Showing posts with label MAA.... Show all posts
Showing posts with label MAA.... Show all posts

Thursday, October 4, 2012

माँ ने सिखाया है

माँ ने सिखाया है 
किसी निर्धन को मत सताओ
हर प्यासे को पानी पिलाओ

उठो छू लो आसमानों को
बैठकर ज़िन्दगी को मत ताने सुनाओ

करो सामना हर मुसीबत का हंस के
फ़िक्र में यूंह न खुद को जलाओ

ज़िन्दगी जीनी है तो स्वाभिमान से जियो
किसी जुल्मी के सामने घूटने मत टिकाओ

- रोमिल लखनवी

Wednesday, July 4, 2012

Kadi dhoop mein jal raha hoon main

Kadi dhoop mein jal raha hoon main
Woh shaks kahan hai jo udaye chaav mujhe

Khawabon ki chadar mein simat ke sota hoon
Woh shaks kahan hai jo yadoon mein jagaye mujhe

Shehar-Shehar chirag ban ke jalta hoon
Woh shaks kahan hai jo bhujaye mujhe

Aur

Aarzoo liye roz firta hoon, maa se milne ki
Kaash kisi roz khuda maut ki neend sulaye mujhe.

- Romil

Monday, July 2, 2012

Ab uske khat-e-jaam aate nahi

Ab uske khat-e-jaam aate nahi
Hum sukun-e-chain se so paate nahi



Yeh zindagi-e-geet hai ya fir maut-e-sehnai
Ab hum raag-e-mohabbat gaate nahi

Us din bhi meri rooh pak thi, aaj bhi hai
Ab hum yeh yakeen kisi ko dilate nahi


Mujhse bichad ke khush rehne wale
Ab hum raag-e-judai gaate nahi


Aur


Kya sunaye hum maa ko dozak ki baatein
Sikve, shikayat hum kisi se ab kar pate nahi.


- Romil

Sunday, July 1, 2012

ab meri mohabbat ko gavara nahi

ab meri mohabbat ko gavara nahi
do ghadi ka saath hamara nahi



puchh khuda se kis jagah humne tujhe pukara nahi
teri yeh berukhi ka mausam ab gavara nahi

tere gum mein sabse pehle aah hamari nikali
 is tarah tera woh lamhe bhool jana gavara nahi

khud pe gurur itna acchha nahi hota
dekh lena ya to hum nahi ya zamana nahi

aur

maa ki dhun mein magan rehta hai yeh dil
ab maa yeh na kisi se kehna beta tera, mujhse bolta nahi...

 - Romi

Saturday, June 30, 2012

nahi chahiye mujhe aisi mehboob aisi deewani

nahi chahiye mujhe aisi mehboob aisi deewani 
meri khariyat jo puche bankar anjaani 

waqt nahi tere pass jo sune kisse meri jubani 
mere vaaqyaat hai lambe, ajab hai meri kahani 

ek arse se rula raha hai tera gum aye deewani 
khuda jaane ishq mein mili hai humko kaise pareshani 

mujhe gum nahi jo duniya badal gai – 2 
afsoos hota hai dekh kar maa ke janaze pe teri aankhon mein jhoota pani

aur 

yeh afsoos, rishtedaron ka rona kab talak maa - 2 
chalo mil-jhul kar banaye hum nai duniya suhani.
- Romil

Friday, June 29, 2012

Hum jis par marte hai use farwah hi nahi

Hum jis par marte hai use farwah hi nahi 
Aalam yeh hai ki use is baat par afsoos hi nahi 

Hoti kaise qabool uski dua humse milne ki 
Labon pe shabd hai magar dil mein chahat hi nahi 

Shauq se ab tum humse bewafai kiya karo 
Ab is dil ko tumhari wafa ki jarurat hi nahi 

Ya rab ab to khatm ho safar-e-intezaar 
Nazare aisi pathar hai ki thakti hi nahi 

aur 

Maa jannat mein agar tu nahi 
To fir is dil ko jannat ki aarzoo hi nahi. 

- Romil

Thursday, June 28, 2012

Mohabbat ke bazaar mein nilaam hokar

Mohabbat ke bazaar mein nilaam hokar
Woh zyada khoobsurat ho gaya hai badnaam hokar 

Fir us nihaayat bewafa se umeed-e-waafa kar rahe ho 
Badi himmat dikha rahe ho nakaam hokar 

Uske gamo ko uski surat se badhkar kehne wale
Yeh kya ho gaya hai tumhe aashiq hokar 

Dhoop jaate hi tu bhi chala jayega 
Kuch haasil nahi hoga uska saaya hokar 

aur 

Maa ne chule pe chadha di hogi Kheer 
Mujhe ghar aata dekhkar. 

