Tuesday, September 18, 2012

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko

Fikr-e-rozi mein bhula baithe khuda ko
Gunehgaron mein shaamil hoon, bina kiye gunah ko.

- Romil Lucknawi.

फ़िक्र-ए-रोज़ी में भूला बैठे खुदा को
गुनेह्गारों में शामिल हूँ, बिना किये गुनाह हो।

- रोमिल लखनवी

Monday, September 17, 2012

Na samajhana mujhe anadi...

TIMEPASS

Na samajhana mujhe anadi
Main hoon ek khiladi
Na seedhi saadhi bohli
Main hoon tez dhari
Na mujhe gunda chahiye, na chahiye mawali
Main hoon DON ki beti
DON ki hi banungi gharwali...
Yeh baat samaj aai
Ya fir doon ek gali...
Teri bhehan ki..

Na samajhana mujhe anadi
Main hoon ek khiladi

hehehe

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le

Mujhse mohabbat ka aisa inteqaam na le
Ki tu mera paigaam na le
Dil ko yeh hausala hi rehne de, ki tu door sahi hai
Khamosh rehkar tu mera imtiham na le.

- Romil Lucknawi.

मुझसे मोहब्बत का ऐसा इंतेक़ाम न ले
कि  तू मेरा पैगाम न ले 
दिल को यह हौसला ही रहने दे, की तू दूर सही है
खामोश रहकर तू मेरा इम्तिहाम न ले।

- रोमिल लखनवी  

Sunday, September 16, 2012

Main Kya Karoon... Iss Dil Ka Main Ab Kya Karoon - Barfi (2012)

Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi aisa hota tha nahi
Hmm..
Dil yeh mera, bas mein nahi
Pehle kabhi, aisa hota tha nahi
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff ab main kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil ka kya karoon, main kya karoon...

Karta awaargi 
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Karta awaargi 
Iss pe dhun chadhi, hai pyaar ki
Na jaane gumm hai kahaan
Baaton mein hai pada, bekaar ki
Ulti yeh baat hai
Aise halaat hai
Ghalti kare yeh main bharu

Uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Iss dil ka kya karoon, main kya karoon...

Dil pe mera kaabu nahin
Fitrat kabhi iski aisi thi nahin
Tu hi bata iss dil ka main
Ab kya karoon

Kehne pe, chalta nahi
Kuch dino se, meri bhi sunta nahi
Tu hi bata iss dil ka main, uff dil ka kya karoon
Main kya karoon...
Uff ab main kya karoon...

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है

मेरे घर के आँगन में जबसे उस बुलबुल ने पाँव रखा है
मेरे दिल-ओ-दिमाग़ पर एक कोहराम मचा रखा है
रात भर चहकती है उसकी बोलियाँ कानों में
उस ज़ालिम ने सोना हराम कर रखा है। 

बैठे हुए देखूं तो एक आफत सी लगती है
चलते हुए क़यामत नाम रखा है
होगा किसी कोठी के साये में उसका आशियाना
अभी तो उसने हमारे घर डेरा डाल रखा है।

और

उसकी मीठी बोलियों पर मत जा रोमिल
इसने न जाने कितनो को अपना आशिक बना रखा हैं।

- रोमिल लखनवी 

White Rose... Maa Tere Liye...


Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski

Mere dil ki duniya pe chalti hai huqumat uski
Isme kisi aur ka khayaal aaye to duniya khak ho jaye.

- Romil Lucknawi.

मेरे दिल की दुनिया पे चलती है हुकुमत उसकी
इसमें किसी और का ख्याल आये तो दुनिया खाक हो जाये।

- रोमिल लखनवी 

Saturday, September 15, 2012

White Rose... Bhavo Aapke Liye...


Kadr nahi hai unko tere alfazon ki

Kadr nahi hai unko tere alfazon ki
Behtar hoga kuch pal le liye lab khamosh ho jaye.

- Romil Lucknawi.

