Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts
Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts

Wednesday, September 19, 2012

Ab mumkin nahi hai

Ab mumkin nahi hai mere qalam se tera zikr hona
Khud mere haanthon se apna bura hona.

- Romil Lucknawi.

अब मुमकिन नहीं है मेरे कलम से तेरा ज़िक्र होना
खुद मेरे हाथों से अपना बुरा होना।

- रोमिल लखनवी  

Uski nigahoon ke isharon se rukh gaye qadam

Uski nigaah ke isharon se ruk gaye qadam
Thak kar bole lagta hai manzil pe pahuch gaye hai hum
Aur woh jisse teri mehfil mein hote the hungame
Na jaane kahan hai woh gungharoo,
woh haanthon mein bandhe phool,
woh jaam ka pyala, kahan baithe hue hai hum...

- Romil Lucknawi.

उसकी निगाह की इशारों से रुक गए क़दम
थक कर बोले लगता है मंजिल पे पहुँच गए है हम
और वोह जिससे तेरी महफ़िल में होते थे हंगामे
न जाने कहाँ है वोह घुँघरू
वो हाथों में बंधे फूल
वोह जाम का प्याला
कहाँ बैठे हुए है हम।

- रोमिल लखनवी       

Tuesday, September 18, 2012

Basaye apni dunia hum dono jahan se door

Basaye apni dunia hum dono jahan se door
Is mohabbat-e-zalim dunia se door
Us taqdeer-e-malik khuda se door.

Charon taraf fhela ho khushiyon ka  bagicha
Hum-Tum rahe sadiyon tak khiza se door

Meri jhukati nazaron ne woh kaam kar diya
Jisse rahe mere lab-o-juban milon door

Bahut dekh liye hai humne-tumne  judai ke basant
Ab milan ho jaye
Na raho tum humse door, na rahe hum tumse door.

- Romil Lucknawi..

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko
Gunehgaron mein shaamil hoon, bina kiye gunah ko.

- Romil Lucknawi.

फ़िक्र-ए-रोज़ी में भूला बैठे खुदा को
गुनेह्गारों में शामिल हूँ, बिना किये गुनाह हो।

- रोमिल लखनवी

Sunday, September 16, 2012

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है
मेरे दिल-ओ-दिमाग़ पर एक कोहराम मचा रखा है
रात भर चहकती है उसकी बोलियाँ कानों में
उस ज़ालिम ने सोना हराम कर रखा है। 

बैठे हुए देखूं तो एक आफत सी लगती है
चलते हुए क़यामत नाम रखा है
होगा किसी कोठी के साये में उसका आशियाना
अभी तो उसने हमारे घर डेरा डाल रखा है।

और

उसकी मीठी बोलियों पर मत जा रोमिल
इसने न जाने कितनो को अपना आशिक बना रखा हैं।

- रोमिल लखनवी 

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski
Isme kisi aur ka khayaal aaye to duniya khak ho jaye.

- Romil Lucknawi.

मेरे दिल की दुनिया पे चलती है हुकुमत उसकी
इसमें किसी और का ख्याल आये तो दुनिया खाक हो जाये।

- रोमिल लखनवी 

Saturday, September 15, 2012

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki
Behtar hoga kuch pal le liye lab khamosh ho jaye.

- Romil Lucknawi.

कद्र नहीं है उनको तेरे अल्फाजों की
बेहतर होगा कुछ पल के लिए लब खामोश हो जाये।

- रोमिल लखनवी  


Bistar par raat angadai mein guzar di

Bisrat par raat angadai mein guzar di
Lete rahe sholon par, ishqk ne hawa di.
Kambakkht mehak uski raat bhar aati rahi hamare jism se
Yeh kaun si itra usne baahon mein bhar kar dal di.

- Romil Lucknawi.

