Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts
Showing posts with label KUCH MERE LIYE. Show all posts

Wednesday, August 29, 2012

jawab-e-aarzoo

Waise to mujhe tujhse koi jawab-e-aarzoo nahi
Magar mujhse meri rooh puchati hai ki bata teri mohabbat mein kami kya thi.

- Romil Lucknawi 

Saturday, August 25, 2012

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya

Ishq ne humko is kadar naqabil bana diya
Safar-e-manzil mein the awara bana diya.

Aye Khuda tujhe yeh kya suji
Na mandir, na masjid
Is dil ko tune mehboob-e-ghar bana diya.

Sab raunaqe nadarad hai 
Phool, Khushboo, Jheel, Mausam, Dhoop, Burf, Titli aur Hava
Tune Kashmir-e-Jannat ko yeh kaisa udasi-e-chehara pehna diya.

Dushman jo zakhm khakar bhi dua de
Khuda, ishq ne usko yeh kaisa deewana bana diya.

- Romil Lucknawi.

Wednesday, August 22, 2012

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega

Intezaar-e-chirag jalta hai, jalta reh jayega
Yunhi zindagi-e-karwa chalta hai, chalta chala jayega.

Na rahega yaad koi gila-shikwa, na koi hadsa
Sab dhuaan hai, dhuaan ho jayega.

Kise yaad rahegi mohabbat-e-dastaan-e-safar
Sab kitabi kisse-kahani hai, kahani ho jayega.

Yunh bhi hoga, woh hogi kisi gair ki baahon mein
Dil-e-lahoo girta hai, girta reh jayega.

aur

Mausam haazar honge, dil-e-marammat ke
Magar jo toota hai, woh toota reh jayega.

- Romil Lucknawi.

Sunday, August 19, 2012

Tanhai raat mein dasne lagti hai...

Tanhai raat mein dasne lagti hai
Yaadon ki lau jalne lagti hai
Bebas hokar hum karte hai tasveer se baatein
Aankhon se neer tapakne lagti hai.

Jaane tab kyon karti hai woh milan ki baat
Jab jism ki aag mein jalne lagti hai

Aur

Tum kya jaano shiddat-e-mohabbat kya hoti hai
Jab yeh pagadi rab-e-bandagi mein jhukane lagti hai
Aankhon se aankhein beparda hone lagti hai
Rooh-Rooh se bolne lagti hai.

- Romil Lucknawi

Saturday, August 18, 2012

Khuda yeh manzar fir na dikhana

khuda yeh manzar fir na dikhana
mere shehar mein aisa toofan fir na laana

maana ki yeh mazhab-e-junoon hai
par yeh tareeka fir na apnana

logon ko kya mila mere shehar-e-sukun-o-chain loot kar
yeh ulfat, yeh nadaniyaan fir apne bandon se mat karwana 

aur

qalam likhati hi nahi bolti bhi jyada hai
apne bandon par koi mazhabi ilzaam na likhwana.


- Romil Lucknawi

Sunday, August 12, 2012

Dar-Dar bhatke zindagi-e-rasta na mila

Dar-dar bhatke zindagi-e-rasta na mila
Kotiyaan to bhut mili magar ghar na mila.

Sahukar, Thekedar, Baniya, Zameendaar
Sab hai is mohalle mein
Magar koi insaan na mila.

Mera haal puchane wale bahut hai is jahan mein
Jo mere sirhane baithe aisa humsafar na mila.

TU, TU, TU, Sirf TU
zindagi mein mujhe tujhse bada koi gum na mila.

Aur

Neend aaye to kaise aaye zaalim
Abhi tak na woh tasveer
Na woh khat
Na woh gulab
Sham-e-gum ko jo behlaye na woh intezaar mila.

- Romil Lucknawi

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai

Kisi bujurg ki sacchi dua sa lagta hai
Tera chehara mujhe khuda sa lagta hai

Ek muddat se na koi tera khat, na paigam aaya
Ab tera irada bewafa sa lagta hai

Musalsal zindagi mein aate rahe hai gum
Ab to gamo se dostana sa lagta hai

Aye Khuda, Suna hai tune sanwari hai lakhon ki taqdeer
Yeh koi jhoota kissa-afsana sa lagta hai

Aur

Bhookhmari, Bebasi, Majboori, Lachari, 
Khuda teri in chitthiyon par keval Garib ka pata likha hua hai, aisa lagta hai

Romil Lucknawi.