कद्र नहीं है उनको तेरे अल्फाजों की
बेहतर होगा कुछ पल के लिए लब खामोश हो जाये।

- रोमिल लखनवी  


Bistar par raat angadai mein guzar di

Bisrat par raat angadai mein guzar di
Lete rahe sholon par, ishqk ne hawa di.
Kambakkht mehak uski raat bhar aati rahi hamare jism se
Yeh kaun si itra usne baahon mein bhar kar dal di.

- Romil Lucknawi.

बिस्तर पर रात अंगड़ाई में गुज़र दी
लेटे रहे शोलों पर, इश्क ने हवा दी
कम्बक्ख्त महक उसकी रात भर आती रही हमारे जिस्म से
यह कौन सी इत्र उसने बाहों में भर कर डाल  दी।

- रोमिल लखनवी 
   
    

Vachan

Main vachan deta hoon ki main hamari beti ko khud school chhod kar aayunga... aur shaam ko unko padaunga bhi baba... sacchi baba...

Thursday, September 13, 2012

मुहब्बत-ए-बाज़ार

मुहब्बत-ए-बाज़ार में इस तरह हमारी बोली लगाई गई   
कभी हमारी कीमतें आसमान में चढ़ाई गई 
कभी  कीमतें  हमारी ज़मीन पर लाई गई।   

- रोमिल लखनवी

Red Roses... Bhavo Tere Liye...


वचन

मैं वचन देता हूँ कि हमारी बेटी को सुबह स्कूल जाते वक़्त में ही तैयार करूँगा। सच्ची बाबा।

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya

Yeh dil kisi ka ghar banne se reh gaya
Pathar khuda banne se reh raha
Sab jante the ki woh heera hai heera
Bas chamakane se reh gaya.

- Romil Lucknawi.

यह दिल किसी का घर बनने से रह गया
पत्थर खुदा बनने से रह गया 
सब जानते थे कि वोह हीरा है हीरा 
बस चमकने से रह गया।

- रोमिल लखनवी 


Wednesday, September 12, 2012

This is for u... Maa... from me...


Karke yaad Maa ko aansoo baha lena

Karke yaad Maa ko aansoo baha lena
Kabhi dard-e-dil yunh bhi bhadha lena.

Hazar haseen-o-khoobsurat woh ho lekin
Tum uske dil ko jarur farakh lena.

Kisi ko chhot lage aur dil tumhara dukhe
Umar chhoti hai, yunh bhi zindagi-e-safar guzar dena.

aur

Chahe  marr jao kisi masjid ke samne
Tum bhoolkar bhi na haath kisi nakhuda ke samne faila dena.

#Romil

करके याद माँ को आँसू बहा लेना
कभी दर्द-ए-दिल यूँ भी बढ़ा लेना...

हजार हसीन-ओ-खूबसूरत वो हो लेकिन
तुम उसके दिल को जरूर परख लेना...

किसी को चोट लगे और दिल तुम्हारा दुःखे
उम्र छोटी है, यूँ भी ज़िन्दगी-ए-सफर गुज़ार लेना...

और

चाहे मर जाओ किसी मस्जिद के सामने
तुम भूलकर भी ना हाथ किसी नाख़ुदा के सामने फैला देना...

#रोमिल

Vachan

Main vachan deta hoon ki main hamari beti ke subah aur raat ke diapers khud chance karunga...sacchi baba...

TIME PASS REAL - KAKSHA SADE SAATH PASS

TIME PASS REAL

Judge - Karwai shuru kare.

Vakil Babu - Kitna padhe ho?

Male Client  - Sade Saath Kaksha tak.

ROMIL - Hahaha... Bhehan ke l..d yahi harami hai...Seedha jawab nahi de sakta hai... Vakil sahab iska divorce karao...  yeh saala ulta bolta hoga tabhi ladki divorce chah rahi hai..

Vakil Babu - Seedha jawab de.

Male Client - Kaksha aath ki chhamai pariksha pass kiye hue hai.

Romil -  hahaha...

Tuesday, September 11, 2012

FRIENDSHIP BAND... MAA TERE LIYE...


