ऐसा न था की इश्क में बीमार न थे
तेरी घुन्घरैली जुल्फों में गिरफ्तार न थे

लोग सच बोलते है शहर के
इस तरह हम बेकार न थे

गम के दिनों में बहुत कुछ साथ था मेरे
बस एक तेरी बाहों के हार न थे

पहले तो चिट्ठियाँ ही मिल जाती थी तेरी
जब हम मोबाइल फोन के खरीददार न थे

और 

तेरी तरह हम भी बिक सकते थे
मगर क्या कहे कहीं मोहब्बतों के बाज़ार न थे.

#रोमिल

Friday, September 7, 2012

Aankhon ki tadap...

aankhon ki tadap ko haathon ne yun poora kiya
banakar but use Rab ka darza diya.

#Romil

आँखों की तड़प को हाथों ने यूँ पूरा किया
बनाकर बुत उसे रब का दर्ज़ा दिया...

#रोमिल

Monday, September 3, 2012

Betaab dil ka qaraar aa jaye...

Betaab dil ka qaraar aa jaye
Kisi roz gulab sang unka iqraar aa jaye
Mehak uthe meri duaon ke phool
Kisi roz husn-e-jaana mere kareeb aa jaye.

Tanha nazare pee le unki nazaron ko
Woh sharab-e-nazar aa jaye
Kisi raat mujhe chand ki jarurat na pade
Kaash mera mehboob mere angan mein utar aaye.

aur

Choo lo mere kapkapate hue honthon ko
Dubati hui saanson ko zindagi mil jaye
Tera hi hokar reh jata hai
Jo ek baar teri mehfil mein aa jaye.

- Romil Lucknawi

Wednesday, August 29, 2012

jawab-e-aarzoo

Waise to mujhe tujhse koi jawab-e-aarzoo nahi
Magar mujhse meri rooh puchati hai ki bata teri mohabbat mein kami kya thi.

- Romil Lucknawi 

Saturday, August 25, 2012

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya
Safar-e-manzil mein the awara bana diya.

Aye Khuda tujhe yeh kya suji
Na mandir, na masjid
Is dil ko tune mehboob-e-ghar bana diya.

Sab raunaqe nadarad hai 
Phool, Khushboo, Jheel, Mausam, Dhoop, Burf, Titli aur Hava
Tune Kashmir-e-Jannat ko yeh kaisa udasi-e-chehara pehna diya.

Dushman jo zakhm khakar bhi dua de
Khuda, ishq ne usko yeh kaisa deewana bana diya.

- Romil Lucknawi.

Wednesday, August 22, 2012

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega
Yunhi zindagi-e-karwa chalta hai, chalta chala jayega.

Na rahega yaad koi gila-shikwa, na koi hadsa
Sab dhuaan hai, dhuaan ho jayega.

Kise yaad rahegi mohabbat-e-dastaan-e-safar
Sab kitabi kisse-kahani hai, kahani ho jayega.

Yunh bhi hoga, woh hogi kisi gair ki baahon mein
Dil-e-lahoo girta hai, girta reh jayega.

aur

Mausam haazar honge, dil-e-marammat ke
Magar jo toota hai, woh toota reh jayega.

- Romil Lucknawi.

Sunday, August 19, 2012

Tanhai raat mein dasne lagti hai...

Tanhai raat mein dasne lagti hai
Yaadon ki lau jalne lagti hai
Bebas hokar hum karte hai tasveer se baatein
Aankhon se neer tapakne lagti hai.

Jaane tab kyon karti hai woh milan ki baat
Jab jism ki aag mein jalne lagti hai

Aur

Tum kya jaano shiddat-e-mohabbat kya hoti hai
Jab yeh pagadi rab-e-bandagi mein jhukane lagti hai
Aankhon se aankhein beparda hone lagti hai
Rooh-Rooh se bolne lagti hai.

