Tuesday, September 24, 2013

Maa kehti thi...

Maa kehti thi...

Subah uthate hi ghar ke bujurgon ke pair chua karo
Yeh woh mitti hai, jo phoolon ke baag khilati hai.

Bujurgon ki gaaliyon ko bhi kadvi davai samaj pi liya karo
Yeh woh amrit hai jo zindagi ke bure rogon ko door bhagati hai.

Kabhi apne haaton se roti ke do nivale khilao inko
Yeh woh karm ki kamai hai jo umar bhar dua ban saath rehti hai.

aur

Mere hoonton se khuda ko sukriya nikalta hai
Jab bujurgon ki khilkhilahat, poori haveli mein goonjne lagti hai.

#Romil

मां कहती थी 

सुबह उठते ही घर के बुजुर्गों के पैर छुआ करो 
यह वो मिट्टी है, जो फूलों के बाग खिलाती है... 

बुजुर्गों की गालियों को भी कड़वी दवाई समझ पी लिया करो 
यह वह अमृत है जो जिंदगी के बुरे रोगों को दूर भगाती है... 

कभी अपने हाथों से रोटी के दो निवाले खिलाओ इनको
यह वो कर्म की कमाई है जो उम्रभर दुआ बन साथ रहती है... 

और 

मेरे होठों से खुदा को शुक्रिया निकलता है 
जब बुजुर्गों की खिलखिलाहट पूरी हवेली में गूँजने लगती है...

#रोमिल

khuda se pehle...

khuda se pehle, maa ke pairon mein sar jhuka hona chahiye
maa ka darja, sabse uccha hona chahiye.

aapse mohabbat hai, sirf aapse mohabbat hai, maut tak yeh mohabbat nibhayungi
har jeevan-saathi mein aisa sankalp hona chahiye.

yeh garibi, yeh majbooriyan kahin chaat na jaye khushiyaan
thode main hi sahi par khushi-khushi guzara hona chahiye
  
aur

"main  ghar ke badhe-bhudhon ki khidmat ke liye aai hoon"
ghar ki bahu mein aise sanskar-aisa bhaav hona chahiye.

#Romil

खुदा से पहले, मां के पैरों में सर झुका होना चाहिए 
मां का दर्जा, सबसे ऊंचा होना चाहिए. 

आपसे मोहब्बत है, सिर्फ आपसे मोहब्बत है, मौत तक यह मोहब्बत निभाऊंगी 
हर जीवन साथी में ऐसा संकल्प होना चाहिए. 

यह गरीबी, यह मजबूरियां कही चट ना जाए खुशियां 
थोड़े में ही सही पर खुशी-खुशी गुजारा होना चाहिए.

और 

"मैं घर के बड़े-बूढ़ों की खिदमत के लिए आई हूं"
घर की बहू में ऐसे संस्कार-ऐसा भाव होना चाहिए.

#रोमिल

Sunday, September 22, 2013

Zindagi mein

Zindagi mein khush rehne ki aarzoo kiski nahi hoti hai...
Muskil to ismein hai, tumhare bina khush rahoon mein kaise?

Sanam hokar saalon nahi mila mujhse
Usse kehna ki kabhi mujhe dhoondhane aaye
Khush rehne ki baat karna bemani-fizool hai tumhari
Usse kehna ki kabhi mujhe hasane aaye...

#Romil

जिंदगी में खुश रहने की आरजू किसकी नहीं होती है... 
मुश्किल तो इसमें है, तुम्हारे बिना खुश रहूं मैं कैसे? 

सनम होकर सालों नहीं मिला मुझसे 
उससे कहना कि कभी मुझे ढूंढने आए 
खुश रहने की बात करना बेमानी-फिजूल है तुम्हारी 
उससे कहना कि कभी मुझे हँसाने आए... 