Haawan ke jhokhon mein bebasi se tadap chuke hai

Haawan ke jhokhon mein bebasi se tadap chuke hai
Yeh mohabbat ke woh phool hai jo ab bikhar chuke hai
Kabhi idhar se guzarana to ek nazar dekh lena
Har phool par tere naam likhe hue hai.

- Romil Arora

वचन

मैं वचन देता हूँ कि जब भी टूर पर रहूँगा तुमको तीन टाइम फ़ोन करूँगा
सुबह, दोपहर और रात। 
क्यूंकि तीन बार आपसे डांट की डोस जरुरी है।   

Monday, September 10, 2012

Meri khawaish hai ki...

Meri khawaish hai ki hotel ke is viran-o-banjar kamre mein utare koi suraj
Ek raat mujhe apni baahon mein mom ki tarah fhiglaye koi...

Kahi se aa jaye us sangdil ka sms
Door se hi raat bhar prem agan jalaye koi...

#Romil

मेरी ख्वाइश है कि होटल के इस वीरान-ओ-बंजर कमरे में उतरे कोई सूरज
एक रात मुझे अपनी बाहों में मोम की तरह पिघलाएं कोई...

कही से आ जाये उस संगदिल का एसएमएस
दूर से ही रातभर प्रेमअगन जलाए कोई...

#रोमिल

वचन

 मैं यह वचन देता हूँ कि कभी भी अपने अन्डर गारमेन्ट्स तुमको धोने के लिए नही दूंगा।   
हा हा हा

Sunday, September 9, 2012

Ae Mere Udas Mann Chal Dono Kahin Door Chalein - Maan Abhiman

Aye mere udas mann chal dono kahin door chalein
Mere humdam teri manzil ye nahin ye nahin koi aur hai
Is bagiya ka har phool deta hai chubhan kaaton ki
Sapne ho jate hain dhool kya baat kare sapnon ki
Mere saathi teri duniyan ye nahin ye nahin koi aur hai.

Jaane mujhse hui kya bhool jise bhool saka na koi
Pachtave ke aansoon meri aankh bhale hi roi
O re pagle tera apna ye nahin ye nahin koi aur hai
Patthar bhi kabhi ek din dekha hai pighal jate hain
Ban jate hain sheetal neer jharne mein badal jate hain
Teri peeda se jo pighale ye nahin ye nahin koi aur hai.

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai

Boondon se kahan apni pyas bhujhane wali hai   
Kaash koi sagar mil jaye jo samaye mujhko.
Mohabbat karne wale to bahut mil jayenge 
Kaash koi aaisa ho jo mohabbat seekhaye mujhko.

- Romil Lucknawi.

बूंदों से कहाँ अपनी प्यास भुझने वाली है
काश कोई सागर मिल जाये जो समाये मुझको।
मुहब्बत करने वाले तो बहुत मिल जायेंगे 
काश कोई ऐसा हो जो मुहब्बत सीखाये मुझको। 

- रोमिल लखनवी

Red Rose... Maa Tere Liye...


वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि मैं हमेशा कालाजाम और रसगुल्ला तुम्हारे हाथों से ही खाऊंगा। हा हा हा  

Aisa na tha ki ishq mein beemar na the

Aisa na tha ki ishq mein bimaar na the
Teri ghungrali zulfon mein giraftar na the

Log sach bolte hai shehar ke
Is tarah hum beqaar na the.

Gum ke dino mein bhut kuch saath tha mere
Bas ek teri baahon ke haar na the.

Pehle to chittiyaan hi mil jaati thi teri
Jab hum mobile fone ke khariddar na the.

aur

Teri tarah hum bhi bik sakte the
Magar kya kahe kahin  mohabbaton ke bazaar na the.

#Romil

ऐसा न था की इश्क में बीमार न थे
तेरी घुन्घरैली जुल्फों में गिरफ्तार न थे

लोग सच बोलते है शहर के
इस तरह हम बेकार न थे

गम के दिनों में बहुत कुछ साथ था मेरे
बस एक तेरी बाहों के हार न थे

पहले तो चिट्ठियाँ ही मिल जाती थी तेरी
जब हम मोबाइल फोन के खरीददार न थे

और 

तेरी तरह हम भी बिक सकते थे
मगर क्या कहे कहीं मोहब्बतों के बाज़ार न थे.