#Romil Arora

Wednesday, June 27, 2012

Isse pehle ki zindagi ki raat ho jaye

Isse pehle ki zindagi ki raat ho jaye 
Chalo do ghadi hi sahi tumse baat ho jaye 

Bas yahi sochkar alvida keh raha hu tujhe 
Mera nahi na sahi tera hi koi ho jaye 

Har baar tujhse samjhauta kar lu, mumkin nahi 
Is baar chalo humtum juda hi ho jaye 

Tum sar-e-raah-e-waafa doondhate reh jayoge 
Haath tham lo kahi dono ki manzil na badal jaye 

aur 

Bhar chala hai dil gum se mera 
chalo utho do ghadi maa se mila jaye 

- Romil

Tuesday, June 26, 2012

Hum Dono

Woh azma raha hai mujhe 
Main parakh raha hu usse 
Ek dusare ki wafa ka imtihaan le rahe hai hum dono 

Bahut rulaya hai usne mujhe 
Ashkon mein bhigoya hai maine usse 
Ek dusare ko pak kar rahe hai hum dono 

Woh apne shehar doondhata hai mujhe 
Main apne shehar talasta hu usse 
Ek dusare mein sama jana chahte hai hum dono 

Woh apne khawabon mein dekhata mujhe 
Main apne khawabon ko sajata usse 
Ek dusare ko is tarah sulate hai hum dono 

aur 

Maa pukar rahi hai mujhe 
Main subho-shaam bulata hoon usse 
Is intezaar ki tapati dhoop mein tap rahe hai hum dono

- Romil

Monday, June 25, 2012

Haq wafa ka hum apna mangane lage


Haq wafa ka hum apna mangane lage
Woh keemat hamari lagane lage

Sun kar intezaar-e-safar kab khatam hoga
Woh baatein badi banane lage

Khol de na hum mehfil mein kahi raaz-e- mohabbat
Woh nazare humse churane lage

Puch baithe jo hum unse mohabbat-e-anjaam
Woh nadani pe hamari muskurane lage

aur

maa ki rukshati-e-waqt yaad aate hi
aankhon se aansoo barasne lage
hoonton pe dard ke phool khilne lage
dil par gum ke badal girne lage

- romil

Saturday, June 23, 2012

raaton ki siyaahi

raaton ki siyaahi ko suraj ki kirane dho kar chali gai
main zameen par leta sota raha
Maa pass aai,
mujhe dekha
aur rokar chali gai...

- romil 

Friday, June 22, 2012

gami mein kandha dene wala har dost nahi hota

gami mein kandha dene wala har dost nahi hota
aansoo kisi mausam ka mohtaz nahi hota.

kyon samjhate ho us pagal dilwale ko
dil ke rog ka koi ilaaj nahi hota.

aa jata hoon har baar uske masoom chehare ki giraft mein
har haseen chehara khoobsurat nahi hota.

aur

maa, tere saath main bhi marr gaya hota
agar tu saath rahegi hamesha is baat ka dilasa nahi hota.

- romil

Thursday, June 21, 2012

chalo usko sabak seekha diya jaye

chalo usko sabak seekha diya jaye
aasteen mein chupe saanp ka fhan kuchal diya jaye

bahut magrur hai andhiyaan apne guroor mein
chalo inko bhi apna dam dikha diya jaye

aur

jiski koi kahani na ban saki
us waaqiye ko bhula diya jaye

aur

takra na jaye kahi meri maa andhere mein 
ghar ke darwaze par ek diya chala diya jaye

- romil

Wednesday, June 20, 2012

bahu ke aa jaane par bhi beta uski qaid mein rehta hai

bahu ke aa jaane par bhi beta uski qaid mein rehta hai
yeh dekh kar maa ka qad fakr se uccha rehta hai.

woh hi insaan jannat-e-jahan dhoondha lega
jiski jaibon mein hussain ka pata rehta hai.

jaldi hi uske gunahon ka ghada bhar jayega
aaj kal woh bade-ucche siyasi logon ki mehfil mein jo rehta hai

aur

ab maa ke baad koi yeh puchane wala nahi raha
tu raat bhar jagata kyon rehta hai.

- romil

Sunday, June 17, 2012

is ghar mein koi bhi apna nahi lagta

is ghar mein koi bhi apna nahi lagta
tum saath nahi ho maa to kuch accha nahi lagta

teri tasveeron se lipat jaun jee chahta hai
par inko apne aansoo se bhigauna accha nahi lagta

sukr hai mazakiye ka hunar saath hai apne
warna darr ke palang ke kone mein dubak kar sona accha nahi lagta

aur

usse milta hoon,
bichadta hoon
fir milta hoon
fir bichadta hoon
khuda tera insaano ko khilauno ki tarah khelana
mujhe accha nahi lagta!

- romil

Saturday, June 16, 2012

khuda tere fariste yeh kaise dabab mein rehte hai

khuda tere fariste yeh kaise dabab mein rehte hai
ek masoom bacche se maa ko chheen lete hai.
nahi dikhati unko haal-e-majboori kisi ki
andhera kar ghar mein roshani-e-chirag chheen lete hai.


aur


uske mann mein bhi milan ki tadap jaga deta
mere bas main gar hota to use bhi mohabbat seekha deta.


- romil

Friday, June 15, 2012

आज माँ को यादकर

आज माँ को यादकर पलकों से आंसू टपक पड़े रोमिल
यह गर्मी के मौसम में बरसात की बूँदें अच्छी लगती है। 

Thursday, June 14, 2012

jab bhi koi dard milta hai

jab bhi koi dard milta hai
juban se bas tera hi naam nikalta hai


khul ke rone ko jee chahta hai
par safar sirf ek-do aansoo par hi aakar thamta hai


tere andaz-e-tabassum aur aawaz-e-tarannum ka jadu
ab aise hadson se darr lagta hai


aur


jab bhi do aansoo nikal kar aate hai aankhon se
juban se bas maa ka naam nikalta hai.


- romil