#रोमिल

EK YEH BHI WAJAH

"ROMIL EK YEH BHI WAJAH HO SAKTI HAI MERI USSE NAFRAT KI
MAINE USSE UMEEDEIN BAHUT LAGA RAKHI THI"

#ROMIL

रोमिल एक यह भी वजह हो सकती है मेरी उससे नफरत की 
मैंने उससे उम्मीदें बहुत लगा रखी थी...

#रोमिल

mujhe aisi jagah

mujhe aisi jagah jaane ki aarzoo hai E Khuda
jahan na main hoon, jahan na uski yaad ho...

#Romil

मुझे ऐसी जगह जाने की आरजू है ए खुदा 
जहाँ ना मैं हूं, जहाँ ना उसकी याद हो... 

#रोमिल

jaate-jaate woh mujhe ek aur zindagi ka shabak de gaya

jaate-jaate woh mujhe ek aur zindagi ka shabak de gaya 
usse rishta bahut gehra tha, zakhm bhi gehra de gaya...

#Romil

जाते-जाते वो मुझे एक और जिंदगी का सबक़ दे गया
उससे रिश्ता बहुत गहरा था, जख्म भी गहरा दे गया... 

#रोमिल

Saturday, September 21, 2013

kisi roz dekh lena

kisi roz dekh lena tum apne paon ko palat kar
laut kar, chal kar, tumko wapas aana hindustain hi hai.
har baat jante hue bhi dil manta nahi hai tumhara
pardesh mein pori hoti ishq ki dastan nahi hai.

aur

kis darr ki baat karti ho tum
kya ishq-e-izhaar se tumhara dil darta nahi hai
kya usko apnane se tumhara dil darta nahi hai.

#Romil

किसी रोज देख लेना तुम अपने पांव को पलट कर 
लौट कर, चल कर, तुमको वापस आना हिंदुस्तान ही है 
हर बात जानते हुए भी दिल मानता नहीं है तुम्हारा 
परदेश में पूरी होती इश्क़ की दास्तान नहीं है 

और 

किस डर की बात करती हो तुम 
क्या इश्क-ए-इज़हार से तुम्हारा दिल डरता नहीं है 
क्या उसको अपनाने से तुम्हारा दिल डरता नहीं है... 

#रोमिल

Friday, September 20, 2013

jaate-jaate labon se hansi bhi le gaya

jaate-jaate labon se hansi bhi le gaya
woh shaks meri aankhon se neendein bhi le gaya...

jab maut kareeb aai to yeh khayal aaya
woh shaks apne saath meri zindagi bhi le gaya...

ab itni si baat par kya use bewafa kahein
woh shaks meri saari waafein bhi le gaya...

bahut dino se mulaqat nahi hui
bahut dino se mulaqat nahi hui
woh shaks mujhse-mujhko chura le gaya...

#Romil

जाते-जाते लबों से हंसी भी ले गया 
वो शख्स मेरी आंखों से नींदे भी ले गया...

जब मौत करीब आई तो यह ख्याल आया 
वो शख्स अपने साथ मेरी जिंदगी भी ले गया... 

अब इतनी सी बात पर क्या उसे बेवफा कहें 
वो शख्स मेरी सारी वफाएं भी ले गया... 

बहुत दिनों से मुलाकात नहीं हुई 
बहुत दिनों से मुलाकात नहीं हुई 
वो शख्स मुझसे-मुझको चुरा ले गया... 

#रोमिल

Thursday, September 19, 2013

यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी

ना रहे हम,
मगर यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी,
हमारे प्यार की कहानी दुनिया को बतलाती रहेंगी !

यह खामोश कागज़ के टुकड़े है,
मगर यह मोहब्बत का सैलाब लाती रहेंगी,
यह एहसास किसी न किसी के दिल में जरुर जगाती रहेंगी,
फिर कोई प्यार के लिए जियेगा,
हम न रहे,
यह मेरी कवितायेँ, प्यार करना सीखती रहेंगी!