#रोमिल

Bhuli-Bisari Baatein

Bhuli-Bisari Baatein...

Sultan yeh jo aap baat-baat par kehte ho "maa ki qasam... main ab kabhi jhoot nahi bolunga, maa ki qasam... main kabhi ladai nahi karunga"

Vachan dekar, qasam dekar  use na nibhana bahut buri baat hai, isliye aisa na kare.

Saturday, September 8, 2012

अपने दिल को जलाकर अपनी रातें रोशन करता हूँ

अपने दिल को जलाकर अपनी रातें रोशन करता हूँ  
मेरा कसूर यह है कि मैं प्यार करता हूँ। 

#रोमिल

Yellow Roses Maa Tere Liye...


वचन

मैं वचन देता हूँ कि मैं कभी भी तुमको मंगलसूत्र पहनने या फिर सिन्दूर लगाने के लिए फोर्स नहीं करूँगा। सच्ची बाबा।

Toota hua aaina

Toote hue aaina se yeh sabak maine seekha hai Romil
Had se jyada sacchai bhi maut ki wajah ban sakti hai.

- Romil Lucknawi

टूटे हुए आइना से यह सबक़ मैंने सीखा है रोमिल
हद्द से ज्यादा सच्चाई भी मौत की वजह बन सकती है।

- रोमिल लखनवी 

Friday, September 7, 2012

Nigaah-e-qaram

Nigaah-e-qaram kabhi gareebon par bhi farma liya kijiye  
Maana daur-e-mehangai hai, daur-e-hawaniyat nahi...

- Romil Lucknawi

निगाह-ए-कर्म  कभी गरीबों पर भी फरमा लिया कीजिये 
माना दौर-ए-महंगाई है, दौर-ए-हैवानियत नहीं।  

- रोमिल लखनवी


White Roses... Maa Tere Liye...


वचन

मैं यह वचन देता हूँ कि तुम्हारी चोटी पकड़ कर कभी नहीं खीचूँगा, न ही कभी तुम्हारी साड़ी के पललू से अपने हाथ पोछूँगा। हा हा हा। सच्ची बाबा।

Aankhon ki tadap...

aankhon ki tadap ko haathon ne yun poora kiya
banakar but use Rab ka darza diya.

#Romil

आँखों की तड़प को हाथों ने यूँ पूरा किया
बनाकर बुत उसे रब का दर्ज़ा दिया...

#रोमिल

Silsila

Ratoon ke jalne ka jo silsila hai use chalne hi dijiye
Logon ki neendon mein padega khalal, chand ko jagne hi dijiye.

#Romil

रातों के जलने का जो सिलसिला है उसे चलने ही दीजिये
लोगों की नींदों में पड़ेगा ख़लल, चाँद को जगने ही दीजिये...

#रोमिल

Thursday, September 6, 2012

Maa...Deepak tere Liye...


Vachan

Main yeh vachan deta hoon... ki din mein lunch karne ke baad tumko confirmation bhejhunga... sacchi baba... aur tumse confirmation lunga bhi...

Hoonthon se kahan mere duayon ke diye chale gaye

Hoonthon se kahan mere duayon ke diye chale gaye
Masjid mein baith kar hum bas piye chale gaye
Aakhiri juma hai namaz to ada kar le kaafir
Hum unka naam liye aur gunah kiye chale gaye.

Maut ka waqt aaya tab khuda ka khayal aaya
Yeh kaisi vashiyat bhari zindagi hum jiye chale gaye
Ab kaise mange tujhse apne gunahon ki maafi
Yahi soch kar hum bas piye chale gaye.

- Romil Lucknawi.