बिस्तर पर रात अंगड़ाई में गुज़र दी
लेटे रहे शोलों पर, इश्क ने हवा दी
कम्बक्ख्त महक उसकी रात भर आती रही हमारे जिस्म से
यह कौन सी इत्र उसने बाहों में भर कर डाल  दी।

- रोमिल लखनवी 
   
    

Thursday, September 13, 2012

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya
Pathar khuda banne se reh raha
Sab jante the ki woh heera hai heera
Bas chamakane se reh gaya.

- Romil Lucknawi.

यह दिल किसी का घर बनने से रह गया
पत्थर खुदा बनने से रह गया 
सब जानते थे कि वोह हीरा है हीरा 
बस चमकने से रह गया।

- रोमिल लखनवी 


Wednesday, September 12, 2012

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena
Kabhi dard-e-dil yunh bhi bhadha lena.

Hazar haseen-o-khoobsurat woh ho lekin
Tum uske dil ko jarur farakh lena.

Kisi ko chhot lage aur dil tumhara dukhe
Umar chhoti hai, yunh bhi zindagi-e-safar guzar dena.

aur

Chahe  marr jao kisi masjid ke samne
Tum bhoolkar bhi na haath kisi nakhuda ke samne faila dena.

#Romil

करके याद माँ को आँसू बहा लेना
कभी दर्द-ए-दिल यूँ भी बढ़ा लेना...

हजार हसीन-ओ-खूबसूरत वो हो लेकिन
तुम उसके दिल को जरूर परख लेना...

किसी को चोट लगे और दिल तुम्हारा दुःखे
उम्र छोटी है, यूँ भी ज़िन्दगी-ए-सफर गुज़ार लेना...

और

चाहे मर जाओ किसी मस्जिद के सामने
तुम भूलकर भी ना हाथ किसी नाख़ुदा के सामने फैला देना...

#रोमिल

Sunday, September 9, 2012

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai   
Kaash koi sagar mil jaye jo samaye mujhko.
Mohabbat karne wale to bahut mil jayenge 
Kaash koi aaisa ho jo mohabbat seekhaye mujhko.

- Romil Lucknawi.

बूंदों से कहाँ अपनी प्यास भुझने वाली है
काश कोई सागर मिल जाये जो समाये मुझको।
मुहब्बत करने वाले तो बहुत मिल जायेंगे 
काश कोई ऐसा हो जो मुहब्बत सीखाये मुझको। 

- रोमिल लखनवी

Aisa na tha ki ishq mein beemar na the

Aisa na tha ki ishq mein bimaar na the
Teri ghungrali zulfon mein giraftar na the

Log sach bolte hai shehar ke
Is tarah hum beqaar na the.

Gum ke dino mein bhut kuch saath tha mere
Bas ek teri baahon ke haar na the.

Pehle to chittiyaan hi mil jaati thi teri
Jab hum mobile fone ke khariddar na the.

aur

Teri tarah hum bhi bik sakte the
Magar kya kahe kahin  mohabbaton ke bazaar na the.

#Romil

ऐसा न था की इश्क में बीमार न थे
तेरी घुन्घरैली जुल्फों में गिरफ्तार न थे

लोग सच बोलते है शहर के
इस तरह हम बेकार न थे

गम के दिनों में बहुत कुछ साथ था मेरे
बस एक तेरी बाहों के हार न थे

पहले तो चिट्ठियाँ ही मिल जाती थी तेरी
जब हम मोबाइल फोन के खरीददार न थे

और 

तेरी तरह हम भी बिक सकते थे
मगर क्या कहे कहीं मोहब्बतों के बाज़ार न थे.

#रोमिल

Saturday, September 8, 2012

Toota hua aaina

Toote hue aaina se yeh sabak maine seekha hai Romil
Had se jyada sacchai bhi maut ki wajah ban sakti hai.

- Romil Lucknawi

टूटे हुए आइना से यह सबक़ मैंने सीखा है रोमिल
हद्द से ज्यादा सच्चाई भी मौत की वजह बन सकती है।

- रोमिल लखनवी 

Friday, September 7, 2012

Aankhon ki tadap...

aankhon ki tadap ko haathon ne yun poora kiya
banakar but use Rab ka darza diya.