यह कवितायेँ जरुर हमारा एहसास दुनिया को कराती रहेंगी,
तेरा-मेरा रिश्ता दुनिया को बतलाती रहेंगी !

#रोमिल

Tuesday, September 17, 2013

तन्हाई ढूँढते है

रोमिल, तन्हाई ढूँढते है हम आँसू बहाने को
चले जायेंगे हम कही दूर, कभी वापस न आने को…

#रोमिल

जो लोग मुहब्बत को जानते होंगे

जो लोग मुहब्बत को जानते होंगे,
जुदाई का दर्द क्या होता है पहचानते होंगे!

इतनी तड़प, जिसने देखी होगी मेरे अल्फाजो में,
वो तुझे मेरा खुदा मानते होंगे!

मेरी तन्हा आँखें जब किसी ने देखी होगी,
इंतज़ार की हद क्या होगी समझते होंगे! 

देखकर शमा में जलते हुए परवाने को,
लोग मोहब्बत का नतीजा जानते होंगे!

#रोमिल

Sunday, September 15, 2013

Mohabbat to humne ki thi

Mohabbat to humne ki thi, 
Mohabbat to humne ki thi, naseeb-taqdeer ko kos kar hum kya kare
Maut bakhs de aye khuda, ab hum zindagi ka kya kare
*
Main yeh chahta hoon ghar-parivar tumhara basa rahe
Main yeh chahta hoon ghar-parivar tumhara basa rahe
Magar yeh bhi chahta hoon mere ghar mein tera aks rahe.
*
Mujhe barbaad karna, sochi-samjhi sajish thi tumhari
Tum agar apna gunah na qabulon to ismein khuda kya kare.

#Romil

मोहब्बत तो हमने की थी, 
मोहब्बत तो हमने की थी, नसीब-तकदीर को कोसकर हम क्या करें 
मौत बख़्श दे ए खुदा, अब हम जिंदगी का क्या करें...

मैं यह चाहता हूं घर परिवार तुम्हारा बसा रहे 
मैं यह चाहता हूं घर परिवार तुम्हारा बसा रहे 
मगर यह भी चाहता हूं मेरे घर में तेरा अक्स रहे... 

मुझे बर्बाद करना, सोची-समझी साजिश थी तुम्हारी 
तुम अगर अपना गुनाह ना कबूलों तो इसमें खुदा क्या करें...

#रोमिल

Chalo sanam...

Chalo sanam hum-tum aisa apna jahan banaye
Jahan rooh sune, rooh sunaye !

Is talash-e-sanam mein kho gaya hoon main
Bahut de chuka, ishq ki duhai, ab khamosh ho gaya hoon main !

#Romil

चलो सनम हम-तुम ऐसा अपना जहां बनाएं 
जहां रूह सुने, रूह सुनाएं! 

इस तलाश-ए-सनम में खो गया हूं मैं 
बहुत दे चुका, इश्क की दुहाई,अब ख़ामोश हो गया हूं मैं!

#रोमिल

Friday, September 13, 2013

mere sar se qafan

Romil, mere sar se qafan hata ke ek baar tasalli to kar lo
Woh ungaliyaan ab kabhi qalam na pakad sakengi, jo kabhi tumhare intezaar mein likhati thi.

#Romil

रोमिल, मेरे सर से कफ़न हटा के एक बार तसल्ली तो कर लो
वो उंगलियाँ अब कभी क़लम ना पकड़ सकेंगी, जो कभी तुम्हारे इन्तेज़ार में लिखती थी...

#रोमिल

kia main raat mein

kia main raat mein sona chhod doon romil
yeh khawab tere jee bada jalatein hain...

#Romil

क्या मैं रात में सोना छोड़ दूं रोमिल 
यह ख्वाब तेरे जी बड़ा जलाते हैं... 

#रोमिल

Thursday, September 12, 2013

Tumhari saari daleelein

Tumhari saari daleelein bhi tumhare khilaf ja rahi hai Romil
Fir bhi dil ki yeh himaayat to dekho, tumhein bewafa nahi samajhata.