होंठों से कहाँ मेरे दुआयों के दीए चले गए
मस्जिद में बैठकर हम बस पिए चले गए
आखिरी जुमा है नमाज़ तो अदा कर ले काफ़िर
हम उनका नाम लिए और गुनाह किये चले गए।

मौत का वक़्त आया तब खुदा का ख्याल आया
यह कैसी वैसीयत भरी ज़िन्दगी हम जिए चले गए
अब कैसे मांगे तुझसे अपने गुनाहों की माफ़ी
यही सोचकर हम बस पिए चले गए।

- रोमिल लखनवी         

Wednesday, September 5, 2012

Char Din ki Zindagi - Ek Baar Kaho (1980) Yesudas

Char din ki zindagi hai 
Jaa rahe hai din
do gaye tere milne se pehle
do gaye tere bin

Char din ki zindagi hai 
Jaa rahe hai din
do gaye tere milne se pehle
do gaye tere bin

Priye kab milan hoga
Priye kab milan hoga

Tum kahin kho jayogi
jaan main pata agar
banke humrahi tera
sang hi karta safar
yeh safar poora nahi hoga tumhare bin
do gaye tere milne se pehle
do gaye tere bin

Priye kab milan hoga
Priye kab milan hoga

yaad ke toote mehal
kab tera mandir bana
deep jalte reh gaye
chup gai murat kahan
yeh priye vishwas to bhuj jaye na ek din
do gaye tere milne se pehle
do gaye tere bin

Priye kab milan hoga
Priye kab milan hoga 

Bhavo... Lal Gulab... Romil Ki Taraf Se...


Kisi roz...

kisi roz apne pehlu mein mujhe sulao to sahi
kisi roz chamakti bijliyon se darr kar mujhse lipat jao to sahi
kisi roz haath thame mera saagar kinare baitho to sahi
kisi roz mere sang mandir ki ghanti bajao to sahi
kisi roz mere haathon se khana khao to sahi
kisi roz mujhe pyar se neend se jagao to sahi
kisi roz gusse mein aa mujhse lad jao to sahi
kisi roz pyar sang raat bitao to sahi.

- Romil Lucknawi.

Vachan

Main yeh vachan deta hoon ki... main kabhi bhi tumhare mobile ki talashi nahi lunga. sacchi baba... hehehehe...

KOI TO HAI...

koi to hai jo mere liye duayein padata hai
kisi ka to saaya rehnuma bankar mere saath chalta hai
kisi ne to chadai hai mere naam se chadare mazaron par
koi to hai jo mere naam se paath rakhata hai.

koi to hai jo khila raha hai fakeeron ko mere naam se khana
kisi ne to vrat mere liye rakha hai
kisi ke kehne par to hua hai mere liye Shivalinga ka singhar-abhishek
koi to hai jo rooh se mujhe mohabbat karta hai.

KOI TO HAI...

- Romil Lucknawi.

Kashmakash

Bas isi kashmakash mein soya nahi raat bhar
Uski tasveer khoobsurat hai ya uske khawab.

- Romil Lucknawi

Tuesday, September 4, 2012

Ae Mere Hum Kadam - Rakhee, Parikshit Sahani n Dina Pathak - Humkadam

Rakhee n Parikshit Sahani

Aye mere humkadam
Mere dil ki dhadkan mein
Sangeet tumhara hai
Zara sun ke dekho tum

Aye mere humkadam Mere dil ki dhadkan mein Sangeet tumhara hai Zara sun ke dekho tum Sangeet tumhara hai Har geet tumhara hai Kahe saanson ki sargam - aye mere humdam Mere dil ki dhadkan mein - sangeet tumhara hai Zara sun ke dekho tum Kabhi kabhi sochoon main - kya hoon main tere bina Jo bhi hoon usmein hai teri sadhana Tujh mein hoon main mujh mein ho tum Aye mere humkadam mere dil ki dhadkan mein Sangeet tumhara hai - zara sun ke dekho tum Hun hun hun hun Poori hui aashayen - mujh se mil ke sabhi Milta rahe saath tera - door na hona kabhi Baanti khushi batenge gum Aye mere humkadam - mere dil ki dhadkan mein Sangeet tumhara hai - zara sun ke dekho tum Sangeet tumhara hai Har geet tumhara hai
Kahe saanson ki sargam