Friday, August 10, 2012

Meri baaton mein jo husn-e-ishq ka charcha ho jata hai

Meri baaton mein jo husn-e-ishq ka charcha ho jata hai
Log kehte hai ki beemar hoon main.

Woh hai meri duniya, Meri duniya hai woh
Bas itni si baat ka gunehgaar hoon main.

Tamam saalon se khoya hua hoon uske dikhaye khawabon mein
In khawab-o-khayalon ka karzdaar hoon main.

Saans tootane se pehle bharlo mujhe apni baahon mein
Inhi palon ka mohtaaj hoon main.

- Romil Lucknawi

Tuesday, August 7, 2012

Fir dil mein uthi beqarari hai

Fir dil mein uthi beqarari hai
Yeh dard us karigar ki kalakari hai.

Woh yeh keh kar usko taana marta hai
'''Tu milne kyon nahi aati''
Kaise kahe woh yeh samaaj hi uski lachari hai

Raat dono tanha hote hai
Fir bhi baat nahi karte
Yeh jubano ki kaise pardedari hai

Aur

Chand rupiyon ke liye bik jata hai
Bachpan, Jism aur Emaan
Khuda tu hi bata yeh kaisi khareeddari hai.

- Romil

Sunday, August 5, 2012

Suna hai log jannat tak jaate hai...

Janab, Hum patrkaar hai, sach likhate hai, sach batate hai
Humko mat seekhana aanaj ka mool, hum Khalsa hai langar khilate hai.

Yeh Sone, Chandi ka shauq tum ameeron ka hoga
Hum aaj bhi apne bacchon ko pholoon ke gehne pehnate hai.

Tum chahe kitni bhi koshish karlo mujhe haasil karne ki
Mohtarma, hum Sher, sirf Sherni ke peeche jate hai.

Aur

Aye mere dost, NAAZ abhi mat chhodana saath
Suna hai log jannat tak jaate hai.

- Romil

Saturday, August 4, 2012

Mere mehboob, meri neendein udane wale

Mere mehboob, meri neendein udane wale
Tujhe kya haasil hua, mujhe satane wale
Woh ho gaya kisi aur ki baggi pe sawar
Teri bagal khali hi reh gai intezaar karwane wale...

Aur

Desh sudharane ka junoon sar par liye
Ab election ladenge andolan karne wale.
Woh kehte hai hamara candidate janta tey karegi,
Lagta hai woh bhool gaye hai
Janta ne to Sansad bheje hai, desh lootane wale...

- Romil

Wednesday, August 1, 2012

Tuesday, July 31, 2012

Duniya mein sharafaton ki kahan ehmiyat hai logon

Duniya mein sharafaton ki kahan ehmiyat hai logon
Jab tak do-chaar ghar na jalao tab tak koi pehchanta nahi hai logon

Dilwalon ki baatein kaun samjha hai logon
Jab tak mohabbat mein jaan na de do tab tak koi yakeen nahi karta hai logon

Raat ke teen baje 7 rajyon ki bijli chali gai logon
Kitne lubhavane hote the woh diya aur baati ke din logon

aur

Bahut bharosa na kar lena uski baaton pe logon
Dikhata hai jo woh suhana khawab bhi ho sakta hai logon.

- Romil

Monday, July 30, 2012

Mujh Hisab-kitab ki baatein samaj nahi aati hai

Mujhe hisab-kitab ki baatein samajh nahi aati hai
Mohabbat ki hai, taulani nahi aati hai.
Uske saath rehta hoon to takleef bahut hoti hai
Par yeh aise aadat hai jo chhodi bhi nahi jaati hai.

aur

Bade saliqe se keh jata hoon usse uski bewafai ke kisse
Yeh andaz-e-ghazal hai har kisi ko nahi aati hai
Jin kothiyon mein basi ho buzurgon ki saansein
Aisi kothiyaan kiraye par nahi di jaati hai.

- Romil

Sunday, July 29, 2012

Mujhe shayari pasand hai...