#Romil

आँखों की तड़प को हाथों ने यूँ पूरा किया
बनाकर बुत उसे रब का दर्ज़ा दिया...

#रोमिल

Thursday, September 6, 2012

Hoonthon se kahan mere duayon ke diye chale gaye

Hoonthon se kahan mere duayon ke diye chale gaye
Masjid mein baith kar hum bas piye chale gaye
Aakhiri juma hai namaz to ada kar le kaafir
Hum unka naam liye aur gunah kiye chale gaye.

Maut ka waqt aaya tab khuda ka khayal aaya
Yeh kaisi vashiyat bhari zindagi hum jiye chale gaye
Ab kaise mange tujhse apne gunahon ki maafi
Yahi soch kar hum bas piye chale gaye.

- Romil Lucknawi.

होंठों से कहाँ मेरे दुआयों के दीए चले गए
मस्जिद में बैठकर हम बस पिए चले गए
आखिरी जुमा है नमाज़ तो अदा कर ले काफ़िर
हम उनका नाम लिए और गुनाह किये चले गए।

मौत का वक़्त आया तब खुदा का ख्याल आया
यह कैसी वैसीयत भरी ज़िन्दगी हम जिए चले गए
अब कैसे मांगे तुझसे अपने गुनाहों की माफ़ी
यही सोचकर हम बस पिए चले गए।

- रोमिल लखनवी         

Wednesday, September 5, 2012

KOI TO HAI...

koi to hai jo mere liye duayein padata hai
kisi ka to saaya rehnuma bankar mere saath chalta hai
kisi ne to chadai hai mere naam se chadare mazaron par
koi to hai jo mere naam se paath rakhata hai.

koi to hai jo khila raha hai fakeeron ko mere naam se khana
kisi ne to vrat mere liye rakha hai
kisi ke kehne par to hua hai mere liye Shivalinga ka singhar-abhishek
koi to hai jo rooh se mujhe mohabbat karta hai.

KOI TO HAI...

- Romil Lucknawi.

Kashmakash

Bas isi kashmakash mein soya nahi raat bhar
Uski tasveer khoobsurat hai ya uske khawab.

- Romil Lucknawi

Tuesday, September 4, 2012

Majboori ne majdoor bana diya

Majboori ne majdoor bana diya duniya ki nazar mein
Warna aaj bhi main shehzada hoon maa ki nazar mein.

- Romil Lucknawi

Monday, September 3, 2012

Betaab dil ka qaraar aa jaye...

Betaab dil ka qaraar aa jaye
Kisi roz gulab sang unka iqraar aa jaye
Mehak uthe meri duaon ke phool
Kisi roz husn-e-jaana mere kareeb aa jaye.

Tanha nazare pee le unki nazaron ko
Woh sharab-e-nazar aa jaye
Kisi raat mujhe chand ki jarurat na pade
Kaash mera mehboob mere angan mein utar aaye.

aur

Choo lo mere kapkapate hue honthon ko
Dubati hui saanson ko zindagi mil jaye
Tera hi hokar reh jata hai
Jo ek baar teri mehfil mein aa jaye.

- Romil Lucknawi

Saturday, September 1, 2012

Ta-Umar yaad rahegi duniya-e-zamane ki baat

Ta-Umar mujhe yaad rahegi duniya-e-zamane ki baat
Meri aansooyon ki raat
Meri tanhaiyon ki raat.

Bade behrahmi se tode mere khawabon ki baat
Woh saahil kinare toofano ki raat
Ujadi bastiyaan, woh aandhiyon ki raat.

Kisi taboot mein lapete woh anbhejhi chittiyon ki baat
Woh andheron mein jagati raat
Woh Chand ke saath jali raat.

- Romil Lucknawi