#Romil

तुम्हारी सारी दलीलें भी तुम्हारे खिलाफ जा रही है रोमिल 
फिर भी दिल की यह हिमायत तो देखो, 
तुम्हें बेवफा नहीं समझता. 

#रोमिल

jo kuch roz

jo kuch roz mujhe dekhana chahati ho tum zinda
to jhooti mohabbat-bhari baaton ka silsila jaari rakhana.

#Romil

जो कुछ रोज मुझे देखना चाहती हो तुम जिंदा 
तो झूठी मोहब्बत-भरी बातों का सिलसिला जारी रखना.

#रोमिल

Wednesday, September 11, 2013

lag chuki hai use bhi dunia ki hawan

lag chuki hai use bhi dunia ki hawa Romil
mahine beet jaate hai, woh shaks baat tak bhi nahi karta.

Daleelein to bahut hoti hai uske pass
Magar kya kare, woh apni daleelon par khara nahi utarata.

#Romil

लग चुकी है उसे भी दुनिया की हवा रोमिल
 महीने बीत जाते हैं वो शख्स बात तक नहीं करता. 

दलीलें तो बहुत होती हैं उसके पास मगर क्या करें, वो अपनी दलीलों पर खरा नहीं उतरता. 

#रोमिल

Tuesday, September 10, 2013

Aaj tanhai ko fir yeh dilasa diya Romil...

Aaj tanhai ko fir yeh dilasa diya Romil,
Woh din zindagi ka sabse bada manhus tha jis din yeh mohabbat hui thi.

#Romil

आज तन्हाई को फिर यह दिलासा दिया रोमिल,
वो दिन ज़िन्दगी का सबसे बड़ा मनहूस था जिस दिन यह मुहब्बत हुई थी...

#रोमिल

Is jahan mein tumko koi be-aib-e-yaar nahi milega

Is jahan mein tumko koi be-aib-e-yaar nahi milega
Itna dhundhoge humsafar-e-paak-saaf to umar bhar Romil tumko kunwara hi rehna padega.

#Romil

इस जहाँ में तुमको कोई बे-ऐब-ए-यार नहीं मिलेगा...
इतना ढूँढ़ोगे हमसफ़र-ए-पाक़-साफ़ तो उम्र भर रोमिल तुमको कुंवारा ही रहना पड़ेगा...

#रोमिल

Monday, September 9, 2013

HAPPY GANESHA CHATURTHI – 09th SEPTEMBER ‘2013 - YAHI PRATHANA HAI VINAYAKA AAP SABKE SABHI VIGHNA DOOR KARE - GANPATI BAPPA MORYA, MANGAL MURTI

HAPPY GANESHA CHATURTHI – 09th SEPTEMBER ‘2013

Vakratunda Mahakaya Suryakoti Samprabha
Nirvighnam Kuru Mey Deva Sarva-Karyeshu Sarvada  

Meaning : O Lord Ganesha, of Curved Trunk, Large Body, and with the Brilliance of Million Suns,
Please make all my works free of obstacles, always.

Meaning : O Lord with curved trunk and massive appearance whose splendor is equal to that of a billion suns.
Please bless me such that I do not face any obstacles in any of my endeavors, anytime.

I wish you Happy Vinayaka Chaturthi and I pray to GANNU JI for your prosperous life. May you find all the delights of life, May your all dreams come true.