Mujhe shayari pasand hai
Dilchasp baatein karne wali nahi
Mujhe mehfilien pasand hai 
Sharab khane nahi
Waqt ki kadar karna pasand hai
Time table banna nahi
Mujhe raat bhar chand se baat karna pasand hai
Subah suraj ke saath aankhein milana nahi
Mujhe chote-chote sapne dekhana pasand hai
Bade khawab sajana nahi
Mujhe pyar mein zameen par sona pasand hai
Daulat ke bistar par aaram farmana nahi
Mujhe swabhimaan se jeena pasand hai
Haat fehlakar, sar jhukakar zindagi jeena nahi.

- Romil

Saturday, July 28, 2012

Chalo lafz kaagaz par baitha dete hai

Chalo lafz kaagaz par baitha dete hai
Usko paimana-e-ishq suna dete hai
Aadatan hai uska bewafai karna
Hum aitbaar pasand hai samjha dete hai..

Aur

Baap kaun hai yeh batata hai DNA
Hum aise vigyan ko salaam karte hai
Waise jin rishton mein na ho pyar-mohabbat
Hum un rishton ko door se hi pranam karte hai.

#Romil

चलो लफ्ज़ कागज पर बैठा देते हैं 
उसको पैमाना-ए-इश्क सुना देते हैं 
आदतन है उसका बेवफाई करना 
हम 
ऐतबार 
पसंद है समझा देते हैं... 

और 

बाप कौन है यह बताता है डीएनए 
हम ऐसे विज्ञान को सलाम करते हैं 
वैसे जिन रिश्तों में ना हो प्यार-मोहब्बत 
हम उन रिश्तों को दूर से ही प्रणाम करते हैं.

#रोमिल

Thursday, July 26, 2012

Main usko manane nikala

Main usko manane nikala
Apni zindagi sawarne nikala
Socha tha maan jayega... dost hai apna
Par woh to dushman purana nikala.

Nazar-andaz karne laga humko
Woh bewafa iskadar nikala
Chehare badalne ka hunar aata hai usko
Mujhe tab pata chala...jab main usko aaina dikhane nikala.

Mohabbat ke andheron se ghira hua tha
Woh bichada yaar hi chirag-e-roshan nikala
Mujhe tehzeeb sikhane wale
Tu hi to meri jubaan ka asli kadardan nikala.

Chalo ek kora kaagaz usko bhej de Romil
Yahi to hum dono ki zindagi ka sach nikala.

- Romil

Wednesday, July 25, 2012

Yeh rait ka samundar hai khatam nahi hota !!!

Yeh rait ka samundar hai khatam nahi hota
Mohabbat mein har koi safal nahi hota

Mujhe bhuja ke bahut khush hai yeh havaa
Main pehle hi janta tha har chirag roshan nahi hota

Bhari shaam bhi udasi door nahi kar pati
Kya kahe... mehfil mein har koi apna nahi hota

Ya khuda! Masoom chehare ke peeche is kadar bewafai
Use gair ki bahoon mein dekhane ke baad bhi yakeen nahi hota.

#Romil

यह रेत का समंदर है खत्म नहीं होता 
मोहब्बत में हर कोई सफल नहीं होता 

मुझे बुझा के बहुत खुश है यह हवा 
मैं पहले ही जानता था हर चिराग रोशन नहीं होता 

भरी शाम भी उदासी दूर नहीं कर पाती 
क्या कहें... महफिल में हर कोई अपना नहीं होता 

या खुदा मासूम चेहरे के पीछे इस कदर बेवफाई 
उसे ग़ैर की बाहों में देखने के बाद भी यकीन नहीं होता...

#रोमिल

Saturday, July 21, 2012

Usse rishta todane mein bahut dair kar di

Usse rishta todane mein bahut dair kar di
Zindagi samajhane mein bahut dair kar di
Badalate mausamon ki sair mein khoya raha
Ghar pahuchane mein bahut dair kar di

Bhes badal kar karti rahi tez hawan kohram
Sawan ke mausam ko samajhane mein bahut dair kar di
Har taraf jismo ki khushboo aati rahi
Rooh ko mehsus karne mein bahut dair kar di

Kaanpate pedon ke phool mere pairon mein pade rahe
Maala bunne mein bahut dair kar di
Maut se pehle marne se bachane mein
Uski haqiqat sunne mein bahut dair kar di

Raat ke parde mein chup kar rulane wale
Tune baat karne mein bahut dair kar di 
Siskiyaan leti havaayen keh rahi hai
Tune khushiyon ki fiza laane mein bahut dair kar di

- Romil