- Romil Lucknawi

Saturday, August 18, 2012

Khuda yeh manzar fir na dikhana

khuda yeh manzar fir na dikhana
mere shehar mein aisa toofan fir na laana

maana ki yeh mazhab-e-junoon hai
par yeh tareeka fir na apnana

logon ko kya mila mere shehar-e-sukun-o-chain loot kar
yeh ulfat, yeh nadaniyaan fir apne bandon se mat karwana 

aur

qalam likhati hi nahi bolti bhi jyada hai
apne bandon par koi mazhabi ilzaam na likhwana.


- Romil Lucknawi

Sunday, August 12, 2012

Dar-Dar bhatke zindagi-e-rasta na mila

Dar-dar bhatke zindagi-e-rasta na mila
Kotiyaan to bhut mili magar ghar na mila.

Sahukar, Thekedar, Baniya, Zameendaar
Sab hai is mohalle mein
Magar koi insaan na mila.

Mera haal puchane wale bahut hai is jahan mein
Jo mere sirhane baithe aisa humsafar na mila.

TU, TU, TU, Sirf TU
zindagi mein mujhe tujhse bada koi gum na mila.

Aur

Neend aaye to kaise aaye zaalim
Abhi tak na woh tasveer
Na woh khat
Na woh gulab
Sham-e-gum ko jo behlaye na woh intezaar mila.

- Romil Lucknawi

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai
Tera chehara mujhe khuda sa lagta hai

Ek muddat se na koi tera khat, na paigam aaya
Ab tera irada bewafa sa lagta hai

Musalsal zindagi mein aate rahe hai gum
Ab to gamo se dostana sa lagta hai

Aye Khuda, Suna hai tune sanwari hai lakhon ki taqdeer
Yeh koi jhoota kissa-afsana sa lagta hai

Aur

Bhookhmari, Bebasi, Majboori, Lachari, 
Khuda teri in chitthiyon par keval Garib ka pata likha hua hai, aisa lagta hai

Romil Lucknawi.

Friday, August 10, 2012

Meri baaton mein jo husn-e-ishq ka charcha ho jata hai

Meri baaton mein jo husn-e-ishq ka charcha ho jata hai
Log kehte hai ki beemar hoon main.

Woh hai meri duniya, Meri duniya hai woh
Bas itni si baat ka gunehgaar hoon main.

Tamam saalon se khoya hua hoon uske dikhaye khawabon mein
In khawab-o-khayalon ka karzdaar hoon main.

Saans tootane se pehle bharlo mujhe apni baahon mein
Inhi palon ka mohtaaj hoon main.

- Romil Lucknawi

Tuesday, August 7, 2012

Fir dil mein uthi beqarari hai

Fir dil mein uthi beqarari hai
Yeh dard us karigar ki kalakari hai.

Woh yeh keh kar usko taana marta hai
'''Tu milne kyon nahi aati''
Kaise kahe woh yeh samaaj hi uski lachari hai

Raat dono tanha hote hai
Fir bhi baat nahi karte
Yeh jubano ki kaise pardedari hai

Aur

Chand rupiyon ke liye bik jata hai
Bachpan, Jism aur Emaan
Khuda tu hi bata yeh kaisi khareeddari hai.

- Romil

Sunday, August 5, 2012

Suna hai log jannat tak jaate hai...

Janab, Hum patrkaar hai, sach likhate hai, sach batate hai
Humko mat seekhana aanaj ka mool, hum Khalsa hai langar khilate hai.

Yeh Sone, Chandi ka shauq tum ameeron ka hoga
Hum aaj bhi apne bacchon ko pholoon ke gehne pehnate hai.

Tum chahe kitni bhi koshish karlo mujhe haasil karne ki
Mohtarma, hum Sher, sirf Sherni ke peeche jate hai.

Aur

Aye mere dost, NAAZ abhi mat chhodana saath
Suna hai log jannat tak jaate hai.

- Romil