#Romil

Sunday, September 8, 2013

haanton mein machis ki silaiyein liye baitha hai

haanton mein machis ki silaiyein liye baitha hai
khud apni chita ki taiyyari kiye baitha hai

maut aaye to sukun ki aaye 
maut aaye to sukun ki aaye, mere maalik
woh sadiyon ki mohabbat-e-bewafai liye baitha hai

kise yaad rehti hai ishq mein qurbani
woh ek khata pe, umar bhar ki wafaein bhulayein baitha hai

usse kya puchate ho ki woh raat bhar kya padata rehta hai
woh apne dilon ke zakhamo ki qitab liye baitha hai

aur

woh Raj na banta to hi accha tha
khud apne hi aks ko giraftar kiye baitha hai 

#Romil

हाथों में माचिस की सिलाई लिए बैठा है 
खुद अपनी चिता की तैयारी किए बैठा है 

मौत आए तो सुकून की आये 
मौत आए तो सुकून की आये, मेरे मालिक 
वो सदियों की मोहब्बत-ए-बेवफाई लिए बैठा है 

किसे याद रहती है इश्क में कुर्बानी 
वो एक खता पे, उम्र भर की वफाएं बुलाए बैठा है

उससे क्या पूछते हो कि वह रात भर क्या पढ़ता रहता है
वो अपने दिलों के जख्मों की किताब लिए बैठा है 

और 

वो राज ना बनता तो ही अच्छा था 
खुद अपने ही अक्स को गिरफ्तार किये बैठा है...

#रोमिल

Saturday, September 7, 2013

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum...

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum
Ki main tumhein bewafa na samjhu
Ki main tumhein khudgarj na samjhu
Ki main tumhein apni maa ka qatil na samjhu...

Chalo koi to aisi daleel mere samne pesh karo tum...

#Romil

चलो कोई तो ऐसी दलील मेरे सामने पेश करो तुम...
की मैं तुम्हें बेवफ़ा न समझूँ
की मैं तुम्हें खुदगर्ज़ न समझूँ
की मैं तुम्हें अपनी माँ का क़ातिल न समझूँ...

चलो कोई तो ऐसी दलील मेरे सामने पेश करो तुम...

#रोमिल

Friday, September 6, 2013

apni zindagi ka tamasha-e-sare-aam kar

apni zindagi ka tamasha-e-sare-aam kar 
dekha hai kai baar maine usko pukaar kar...

#Romil

अपनी ज़िंदगी का तमाशा-ए-सरे-आम कर
देखा है कई बार मैंने उसको पुकार कर...

#रोमिल

Rok na laga saka woh apne jazbaaton par

Rok na laga saka woh apne jazbaaton par
Mehandi se mera naam likh liya apne haaton par...

#Romil

रोक ना लगा सका वो अपने जज़्बातों पर
मेहँदी से मेरा नाम लिख लिया अपने हाथों पर...

#रोमिल

Sawal yeh tha kya mere janaze par aaoge Tum?

Sawal yeh tha kya mere janaze par aaoge Tum? 
Jawab yeh mila, mere liye pehle hi marr chuke ho Tum.

#Romil

सवाल यह था क्या मेरे जनाज़े पर आओगे तुम?
जवाब यह मिला, मेरे लिए पहले ही मर चुके हो तुम.

#रोमिल

Thursday, September 5, 2013

aaj kal tujhe meri ibadat ke liye fursat nahi milti....

romil... khuda kehta hai
"aaj kal tujhe meri ibadat ke liye fursat nahi milti"

kaise samjhau main khuda ko
"mujhe uski yaadon se fursat nahi milti"

#Romil

रोमिल... ख़ुदा कहता हैं...
"आजकल तुझे मेरी इबादत के लिए फुर्सत नहीं मिलती"

कैसे समझाऊँ मैं ख़ुदा को...
"मुझे उसकी यादों से फुर्सत नहीं मिलती"

#रोमिल

Wednesday, September 4, 2013

ishq ki nakami ki bas itni si hai kahani...

Apne ishq ki nakami ki bas itni si hai kahani Romil
woh humko chah na sake, 
hum unko bhoola na sake.

#Romil

अपने इश्क़ की नाकामी की बस इतनी सी है कहानी रोमिल
वो हमको चाह ना सके, 
हम उनको भूला ना सके...

#रोमिल

Talash...

umar guzri hai bas isi talash mein apni romil
kabhi gunn ko raj na mila
kabhi raj ko gunn nahi mili.

