Friday, August 3, 2012

Uska SMS padhkar hairaniyon mein hoon

Uska SMS padh kar hairaniyon mein hoon
Hoon bahut khush fir bhi tanhaiyon mein hoon

Kitna samjhata hoon is dil ko mat dhadak uske liye
Mehfil mein hoon fir bhi viraniyon mein hoon

Aaj mein dhundhata hoon, main beete hue kal ke lamhe
Kaise kahoon mein kis tarah pareshaniyon mein hoon

Mujhse juda hone wale main kaise tujhe samjhau
Main aaj tak teri giraftariyon mein hoon.

- Romil

Wednesday, August 1, 2012

A SPECIAL DAY !!!

A SPECIAL DAY !!!

3rd AUGUST

Umar Ke Saath Lehja Badal Jata hai

Umar ke saath lehja badal jaata hai
Bade saude samne ho to imaan badal jata hai
Aur
Jo karta tha kal tak saath janmo ki baatein
Ussi se rishta badal jata hai.


Mujhe dekh kar mooh fher lena uska
Fakeeri ke samay doston ka dostana badal jata hai
Aur
Yeh uski aadat samjhe ya fir bewafai
Uski ghar ki khidki ka parda har roz badal jata hai.


- Romil.

A SPECIAL DAY !!!

A SPECIAL DAY

3rd August