#Romil

उम्र गुज़री है बस इसी तलाश में अपनी रोमिल
कभी गुन को राज ना मिला
कभी राज को गुन नही मिली...

#रोमिल


Meri ek seedhi si baat ka jawab

Meri ek seedhi si baat ka jawab tum doge Romil
Main mar jayun to kya mere janaze mein shareek hone aaoge tum?

#Romil

 मेरी एक सीधी सी बात का जवाब तुम दोगे रोमिल
मैं मर जाऊँ तो क्या मेरे जनाज़े में शरीक़ होने आओगे तुम?

#रोमिल

Tuesday, September 3, 2013

main is sach se tumko pehle hi...

mere ishq mein padne se pehle main tumko is sach se wakif karwa doon Romil
hum gareeb log hai mohabbat ke siwa tumko kuch na de payenge.

#Romil

मेरे इश्क़ में पड़ने से पहले मैं तुमको इस सच से वाकिफ़ करवा दूँ रोमिल...
हम ग़रीब लोग हैं मुहब्बत के सिवा तुमको कुछ ना दे पायेंगे...

#रोमिल

mohabbat-e-aawaz

nahi rok paoge tum meri mohabbat-e-aawaz
yeh aawaz is sadi ki nahi, sadiyon se kisi ko pukarti hai.

#Romil

नहीं रोक पाओगे तुम मेरी मुहब्बत-ए-आवाज़
यह आवाज़ इस सदी की नही, सदियों से किसी को पुकारती है...

#रोमिल

Monday, September 2, 2013

Jism Pak Aankho Mein Bhar Loon Saans Saans Mein Shaamil Kar Loon

Jism Pak Aankho Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shaamil Kar Loon

Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe!!!
Us Duniya Mein Haasil Kar Loon

Zindagi Gawaa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawaa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Hoo!!!

Zindagi Gawa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Wo Maang Loon Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shamil Ker Loon
Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe

Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

Tere Liye, Haan Tere Liye

Zindagi Gawa Kar Bhi Jo Zindagi Mile
Har Khushi Gawa Kar Bhi Jo Ik Khushi Mile

Rooh Se Rooh Ke Darmiyaan

Ishq Ke Hazaro Jahan
Ya Khuda Ya Khuda
Mujhko Dede Agar Ik Jahan

Tou Maang Loon Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon
Saans Saans Mein Shaamil Ker Loon
Is Duniya Mein Jaan Gawaa Tujhe

Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

So Sitam Utha Ker Bhi Jo Ik Khushi Mile
So Jannate Gawaa Ker Bhi Jo Ik Zameen Mile

Tere Sajde Mein Sir Hai Jhukaa
Tu Ibadat Hai Tu Hi Dua
Maut Ke Baad Bhi 
Jo Mile Bandgi Ka Silla

Wo Maang Loon Tere Liye
Tere Liye Tere Liye Tere Liye Tere LIye

Jism Pak Ankhon Mein Bhar Loon 
Saans Saans Mein Shaamil Ker Loon
Is Duniya Se Jaan Gawaa Tujhe 
Us Duniya Mein Haasil Ker Loon

Tere Liye, Haan Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Jism-O-Jaan Lutta Ker Bhi
Jo Ik Hassi Mile
Dil Agar Jalla Ker Bhi
Jo Roshni Mile
Wo Maang Loon Tere Liye 
Tere Liye, Tere Liye, Tere Liye

Janmoo Ka Pyaar Tere Liye
Khushiyan Hazaar Tere Liye
Jannat Dua Tere Liye
Ye Jaan Nisaar Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye

Sunday, September 1, 2013

Uske naam ke rozein to main roz rakhta hoon Sultan, Jis din uska deedar ho jata hai EID mana leta hoon.

Uske naam ke rozein to main roz rakhta hoon Sultan
Jis din uska deedar ho jata hai
EID mana leta hoon.

#Romil

उसके नाम के रोज़े तो मैं रोज़ रखता हूँ सुल्तान...
जिस दिन उसका दीदार हो जाता है
ईद मना लेता हूँ...

#रोमिल

Saturday, August 31, 2013

Guru Granth Sahib Ji Ke Prakash Utsav Di Lakh Lakh Badhai Hove Sare Nu...

“Aagya bhai Akal ki tabhi chalayo Panth,
Sab Sikhan ko hukum hai Guru Manyo Granth.
Guru Granth Ji manyo pargat Guran ki deh.
Jo, prabh ko milna chahe khoj shabad men le.”

“RAJ KAREGA KHALSA AQI RAHEIN NA KOE, 
KHWAR HOE SAB MILANGE BACHE SHARAN JO HOE”

श्री गुरु ग्रन्थ साहिब जी के प्रकाश उत्सव (सितम्बर १) दी लख-लख बधाई होवे सरे नु...

श्री गुरु ग्रन्थ साहिब जी के प्रकाश उत्सव (सितम्बर १) दी लख-लख बधाई होवे सरे नु...

Tere Mere Beech Mein - Song - Shuddh Desi Romance - Sushant Singh Rajput & Parineeti Chopra

Ae sun,
sun le na sun mera kehna tu
hoo gaflat mein, gaflate mein na rehna tu
jo dil tere dil ko honge
toh honge dil ki raina tu
tu abhi bhi soch samajhle
ki phir yeh na kehna tu
Ki tere mere beech mein kya hai ?
Ki tere mere beech mein kya hai ?
Hmmm….
Chaddar!

Ho… Chaddar khaddar ki
Armaan hai resham ke

Chaddar khaddar ki
Armaan hai resham ke

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Finally, chali hai meri love life

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Literally, silly hai meri love life

Ho…ho…ho…..

Tere tere
Mere mere
tere mere beech mein
tere mere
tere mere tere beech mein

tere mere beech mein
Kabhi Jo raaz ho koi
Dhoop mein chipi chipi
Kahin jo raat ho koi

tere mere beech mein
Kabhi jo baat ho koi
Jeet mein chipi chipi
Kahin pe maat ho koi

Poochoonga haule se
Haule se hi jaanunga
Jaanunga mein haule se
Tere har armaan

Aha…
Armaan khule hai
Zidddi bulbule hai

Armaan khule hai
Zidddi bulbule hai

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Finally, chali hai meri love life

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Literally, silly hai meri love life

Ae….
Sun, sun le na
Sun mera kehna tu
Ho…. gaflat mein,
gaflate mein na rehna tu

Ho… neend tune cheen li toh
Toh main bhi loonga chaina
Tu abhi bhi soch samajh le
Phir ye na kehna

Ki tere mere beech mein kya hai ?

Kya hai ?
Tumhe pata toh hai na kya hai
Ki tere mere beech mein kya hai ?
Baatein

Lambi baatein hai
Choti si raatein hai
Lambi lambi baatein hai
Choti si raatein hai

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Finally, chali hai meri love life

Mili, mili hai
Zara khili, khili hai
Literally, silly hai meri love life

Finally, chali hai meri love life

Finally, chali hai meri love life

teri baatein sunne aaye

teri baatein sunne aaye
gum fir mujhse milne aaye

hamesha ke liye jab tu mujhse bichada tha
woh manzar aaj bhi bahut yaad aaye

aur

Use dekhe, parkhe aur pade to sahi
kaash koi farista-e-chehara sa meri nazaron ke saamne to aaye

aur

na meri aarzooein khili hai na tera rang-e-hina
mausam kabhi milan ka do ghadi ke liye to aaye.

#Romil

तेरी बातें सुनाने आए 
गम फिर मुझसे मिलने आए... 

हमेशा के लिए जब तू मुझसे बिछड़ा था 
वो मंजर आज भी बहुत याद आए... 

और 

उसे देखें, परखें और पड़े तो सही 
काश कोई फरिश्ता-ए-चेहरा सा मेरी नजरों के सामने तो आए 

और 

ना मेरी आरज़ूएँ खिली है ना तेरा रंग-ए-हिना 
मौसम कभी मिलन का दो घड़ी के लिए तो आए...

#रोमिल

Friday, August 30, 2013

Abhi mujhmein zinda mohabbat hai bahut

Abhi mujhmein zinda mohabbat hai bahut
In dino aarzooein machalti hai bahut

Jab se us haseen se nazarein mili
Raat bhar yeh nazarein jagati hai bahut

aur

Dard reh-reh kar uthata hai is toote hue dil mein
Kambhakht woh bewafa yaad aata hai bahut

Mera aashiyana bhi jagmaga uthega
Meri dehleej pe tera ek qadam hai bahut

aur

Main kaise jee loon tujhse juda hokar Romil
Samaj nahi aata tujhse nafarat hai ya mohabbat hai bahut.

#Romil

अभी मुझमें जिंदा मोहब्बत है बहुत 
इन दोनों आरज़ूएँ मचलती है बहुत 

जब से उस हसीन से नजरे मिली 
रात भर यह नजरे जागती है बहुत 

और 

दर्द रह-रह कर उठता है इस टूटे हुए दिल में 
कमबख्त वो बेवफा याद आता है बहुत 

मेरा आशियाना भी जगमगा उठेगा 
मेरी दहलीज पर तेरा एक कदम है बहुत 

और 

मैं कैसे जी लूं तुझसे जुदा होकर रोमिल 
समझ नहीं आता तुझसे नफरत है या मुहब्बत है बहुत.

#रोमिल

woh chand jab mere saath sota tha.

meri karwat par jaag jata tha
woh chand jab mere saath sota tha.

supurd karke khud ko meri baahon mein
andheron mein jab guftagu karta tha.

woh chand jab mere saath sota tha.

so kar uthe to aksar woh
bistar par mujhse lipati chadar mein apne jhumake, nathani, payal ko dhundha karta tha

woh chand jab mere saath sota tha.

aur

yahi woh din, woh khawab the jab ek-dusare ko paya karte the
woh aasman mein rehta tha
main zameen mein rehta tha.

woh chand jab mere saath sota tha.

#Romil

मेरी करवट पर जाग जाता था 
वो चाँद जब मेरे साथ सोता था. 

सुपुर्द करके खुद को मेरी बाहों में 
अंधेरों में जब गुफ्तगू करता था. 

वो चाँद जब मेरे साथ सोता था. 

सोकर उठे तो अक्सर वो 
बिस्तर पर मुझसे लिपटी चादर में 
अपने झुमके, नथनी, पायल को ढूंढा करता था. 

वो चाँद जब मेरे साथ सोता था. 

और

यही वो दिन, वो ख्वाब थे जब एक-दूसरे को पाया करते थे
वो आसमान में रहता था 
मैं जमीन में रहता था 

वो चांद जब मेरे साथ सोता था.

#रोमिल

Tuesday, August 27, 2013

na zameen hogi na aasmaan hoga apna milan aisi jagah hoga

na zameen hogi
na aasmaan hoga
apna milan aisi jagah hoga

nai zamane ki bahu, naya ghar, naya pehnawa
na jaane ab kya in purani yaadon-bari cheezon ka hoga.  

aur

Romil, chalo hum-tum milkar ek chhota sa ghar banaye
Jahan pyar, pyar, pyar sirf pyar hoga.

#Romil

ना ज़मीन होगी 
ना आसमान होगा 
अपना मिलन ऐसी जगह होगा 

नए जमाने की बहू, नया घर, नया पहनावा 
ना जाने अब क्या इन पुरानी यादों-भरी चीजों का होगा
 
और 

रोमिल, चलो हम-तुम मिलकर एक छोटा सा घर बनाए
जहां प्यार, प्यार, प्यार, सिर्फ प्यार होगा.

#रोमिल